Ek Din Teri Rahon Mein

(hukhan, karachi)

BAAT Hu Rahee Thee Train Kay Safar Ki Jis Mein Bhut Alagh Alagh Ya Yun Keh Lein Kay Kaie Iqsaam Kay Musafer Paye Jatay Hein Parasite Musaferon Ko Hum Discuse Kar Chukay Humaree List Mein Dosree Kisam Kay Musaferon Ko ,,,Qabza Mafia Kaha Jata Hay Ye Wo Logh Hutay Hein Jin Ko Train Ki Chath Kay Sewa Koi Bee Khali Jagah Mil Jaye Ye Wahan Qabza Kar Letein Hein Bath Room Tak In Kay Hathon Sey Mehfooz Nahi Hutay Ap Kay Pas Zara Agay Janay Ka Keh Kar Baith Jaien Gay Or Ap Ki Manzil Aa Jaye Ge Magar Ye Ap Ki Berth Par Tanghein Pasaar Kay Kharatay Laitay Rahein Gay Har Station Par Uth Kar Asa Zahir Kaerain Gay Jasay Ye Hee Un Ki Manzil Hay Ya Fer Bilkul Naak Kay Pas Station Hay Garee Ki Whistel Bajhtay Hee Fer Say Ankhein Asay Band Kerein Gay Jasay Hakoomat Awammi Masaaiel Sey Ankhein Band Kar Letein Hein Kher Ye Qabza Mafia Asay Behave Kartein Hay Jasay Ye Seat Kia Train Hee Un Loghun Nay Book Karwaiee Hui Hay Jabh Ap Un Ko Yaad Karwaein Gay Kay Ap Nay Bee Apni Seat Par Araam Karna Hay Tu Zara Saa Khisak Kar Aap Ko 2 Inch Ki Jagah Ki Offer Kar Dein Gay Aap Sharmindghee Ya Badboo Ki Waja Say Apni Request Wapis Lay Lein Gay Hum Nay Ek Dafa 2 Khushnuma See Khawateen Ko Train Kay Station Par Ruknay Kay Baad Jagah De Dee Ye Soch Lia Agar Humein Seat Poray Safar Kay Liye Bee Qurbaan Karni Apri Tu Ajh Hum Koi Qasar Na Chorein Gay Akhir Hum Ek Fit Insaan Thay 12 Ghantay Khuray Bee Reh Saktay Thay Abhee Hum Ye Sab Qurbaanio Ka Soch Hee Rahay Thay Kay Train Nay Whistel Dee Or Chal Paree Wo Khushnuma Khawateen Tezi Se Dour Kay Train Sey Utar Gein Or 2 Mustanday Humaree Dee Hui Jagah Par Chore Gein Hum Wsay Hee Zara Laal Hein Iss Harkat Kay Baad Humara Khoon Or Bee Khol Utha Abhee Hum Tarboz Jasay Laal Hunay Hee Walay Thay Magar Dono Ki Sehat Qad Kaath Dekh Kar Hum Ek Koonay Mein Dabak Gaye,,,Iss Mein Humaree Insult Koi Bee Nahi Magar Aap Sab Kay Liye Ek Sabaq Hay,,Maniya Ya Na Maniye,,,Soch Lijiye Fer Kooona Bee Nahi Milna Agar Mustanday 3 Huay Tu,,,,,,,,,Marzee Ap Ki,,,,,,,Ap Ki Seat Hay

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1254679 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.