Ajh Kal Insaan Kay Dil Sey
Reham Asay Ja Raha Hay Jasay Insaan Ka Acha Waqt Chala Jata Hay,,,,Sochta Hun
Janay Kab Hun Gay Kam Iss Duniya Kay Sitam.Pakistanio Par Janay Kon Hakoomat
Kartay Hein Kay Anay Say Pehlay Unn Ka Dil Faqeer Or Atay Hee Un Kaa Dil Wazeer
Hu Jata Hay Din Raat Awaam Kay Dukhon Mein Ronay Or Jailein Kaatnay Wali
Oposition Atay Hee Asay Ban Jaty Hay Jasay Khala Saas Ban Janay Kay Baad
Bahnjhee Sey Hu Jatee Hay.Na Uss Ko Wo Awaami Mushkilaat Nazar Aty Hein Qun Kay
Fer Uss Ki Nazarein Or Tarjeehaat Hakoomaty Mushkilaat Par Reh Jatein Hein.Awaam
Becharay Kahein Door Susraali Reshta Daron Jasay Hu Jatay Hein.Jin Say Kabi Kabi
Kici Taqreeb Mein Hee Nazar Milty Hay.Magar Hakoomaty Sard Mohree Zayda Nahi
Rehty 5 Saaal Baad Jabh Wo Pher Sey Oposition Mein Aty Hay Uss Ko Saray Awaami
Dukh Ek Ek Kar Kay Yaad Anay Laghtay Hein Fer Unhein Ilm Hu Jata Hay Kay Bijli
Pani School Sehat Transport Kuch Bee Tu Nahi Awaam Kay Liye .Fer Wo Long March
Short March Double March Dhurna Bhoook Hartaal Sab Naskhuay Azmaaty Hay.,,Jitna
Dukh Mujhay Hay Meri Awaam Ka Ajh Faisla Kar Lia Mera Ac Mera Ghar Kis Kaam
Ka.Magar Janay Asee Konsee Hakoomaty Ainak Hay Jis Kay Laghtay Hee Awaam Dour Hu
Jatay Hein Bas Serf Hakoomaty Machinery Kasay Chalani Hay Ek Ye He Soch Reh Jaty
.Jamhoriat Par Sab Kuch Qurbaan Karnay Walay National Assembly Mein Bee Ana
Pasand Nahi Kartay Kon Oposition Kay Fazool Say Sawaalon Ka Jawabh De Ga Or
Shore Sharabay Mein Awaam Ko Wo Sab Kuch Pata Chal Jaye Ga Jis Ko Un Sey Chupana
Hay,,Had Karta Hun Khud Ko Chupanay Mein,,,,2 Minute Laghtay Hein Mujhay Azmanay
Mein.Hakoomat Agar Awaami Hu Tu Wo Sab Sey Pehlay Awaam Kaa Hee Sochty Hay Un Ki
Subah Shaam Ka Sochty Hay.Awaam Kay Masaiel Say Agaha Logh Un Kay Hal Kay
Dhundnay Mein Lagh Jatay Hein Wo Un Taweelon Ko Nahi Dhudhtay Ju Apni Naa Aehli
Chupanay Kay Liye Tarashay Jaien.