Ajh Kal Hakoomat Nay Ranghraiz
Ka Kaam Bee Shro Kia Hua Hay Magar Iss Mein Kamal Ye Hay Kay Aap Apni Kali
Curancy Safaied Karwaa Saktay Hein Aap Nay Ju Iss Mulk Qom Or Zameen Kaa Khoon
Chogse Choose Kar Maal Banaya Hay Ubh Aap Uss Ko Kalay Khooni Dhan Ko Bilkul Pak
Saaf Ujhla Dhula Hua Kar Saktay Hein Bas Uss Mein Say Kuch Hissay Hakoomat Ka
Munh Kala Kijiye Or Safaied Dhan Ko Ghar Lay Jaiye Or Jis Tra Marzee Use Kijiye
Ap Ko Koi Bee Nahi Pochay Ga Kay Ap Nay Kis Kis Kay Haq Par Dakaa Mara Qun Mara
,,,Jitna Marzee Kha Jaiye Bas Carmina Kaa Istemaal Kartay Jaiye,,,,Ye Iss Qom Ki
Bad Qismaty Hay Kay Hum Un Ko Apnee Qismat Kaa Malik Bana Detay Hein Ju Pani Or
Bijli Choron Ko Nahi Pakar Saktay,,,,Wada Hay Asmaan Say Taray Tor Lanay Ka
Salay Ki Maar Sahi Nahi Jaty.Hakoomat Becharee Iss Awaam Kay Liye Maray Jaty Hay
Har Tra Sey In Kaa Khiyal Rakhna Chaty Hay Din Raat Ek Kiye Dety Hay Magar Kia
Karay Becharee Majhboor Hay Lachaar Hay Na Iss Say Chore Qabo Atay Na Qatil
Pakray Jatay Political Party Hu Ya Sarkaar Kay Kaam Kay Insaan Har Koi Inn Ko
Black Mail Kiye Jata Na In Ki Sunta Na Inhein Koi Woqat Deta Bas Asee Langhree
Loli Hakomat Kay Har Pakistani Ko Inn Par Reham Ata Hay Petrol Duniya Mein
Korrion Kay Mol Hu Gia Magar Becharee Awaam Ki Hamdard Hakoomat Mehngha Bechay
Par Majhboor Hay Duniya Mein Investment Ki Bharmaar Hay Magar In Kay Commission
Hee Khatam Hu Kay Nahi Detay Wazeer Hu Ya Musheer Sab Apni Apni Dukaanein Khulay
Bathay Hein Awaam Bas Un Ko Sarkon Par Hooter Wali Gaarion Mein Yahan Say Wahan
Ata Jata Dekhtay Rehtay Hein Koi Inn Ko Metro Kay Naam Say Pukarta Hay Koi
Gataar Politics Say Pehchanay Jatay Hein Logh Maray Ja Rahein Hein Aye Din
Khudkushian Bar Rahein Hein Rozghaar Kay Asaar Nazar Nahi Atay Koi Bee Iss Mulk
Mein Investment Ko Tyaar Nahi Sefarish Or Aqraba Parwaree Nay Merit Ko Qatal Kar
Dia Hay ,,,,,,Janay Kab Kam Hu Ga Andharaa Kab Aye Gaa Saweraa,,,Mudaton Say
Muskaranay Ka Sochta Hun Par Khanay Ko Milta Hay Roz Karayllaa