PAKISTAN Mein Billashuba
Larkion Ya Yun Keh Lein Khawateen Kay Trasnport Kay Bhut Problems Hein Bus
Reckshaw Taxi Cycle Bike Train Har Jagah Inhein Bhut See Unbearble Conditions
Kaa Samna Karna Parta Hay Iss Century Ko Agar Economy Century Kaha Jaye To Bay
Jaa Naa Hu Ga Pakistan Kay Baray Sheron Mein Larkian Cars Drive Kartee Nazar
Atee Hein.Aam Halaat Mein Ju Larkian Job Ya Education Yaa Kici Bee Kaam Kay Liye
Ghar Say Baher Niklatee Hay Tu Sab Say Bara Transport Ka Problem Us Ko Face
Karna Parta Hay Fer Public Transport Bhut Kam Hay Bus Mil Janay Kay Baad Iss
Mein Moujud Logh Bee Ek Bahut Bara Maslaa Hein ,,,,Har Larki Ko Tangh Karna Mein
Farz Samajhta Hun,,,,,Ye Tu Main Apna Qomi Qarz Samajhta Hun.Punjab Hakoomat Nay
Iss Mamly Ko Bhut Seriously Lia Hay Or Ek Bike Ki Raelly Ka Ehtemaam Kia Jis
Mein Bhut See Larkian Bike Ko Chalaty Nachaty Nazar Aein Hakeem Jalebee Khan
Saab Ye Manzar Tv Par Dekha Tu Sar Thaam Lia Hum Nay Herani Say Pocha Asa React
Qun Hakeem Saab Bolay Bahi Ubh Ju Zara Saa Sakoon Tha Wo Bee Ghaart Hunay Wala
Hay Hum Bolay Larkion Kay Bike Chalany Say Sakoon Kaa Kia Taluq ,,,Hakeem Saab
Nay Humein Asay Dekha Jasay Wo Apnay Customer Yeni Mareez Ko Dekhtay Hein Bolay
Bahi Aap Ya Tu Bhut Bhoolay Hu Ya Aap Ki Female Study Bhut Hee Khasta (3rd
Grade) Hay Bahi Sochu Larkian Ya Ladies Jabh Bike Chaalaein Gee Tu Ek Tu Helmet
Ki Waja Say Samjh Nahi Aye Ga Kay Apa Chala Rahee Hein Ya Perosan Hay Banda Cher
Hi Nahi Paye Ga Jis Say Mardon Ko Iritation Hu Gee Jis Ki Waja Say Bhut Se
Demaghy Problems Hun Gay Roz Petrol Pumps Par Rate Kay Mamlay Par Jhughra Hu Ga
Petrol Kay Rate Fix Hutay Hein Ladies Ko Pasay Kam Karwany Ki Adat Huty Hay Roz
Subah Shaam Pumps Battle Ground Banay Rahein Gay Fer Ladies Ko Matching Kaa Bhut
Bara Problem Hay Ladies Apnay Kapron Kay Color Ki Matching Kay Hisab Se Bike Ka
Color Manghay Gein Ubh Jaamni Bike Konsee Compnay Bana Kar De Gee Agar Bike Kaa
Color Match Nhi Hu Ga Tu Wo Bike Kay Color Kay Hee Kapray Banwaein Gee Jis Say
Mardana Budget Mn Izafa Hu Jaye Ga Ghar Bee Battle Ground Ban Jaye Ga Fer
Accident Bhut Hun Gay Koi Achee Balika Bike Chala Rahee Hu Gee Tu Loghun Kaa
Dehaan Road Say Biker Par Chala Jaye Ga Ye Insaani Jaan Ka Masla Ban Jaye Ga Ubh
Trafic Police Kabi Kabaar Maar Khaty Hay Fer Roz Zanaana Biker Say Pit Rahay Hun
Gay Kuch Asay Words Sunay Ko Milaein Gay,,,Kambakht Muna Or Uss Ka Abba Khnay
Kay Liye Mis Pr Mis Bell De Rahay Hein Tu Yahan Bike Rok Raha Hay Teri Ye Majaal
Jabh Tak Trafic Police Wala Ye Yaqeen Nhi Dela De Ga Kay Wo Us Kay Munay Ka Abaa
Nahi Wo Koi Or Hay Jabh Tak Wo Munay Kay Abba Ki Tra Pitt Ta Hee Rahay Ga.