DIL Ka Alam Mein Kia Bataown
Tujhay,,,Humaray Kaano Mein Iss Ganay Ki Awaaz Nay Humaree Sochun Ko Naya Rukh
Dia Hum Daal Aalo Chanay Kay Baho Tao Kaa Soch Rahay Thay Kay Ye Gana Sun Kay
Hum Nay Saree Sochun Ko Pase E Pusht Dala Or Soch Mein Par Gaye Poet Kia Kehnay
Ki Koshish Kar Raha Hay Itni Line Qun Maar Raha Hay ,,Har Line Ki Apni Kahani
Huty Hay Kici Ki Nai Kici Ki Puraani Huty Hay,,,,Pasay Naa Hun Jaib Mein Tu
Baree Ruswaiee Huty Hay,,,,,Paraiee Kamaiee Tu Paraiee Huty Hay,,,,Munh Mein
Daant Naa Hun Tu Murgh Ki Faraiee Bee Bay Jaan Huty Hay.Dil Kaa Alam Kia Hu
Sakta Hay Ek Tu Wo Khoon Pump Kar Kar Kay Halkaan Hu Raha Huta Hay Oper Say
Larki Ka Bojh Alagh Say Uss Masoom Par Par Jata Hay.Pumping Bee Asee Kay Bijli
Hu Na Hu Pump Kiye Jao Werna Seeday Doctor Say Hutay Huay Qabristaan Jao Hum Nay
Hakeem Jalebi Khan Say Pocha Ye Dil Kaa Alam Kia Hu Sakta Hay Or Qun Kar Hu
Sakta Hay,,,Hakeem Sahib Nay Humara Sawaal Sun Kar Asay Munh Banaya Jasay Border
Par Humaray Foujhi Ko Dekh Kar Bahrtee Senha Bana Laty Hay ,,,,Hakeem Jalebi
Khan Bolay Bahi Bas Na Pochu Dil Kay 3 Tukray Huay 2 School Mein Ek Godh Mein
Hum Pochay Lagay Aap Apni Bio Garaphy Na Bataiye Jawaab Dijiye Hakeem Sahib Nay
Humein Asay Ghoora Jasay Bulb Light Ko Ghoorta Hay Jabh Wo Kabi Kabi Apnay
Darshan Karwaty Hay Hakeemi Andaaz Mein Bolay Bahi End Ye Hee Hay Ju Hum Nay Arz
Kia Hay Dil Ka Alam Shalam Kuch Nahi Huta Bas Wohee Huta ,,,Barson Purani Kahani
Ek Jeci Bachon Ki Maa Or Unn Ki Naani Humein Bhut Etraaz Hay Kay Hakeem Sahib
Har Dafa Zaatiaat Ko Beech Mein Lay Atein Hein.Barhaal Dil Kaa Alam Yaqeenan
Bhut Dil Fareb Huta Hu Ga Werna Hum Daal Roty Ki Fiqar Chore Kay Iss Misray Kay
Pechay Ghanto Naa Laghatay Humaree Khudsakhta Danishwaree Kay Liye Ye Ek Khulaa
Challenge Tha Hum Nay Urdu Ki Akhree Kitab Khuli Uss Mein Dil Ki Bhut See
Baatein Likhee Huien Thee Humein Ju Samajh Ayee Wo Kuch Yun Thee,,,Chore Saray
Gham Fiqar Kar Daal Ki Baqi Asee Ki Teseee Har Alam Ki