Puranay Zamany Ki Baat Hay Jabh
Pakistani Film Naghree Hua Karty Thee Pher Har Shoobay Ki Tra Iss Ko Bee Zawaal
Aa Gia Baray Baaray Namon Wali Film Naghree Baynaam See Hu Gai Kuch Loghun Nay
Iss Ko Asa Misuse Kia Kay Naa Tu Yahan Koi Miss Rahe Naa Hee Koi Mr Raha Ek Jadu
Ki Duniya Ju Ek Dam Say Ghaieb Hu Gai Ubh Tu Koi Phatay Huay Poster Be Baqi Nahi
Rahay Bas Kuch Yadein Hein Kuch Batein Hein Fer Ek Zawaal Ki Daastaan Bhut Say
Creator Iss Naghree Kay Sath Hee Apnay Aap Ko Khu Baithay ,,,Janay Kaha Gaye Wo
Haseen Chahray Ju Kamaal Hua Kartay Thay Wo Un Ki Unghlioan Say Phhotay Fun Kay
Chashmay Wo Dilrubba Jin Ki Adaown Kay Matwalay Jaanein De Dia Kartay Thay .Koi
Heer Thee Koi Lailaa Ubh Kaha Wo Geet Wo Naghmay Wo Dhunein Bas Har Cheese Ko
Naaahli,Aqrabaparwaree Kha Gai.Logh Lambhee Qataron Mein Khuray Hua Kartay Thay
Cinema Hall Ceetion Say Gonjha Kartay Thay Ubh Waha Shopping Plaza Hein Bike Ki
Parking Hay Car Wash Hay Cholay Naan Hein Nahi Hay Tu Wo Khuburat Charay Wo
Haseen Khabh Ju Yahan Baasaani Bik Jaya Kartay Thay Cinema Ki Screen Khuburat
Khabhun Ki Sarzameen Hua Karty Thee Logh Khud Say Naaashna Hu Kar Apnay Gham
Bhullanay Kay Liye Kam Say Kam Pason Mein Ye Khabh Dekh Lia Kartay Thay Asay
Khabh Ju Mudaton Dekhay Jatay Rahay Magar Zalim Zamany Nay Ye Reit Kay Khabh
Samnadar Ki Lahar Ki Tra Mittaa Dalay.Jis Ko Indutry Bana Nay Kay Khabh Dekhay
Jatay Thay Wo Ek Rehree Ki Tra Sabit Hui Bas Ubh Totay Photay Kerchee Kerchee
Khabh Rehree Par Saja Kar Choke Par Khuray Hu Jao Shaied Koi Dewana Un Ko
Kahreed Lay.Ajab See Duniya Thee Bas Alif Laila Ki Jadu Naghree Har Kirdaar Koi
Shazada Koi Jin Koi Saanp Koi Pari Ekk Rangheen Duniya Ju Mudaton Insaan Ko
Sapnay Dekhatee Rahee Sakoon Dety Rahee Kabi Ansso Kabi Qahkahaa(Laughter)
Or Kabi Taalian Magar Sab Kuch Fana Hu Gia Jisay Abhee Jawaan Rehna Tha Bachpan
Mn Hee Borhaa Hu Gia .Kash Merit Reh Jata Kash Talent Par Pasay Ko Foqiat Nahi
Dee Jaty Kash Kal Kay Bjaye Future Par Nazar Rakhee Jaty.