Face Book

(hukhan, karachi)

Jabh Hum Zara Kam Kam Aqalmand Hua Kartay Thay Kici Ny Hum Se Kaha Bahi Sabh Kia Ap Face Book Se Kitni Jaankaari Rkhtein Hein Hum Tharay Sada Kay Shaierna Tabiat Kay Insaan Hum Jhat Se Bolay Kay Wo Humein Kahien Korh Maghaz Na Samajh Lay ,,Koi Bee Kitaabi Chahra Face Book Hi Hu Ga Pohcnay Walay Nay Asay Sar Hilaya ,,Jasay Qoum Nay Nawaz Sharif Kay Kashkool Tornay Kay Elaan Ko Sun Kay Hilaya Tha Kher Humein Apni Danish Par Pora Bhrosa Tha Is Liye Humein Us Kay Sar Ki Harkat Se Koi Sarokaar Naa Tha.Pehlay Shaier Hazraat Kici Dil Ki Wardaat Kay Liye Mosam ,Shadi,Eid Ya Function Ka Intezzar Kia Kartay Thay Iss Kay Baad Koi Wardaat Hu Jaya Karty Thee Pata Chalta Tha Kay Poet Bahi Ain Stage Par Pehli Bv Se Pit Jaya Kartay Thay Magar Ubh Ye Dil Ki Waardaat Wala Kaam Face Book Nay Apnay Zimay Lay Lia Hay Agar Shadi Kamiyabh Hu Gai Tu Sab Acha Werna Asee News Banty Hay,,,,Face Book Ki Muhabat Ka Anjaam,,,Larki Nay Shadi Kay Pehlay Din Hee Larkay Ko Dour Fitte E Munh Keh Dia.Multan Ki Larki Karachi Mein Dar Badar Thokray Khanay Par Majhboor Police Nay Larki Ko Daarul Amaan Behjh Dia Gharz Har Wardaat Face Book Kay Khatay Mein Daal De Gai Magar Ye Pata Na Chala Ajh Tak Kay Kitnay Pairs Hansi Khushi Reh Rahay Hein Kon Kon Mojh Kar Rahay Hay,Face Book Na Hu Gai Soteli Maa Hu Gai.Har Haseena Face Sey Hee Book Hu Jaty Hay Magar Kia Kijiye 2 Din Mein Hee Naani Yaad Aa Jaty Hay.Bahi Hum Tu Ye Hi Kehtay Hein Kay Paratha Or Eshq Garam Hi Acha Laghta Hay.Face Book Par Partha Tu Milta Nahi Werna Hum Isay Din Raat Use Kartay.Wesay Iss Kaa Naam Badal Dena Chaiye Jasay Kay,,Atay Jao Phanstay Jao,,,Dour Kay Dhool Suhanay,,,,Aam Kay Aam Ghathlion Kay Daam,,,,Ubh Faranghii Humaree Ye Advise Tu Lainay Se Rahay Fer Bee Hum Ajh Tak Samajh Nahi Paye Kay Agar Face Book Block Ya Hack Hu Jaye Ya Operate Na Hu Sakay Society Mein Ek Bhunchaal Saa A Jata Hay Har Koi Asa Bokhlaya Hua Nazar Ata Hay Jasay Bijli Ka Bill Mahinay Mein Du Baar A Gia Hu.

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1253686 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.