Wesay Tu Jahroo Jahroo Hee Huta
Hay Magar Humaray Muhalay Ki Jameela Begum Ka Jahroo Bhut Nayaab Qisam Ka Hay
Apnay Bachon Say Lay Kar Bahut Say Muhalay Kay Ranjhun Majhnown Or Apnay Shohar
Par Wo Kai Baar Baras Chucka. Yun Kah Lijiye Kay Wo Androni Baironi Gandh Saaf
Karnay Ka Special Jahroo Hay Jabh Jameela Begum Ghar Mein Jahroo Pheraaty Tu Asa
Laghta Kay Pakistani Police Kici Adee Mujhrim Kay Gunah Dhu Rahee Hay Ap Nay
Ghor Kia Hum Nay Kaha Jabh Wo Jahroo Pheraaty Yeni Ye Kaam Wo Apnay Aklotay
Masoom Say Shohar Say Hee Lety Thee Qun Kay Kaam Kay Time Uss Ki Qamar Ka Dard
Jagh Uthta Tha Bas Becharay Shohar Ko Hee Apnay Oper Istemaal Hunay Walay
Hathiyaar Ko Hath Mein Pakar Kar Safaiee Karni Party .Jameela Aam See Khatoon
Nahi Hay Humein Pora Yaqeen Hay Ye Halakoo Khan Ki Family Say Hu Ge Ya Halakoo
Khan Iss Kay Dar Say Pehlay Paida Hu Kar Duniya Chore Gia Jameela Ka Jahroo Jabh
Pherta Tu Ghar Saaf Karta Tha Or Jabh Ye Jahroo Parta Tha Tu Deemaghi Gandhghee
Saaf Karna Shuro Hu Jata.Uss Kay Jahroo Ki Itni Dehshat Thee Kay Koi Rehree Wala
Waqt Bay Waqt Ghar Kay Baher Awaaz Nahi Lagata Tha Jameela Aahnii Naizay Ki Tra
Jahroo Phenk Kar Maarty Or Kia Majaal Hay Kay Uss Ka Jahroo Edhar Se Udhar Hu
Jaye Agar Olympic Mein Javelin Through Ki Jagah Jahroo Throughing Ka Muqaabla Hu
Tu Pakistan Ka 1 Gold Medal Paka Hay.Ek Rehree Walay Nay Hum Se Poch Lia Bahi
Saab Ye Jahroo Qun Maarty Hay Hum Bolay Bahi Bura Na Manaya Karo Piaar Se Maarty
Hay Kabi Dekh Laina Apnay Shohar Ko Bee Jameela Begum Bilkul Aap Ki Tra Hee
Jahroo Se Maarty Hay Ye Tu Piaar Hi Hua Na Iss Ko Shohrana Piar Hi Kaha Ja Sakta
Hay. Rehree Wala Qamar Sehlata Hua Or Gardan Hilata Hua Agay Bar Gia Ubh Tu
Kaway *Crow) Bee Jameela Begum Ki Deewar Par Baith Kay Mehmaan Ki Amad Ki Etlaa
Nahi Detay Un Ko Pata Chal Gia Hay Kay Jameela Begum Kay Pas Urnay Wala Jahrroo
(Flying Broom) Hay Wo Bee Uss Ki Deewar Or Chath Kay Ass Pass Nahi
Phatktay,,,Har Jahroo Par Likha Hay Khanay Walay Ka Naam Becharee Jameela Hui
Muft Badnaam.