Mr Ughly Contest

(hukhan, karachi)

DUNIYA Mein Muqabla E Husan Kay Bahut Charchay Hein Magar Zimbabwe Asa Mulk Hay Jis Mein Badsoorti Ka Muqabla Bee Munaqed Huta Hay Ye Bee Muqabla Husan Ki Tra Har Saal Huta Hay 2015 Mein Ye Title Mason Kay Naam Raha Bas Uss Kay Inaam Mein Zara Kanjosi Dekhaiee Gai Or Serf 500 Dollar Or Ek Medal Diya Gia Runner Up Ko Serf 100 Dollar Diye Gaye Bhula Bataiye Gar Koi Badsorat Hay Bee Tu Wo Hawa Khata Hu Ga Ya Uss Kay Jazbaat Nhi Hun Gay ,,,Kia Rakha Hay Sorat Mein Uss Ko Bee Bulla Laina Mahoorat Mein ,,,Kon Janay Mason Ka Dil Kitna Khubhsorat Hu Ga Magar Kia Kiya Jaye Ajh Kal Har Koi Dehaway Kaa Adee Hay Wesay Baat Ajeeb Hay Ye Badsoorty Ka Muqabla Jeetnay Wala Or Bee Udaas Hu Jata Hu Ga Yeni Jeet Kay Bee Haar Jata Hu Ga Jasay Humaray Election Mein Logh Dhoons Dhaaandli Se Jeet Jatay Hein Fer Zamni Election Mein Deseat Hu Kar Rona Dhuna Macha Detay Hein ,,,Kar Kay Baimaani Mein Jeet Jata Hun Awaam Kay Masaiel Kia Hein Ye Bhool Jata Hun.Baat Hu Rahee Thee Badsoorty Kay Muqaablon Ki Agar Hum Iss Baat Par Zara Falsafiyana Nazar Dalein Tu Asay Bhut Say Muqablay Humaray Aas Paas Roz Hutay Hein Bas Hum Un Ka Notice Nahi Laitay Jasay Dolat Ki Dour Mein Achay Buray Haraam Halaal Ki Tameez Khu Dena,,,Educated Ban Janay Kay Liye Fake Degrees Ka Hasool,,Zara Say Faiday Kay Liye Sab Kaa Nuqsaan Kar Dena ,,,Khooni Reshton Par Pasay Ya Relations Ko Importance Dena,,,,,,,Maa Baap Ki Izzaat Na Karna,,,,,Mulk Ko Pas E Pusht Daal Kar Iss Ki Bunyaadon Ko Kamzoor Karna,,,,,,,Vote Detay Huay Zaat Beradree Zubaan Dekhna,,,,,,,,,Kici Dosray Mazhabi Ferqay Ko Ghalt Kamtar Ya Na Jaiez Samajhna,,,,,,,,,,,,Dekha Jaye Tu Asal Badsooraty Kay Muqaablay Ye Hein Jis Mein Hum Agay Nikal Jana Chahtay Hein Kha Humari Deen Duniya Dono Bamany Se Hu Jaien Bas Badsorat Nazar Ana Badsorat Rehna ,,,,Ap Sochiye Ga Asal Badsorty Ka Muqaabla Knsa Hay Ju Mason Nay Jeeta Yaa Har Roz Ju Tamasha Hum Dekhtein Hein Wo Hay.

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1254371 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.