Humaray Mulk Mein Jaha Insaano
Ko Bunyadee Haqooq Or Sahultein Hasil Nahi Waha Bezubaan Janwaron Ki Kon Sunay
Ga Pechaly Dino Ye Fiqra Bee Zuban E Zade Aam Tha Kay Kuch Kutay Ju Kay Karchi
Janay Ka Soch Rahay Thay Kay Wo Sea Side Visit Karna Chahtay Thay Magar Un Kay
Buzargh Yaa Yun Keh Lijiye Sianay Kutay Nay Kaha Karachi Na Jana Werna Insano Ki
Trah Maray Jao Gay.Lahore Wild Life Par NAB Nay Ye Ilzaam Lagaya Hay Kay Zoo Kay
Liye Khareeday Gaye Janwaron Ki Qimat Mein Ghaphlay Kar Kay Lakhon Mein Maal
Banaya Gia Hay Or 5 Kay Qareeb Officers Say Poch Gach Ki Jaa Rahee Hay Janwar
Masoom Hun Na Hun Magar Humray Wild Life Officer Bhut Masoom Hein Shaied Ye Soch
Lia Hu Kay Janwar Tu Bezuban Hutay Kia Beech Chhoorahay Mein Humaree Handia
Phorein Gay Magar Laghta Asa Hay Kay Shied Koi Emmaandaar Officer Ubh Tak Retire
Ya Transfer Nahi Kia Gia Hay Jis Nay Janwaron Kay Naam Par Hunay Wali Corruption
Kaa Bhandhaa Phore Dia Hay Yaa Fer Hisay Kaa Mamlaa Hu Ga Kuch Bee Hu Magar
Baqol Shaier,,,,,Ubh Tu Kuch Bee Hay Bas Maal Hay Kia Jaanwar Kia Unn Ki Khaal
Hay.Sheir Hathy Hiran Or Zaraafay Sub Ko Mil Kar Ehtajhajh Karna Chaiye Qun Kay
Iss Saray Qisay Kay Markazee Character Wo Hee Thay Or Un Ko Hee Hisa Nahi Dia
Gia Ye Janwaron Kay Bunyadee Haqooq Par Ek Munazem Kisam Kaa Dakaa Hay Jis Ki
Jitni Bee Muzamat Ki Jaye Kam Hay.Asa Naa Hu Tamaam Janwar Koi Main Sarak Block
Kar Kay Ya Dharna De Kar Ehtajhajh Par Majhboor Hu Jaien Pehlay Hee Hakoomat
Lodhran Ka Election Haar Kay Bhut Pareshaan Hay Wo Becharee Tv Adds Kay Zariye
Qasmein Kha Kha Kar Jitlaa Ya Batlaa Rahee Hay Kay Wo Bhut Kaaam Ki Hakoomat Hay
Or Wo Asa Munazim Kisam Ka Kashkool Phelaaty Hay Kay Koi Bee Un Ko Naa Nahi
Karta Ya Tu Ye Jadu Hay Ya Pher Experience Jis Ki Waja World Kay Maliyaaty
Edaron Kay Sar Par Char Kar Bolta Hay Oil Prices Duniya Mein Bhut Kam Huty Jaa
Rahein Hein Magar Pakistani Awaam Kay Liye Teil Mehngha Kar Kar Kay Unn Kaa
Musalsal Teil Nikala Jaa Raha Hay Jabh Kay Hum Awaam Insaan Hee Hein Naa Kay
Kici Sheikh Kay Teil Ka Kanwaa Hum Bas Itna Kahein Gay Kay Janwaron Kay Naam Par
Corruption Naa Manzoor Hum Insaan Kia Mar Gaye Hein,,Qadam Jumaao Corruption Hum
Tumharay Sath Hein,,,,,,,,,,Jiye,,,,,,,Aap Samajhdar Hein