*Mafum-E-Hadees:-
Rasoolullah{S.W.S} Ne Irshad Farmaya "Agar Khuda Ke Siwa Kisi Dusre Ke Liye
Sajda Karne Ka Huqm Detha Tho, Mai Auratho Ko Huqm Detha Ki Wo Apne Shoharo Ko
Sajda Karti Rahe."
[Mishkat (Part 2), Safa: 281]
Aur Kithabo Me Likha Hai Ki,
Rasoolullah{S.W.S} Ne Farmaya "Behtareen Aurath Wohi Hai Ki Jab Uska Shohar Kisi
Baat Ka Huqm Detho Wo Uski Farmabardari Kare Aur Agar Shohar Uski Taraf Dekhe
Tho Wo Apne Banav Singar Aur Apni Adaao Se Apne Shohar Ka Dil Khush Karde Aur
Agar Shohar Kisi Baat Ki Kasam Khajayf Tho Wo Uski Kasam Ko Pura Karde Aur Agar
Shohar Gayab Rahe (Yani Kisi Kaam Se Bahar Jaye) Tho Wo Apni Zaat, Shohar Ke
Maal Me Hifazath Aur Khair Khwahi Ka Kirdar Karti Rahe."
.
Dostho, Allah Ta'ala Ne Shohar Ko Aurath Par Haaqim Banaya Hai Aur Bohat Badi
Bujurgi Di Hai. Isliye Har Aurath Par Farz Hai Ki Wo Apne Shohar Ka Huqm Mane.
Apne Shohar Ko Raazi Rakhna Biwi Ka Farz Hai Aur Jo Aisa Na Kare Wo Aurath Sakht
Gunahgar Hai.
Ye Post Dalne Ki Waje Yehi Hai Ki Aurath Apne Shohar Ki Farmabardari Kare Aur
Apne Khatir Shohar Ko Apne Bhaiyo Aur Maa-Baap Se Dur Naa Kare.
Shohar Ke Maa-Baap Ku Apne Maa-Baap Samaj Kar Unke Saath Mohabbat Aur Izzath Se
Pesh Aana Chahiye.
Unki Khidmath Karna Nahi Chahathy Ho Tho Mat Karo, Unki Izzath Karna Sikho Aur
Unke Bhaiyo Ko Apna Bhai Samaj Kar Achi Baat Karo.
.
Allah Ta'ala Se Dua Hai Ki: Hamsab Ko Amal Karne Ki Taufiq Atha Farma [A'ameen]