CRICKET KAY NAYE MESTEREE(MASONS)

(hukhan, karachi)

PAKISTAN KI Siasat Se Alooda Cricket Ko Theek Karnay Ka Socha Jaa Raha Hay Almiya Ye Hay Kay Sochnay Walay Wohee Hein Jin Loghun Nay Isay Tabah Kiya,,Pcb Ki Har Seat Par Uloo Baitha Hay Anjam E Cricket Na Janay Kia Hu Ga.Sports Kici Bee Mulk Kay Liye Ek Pride Huty Hein Jis Sey Us Mulk Mein Sehat,Talent,Oppertunities Or Skills Ko Napaa Jata Hay.Agar Hum Zara Pechay 1992 Mein Chalay Jaein Tu Hum Duniya Mein Cricket,Hockey,Snooker Or Squash Mein Hukmaraani Kar Rahay Thay Pakistan Ka Ek Soft Or Colorfull Image Pori Duniya Ko Jata Tha .Har Maidaan Mein Sabz Hilaali Parcham Nazar Atha Tha,,,,Har Pakistani Maidaan Mein Dhamaal Dalta Tha.Humaree Cricket 15 Salon Se Zawaal Pazeer Hay Jasay Iss Mulk Mein Zendeghi Ka Har Shubah Zawaal Pazeer Hay Sewaye Corruption Kay Ju Ajh Bee Usi Raftaar Se Oper Ja Raha Hay Jasay Koi Gas Baloon Oper Se Oper Jata Rehta Hay.Asee Baat Nahi Kay Humaray Pas Achay Crickter Nahi Achay Administrator Nahi Asa Nahi Hay Magar Asay Logh Hukmarano Ki Chokhaton Dehleezon Par Matha Nahi Taktay Naa Hi Wo In Kay Darbaaree Ban Jana Pasand Kartay Hein Allah Nay Ju Un Ki Izat Dei Huty Hay Wo Chand Takon Or Kursion Kay Liye Iss Ko Zaya Nahi Kartay.Jis Trah Sey Mojuda Pch Administration Or Selection Committee Nay Cricket Or Cricketers Ko Jis Tra Barbaad Kiya Iss Ki Rehablitation Mein Bhut Saa Time Lagh Jaye Ga.Ek Baat Humein Samajh Laini Chaiye Hay Kay Jabh Tak Hum Talent,Merit Or Transparency Ko Ehmiat Nahi Dein Gay Hum Iss Se Bee Nechay Jaien Gay.Humein Ubh Bhut Kuch Badalna Hu Ga Cricket Ko Bee Shahi Mehlaat Sey Nikaal Kar Crickters Kay Hawalay Karna Hu Ga Har Shubay Se Insaaf Karna Hu Ga Sonay Kaa Nivalaa Khila Kay Sheir Wali Nazar Rakhna Hu Ge.Ubh Seats Ko Siasi Reshwat Kay Bajaye Cricket Kay Khidmat Guzaro Kay Hawalay Karna Hu Ge.Schools Colleges Universities Mein Khel Ko Ehmiat Dee Jaye Grounds Ki Tadaad Mein Izafa Karnay Kay Sath Sahooliaat Mein Izafa Karna Hu Ga Werna Duniya Agay Nikal Jaye Ge Or Humein Qualifying Rounds Khelna Par Jaien Gay Ju Haal Humara Hockey Mein Hu Chucka Hay.

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1253761 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.