Sheikh Chilli In 2016

(hukhan, karachi)

Sheikh Saab Jabh Say Pakistan Aye Thay Berozghaar Pher Rahay Thay Ubh Tu Nobat Faqqon Ki Aa Chuckee Thee Kaha Mahal Ka Basee Or Kaha Dar Dar Ki Thokrein Jaha Jatay Ek Say Bar Kar Ek Sheikh Chilli Mil Jata Wo Tu Heraan Thay Asee Konsee Factory Hay Jis Say Itnay Saray Sheikh Chilli Ban Ban Kar Nikal Rahay Thay. Baray Baray Wazeeron Say Milay Sarkaree Officers Say Milay Har Mulaaqaat Kay Baad Un Ka Dil Baithnay Laghta Asay Asay Sheikh Chilli Kay Unhein Apna Wajood Bhut Chota Laga Har Koi Itni Lambhee Lambhee Hanktaa Kay Sheikh Saab Uss Say Tuition Lainay Kaa Sochnay Laghtay Jitna Bara Banda Asee Hee Uss Ki Haank Kay Sheikh Saab Uss Kay Waree Sadqay Janay Laghtay Sheikh Saab Ubh Paki Retirement Kaa Sochnay Lagay Thay Qun Kay Yahan Un Ko Apna Aap Teffl E Maktab Nazar Anay Laghta .Tv Dekhtay Tu Kia Wazeer Kia Musheer Chand Taray Tor Lanay Say Kam Pr Raaazi Hee Naa Hutay Thay Newspaper Partay Tu Likharee Asee Asee Wah Wah Kartay Kay Sheikh Saab Shaer Mein Doodh Ki Nehrein Dhundlnay Nikal Jatay Magar Doodh Tu Behans Bee Nahi Dey Rahee Thee Jabh Tak Uss Ko Injection Naa Thok Dia Jaye.Har Sahkhs Ko Apna Aap Shaensha Or Farishtay Jasa Lagh Raha Tha Jabh Kay Dosray Ki Apghree Uchalnay Kay Liye Usss Ki Kamzori Buraiee Uss Ki Diary Mein Note Thee Jhoot Iss Tra Bola Jaa Raha Tha Kay Sach Kaa Gumaan Hunay Laghta .Sheikh Saab Har Roz Qamar Kay Sath Sath Dam Kham Thok Kar Ghar Say Nikaltay Baree Say Baree Haank Or Baraak Marnay Ka Soch Kar Nikalaty Magar Nakaam Lot Atay Unhein Apna Wajood Bahut Baymaani Saa Laghnaya Laga Tha .Baita, Baap , Bv , Ek Dosray Ko Shohar Sabz Bagh Dekhtay Rehtay Or Ye Hee Kaam Wazeer Musheer Be Entahaiee Maharat Say Kartay Har Traf Itna Jhoot Kay Sach Kaa Wajhdh Hee Zangh Allooda Nazar Anay Laga Tha Sach Mein Koi Kashish Nahi The Jabh Kay Jhoot Ek Sabzay Ki Tra Tha Jis Par Khizaan Aa Kar Hi Nahi Dety Thee,,,,Sochta Hun Sach Janay Kia Balaa Hay Ubh Tu Jhoot Mein Hee Sab Ka Bhulaa Hay,,,Sheikh Saab Apnay Chilli Pan Ki Topy Kici Ko Dena Chatay Thay Magar Topi Ek Thee Or Sar Hazaara

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1254908 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.