Ajh Kal Har Taraf Mehngaei Ka
Dour Doura Hay Ameer Ghareeb Gora Kala Langhra Loola Har Koi Mehnghaei Ki
Dhuaiee Deta Nazar Ata Hay Asay Mein Window Shoping Kici Naimat Say Kam Nahi Har
Koi Bhut Sakoon Say Window Ko Taar Sakta Hay Pehlay Kici Dour Mein Window Ki
Waja Say Qatal Hu Jaya Kartay Thay Logh Ghar Banwatay Waqt Window Asee Jagah
Bnaya Kartay Thay Kay Roshni Or Hawa Samaiet Kici Ki Ankh Waha Tak Na Pohanch
Paye Ubh Ye Baat Gorri Chamree Ko Bilkul Pasand Nahi Ayee Uss Nay Window Shoping
Ki Asee Term Ejaadh Ki Kay Ubh Ye Har Ek Ka Pasandeeda Mashghala Ban Chucka Hay
Hakoomaton Nay Bee Is Mein Bharpoor Kirdaar Ada Kiya Matlab Mehnghaiee Bee Iss
Window Shopping Ki Maqbooliat Ki Ek Waja Ban Gai Hay Kher Iss Mein Koi Shak Nahi
Ye Hum Jasay Budget Walon Kay Liye Ek Behtareen Tafree Hay Ju Aap Lay Nahi
Saktay Uss Ko Taar Saktay Hein Jasay Koi Bee Filmi Heroine Ya Model Ap Ki
Bayemaan Nazron Ki Pohanch Say Door Hu Sakty Hay Magar Ap Kahein Bee Lagay
Eshtaharon Kay Zariye Uss Ko Billa Rok Tok Taar Saktay Hu Kher Zarori Nahi Kay
Aap Bee Humaree Tra Niyat Kay Niytay Hun ,,,Window Mein Sajaye Gay Kapray Jutay
Dekh Kar Humein Tu Ek Etminaan Sa Hu Jata Hay Kay Tu Nahi Tu Or Sahee Gar Orr
Nahi Nhi Tu Fer Tu Hee Sahii .Gar Kuch Nahi Palay Tu Window Shopping Hee Sahi
Iss Tra Ki Window Shopping Kay Bhut Say Faieday Bee Hein Ap Ko Fashion Ka Pata
Chalta Rehta Kay Ajh Kal Kia Chal Raha Hay Sath Mein Apni Oqaat Kaa Bee Pata
Chalta Rehta Hay Fer Window Mein Laghee Dummies Ap Ko Ghusay Say Nahi Ghoorty
Kay Ya Kalmoha Kyun Ghoor Raha Hay Itna Agar Ap Kici Khatoon Ko Ghorein Tu Wo Ap
Kay Palay Par Saktee Hay Jabh Kay Dummy Asa Kuch Nahi Kartee Wesay Kuch
Dukaandar Kehtein Hein Kuch Shareef Kisam Ki Dummies Bee Hutein Hein Hum Jasay
Loghun Ki Waja Say Unn Beychaarion Ka Rangh Pehlay Faqq Hu Jata Hay Fer Urr Jata
Hay .Hum Tu Window Shopping Mein Itnay Puranay Ya Yun Keh Lain Kay Badnaam Hu
Chukay Hein Ubh Tuu Humein Window Mein Sajhaee Gee Dummies Bee Pehchanay Laghee
Hein Humein Dour Se Ata Dekh Kar Sath Wali Ko Elbow Maar Kar Khtein Hein Dekhu
Wo,,,,,,,,Aa Raha Hay.Pata Nahi Dummies Abusing Kyun Kartein Hein Ya Fer Wo
Mardum Shanaas Huty Jaa Rahee Hein,,,,,Mujh Par Ye Sab Ilzaam Hay Ye Masoom Saa
Banda Khamakha Badnaam Hay .