Pakistan Apni Dosree Hee
Shikast Kay Baad Apnay Ek Or Aizaaz Se Mehroom Hu Gia Pakistan Apni Iss Shandaar
Karkardgee Kay Baad Khud Tu Asia Cup Sey Farigh Hua Hee Tha Sath Mein Srilankan
Team Ko Bee Lay Dobah Srilankan Team Ko Urdu Samajh Nahi Aty Magar Urdu Kay Ek
Mahwaray Ko Bhut Achee Tra Se Samajh Gai Hay,,Hum Tu Doobay Hein Sanam Tumein
Bee Lay Doobein Gay,,,Haar Jeet Khel Ka Hisa Huty Hay Ajh Humaray Ye Hero
Humaree Muhabat Kay Talib Hein Wesay Bee Dobhtay Ko Saharaa Dena Insaniat Ki
Mairajh Hein.Humaree Qom Ju Kay Mehanghaie ,Bijli ,Pani ,Gas Or Dehshat Gardee
Jasay Khofnaak Problems Say Ek Arsay Se Du Chaaar Hay Chotee Chotee Khushion Ko
Tarsee Hui Hay.Iss Qom Kay Sath In Ki Naslon Kay Sath Ek Arsay Say Naa Insaafian
Jaree Hein Kia Politician ,Kia Police,Kia Civil Servants Gharz Har Ek Kay Sataye
Huay Insaan Muskarnay Ko Taras Gaye Hein Being A Nation Ye Sab Kuch Celliberate
Karna Chahtay Claping Karna Chahtay Luddy Dalna Chatay Magar Hasrat Ubh
Khilaaree Bee Un Loghun Mein Shamil Hutay Jaa Rahay Hein Jin Se Qom Ko Mayusee
Kay Sewa Kuch Na Mila ALLAH Karay Ye Mayusee Zayda Taweel Naa Hu Balkay World T
2o Mein Team Achee Karkardghee Dekha De Agar Ubh Tak Ki Performance Ko Dekha
Jaye Tu Humaree Team Ka Asia Mein 4th Number Hee Nazar Aa Raha Hay Ye Serf Team
Ka Number Nahi Yaad Rakhiye Ga Iss Ka Matlab Hay Kay Coach Manager Trainers
Nutritionist Analyist Pcb Selection Commette Sab Asia Mein 4th Hein Kash
Hakoomat Khelon Mein Siasee Oppintments Na Kertein Kash Hakoomat Merit Ko
Tarjhee Dety Tu Hum Ajh Asia Mein 4th Na Hutay Shaied Zayda Nahi Tu Qadray
Behtar Position Mein Hutay,,,Sochta Hun Gherat E Qom Ko Kia Hua,,,,Ek Aizaaz Or
Khu Diye Tu Kia Hua.Mein Serf Chand Massom Se Sawaalon Ka Jawabh Dhund Raha Hun
,,Khuram Manzor Psl Ki Kici Team Mein Na Tha Qomi Team Mein Kasay Aya ,,Halkee
Bowling Or C Grade Fielding Kay Samnay 100 Kar Kay Sharjeel Khan Team Mein Kasay
Aya,,,Sami Chala Hua Kartoos Kasay Dhamaka Kar Sakta Tha,,Kia Afridi Leader Ship
Kay Qabil Hay ,,,Aye Aqal Kay Andhu Qom Kay Dusmano...Zara Sa Hosh Kar Lo.