Khuwaab Darhaqiqat Us Haseen
Dunya Ka Naam Hai Jahan Her Cheez Insaan Ki Apni Marzi Ki Hoti Hai.Jo Loug Sirf
Sutay Soutay Khwaboun Ki Dunya Mai Rahtay Hai Unki Zindagi Mai Kamiyabian Sirf
Khwaab Mai Hi Hoti Hai.Laikin Hoshiyaar Aur Samjhdaar Loug Khwaboun Ko Raat Ki
Neend Mai Nahi Daikha Kertay Balkay Jalti Hue Dhoop Mai Apnay Khwaboun Ki Tabeer
Ko Talash Kertay Hai.Yeh Woh Loug Hai Jo Haqiqi Dunya Mai Rahtay Hai Aur Woh Her
Naa Umeedi Aur Sakhti Ko Paar Kertay Hue Kaantoun Ka Bistar Apnay Liay Muntakhib
Kartay Hai Is Dunya Aur Anay Waly Waqt Kai Liae Phooloun Ko Samaittay Hai.
Khawaab Yeh Nahi Hota Naram Naram Bistar Per Lait Ker Daikha Aur Subha Aankh
Khuli Tou Woh Pora Hogaya Yeh Sub Tou Filmi Baatain Hai Khwab Tou Itnay Kamtar
Aur Kamzor Hotay Hai Kai Zaara Sai Shour Sai Woh Insaan Jo Badshah Bana Hua Tha
Khwab Mai Us Ko Apni Haqiqat Mai Laiaatay Hai.Zara Si Aawaz Us Ko Haqiqat Ki
Dunya Sai Lai Aati Hai Aur Phir Insaan Yeh Kahtay Hai Kai Kambakhamaaray!!!!!!!
Kue Itna Shour Macha Rahay Hou Itna Acha Khwab Daikh Raha Tha .Mairay Nazdeek
Khawab Ki Haqiqat Yehi Hai Kai Khwab Woh Hotay Hai Jo Insaan Sai Us Ki Need
Cheen Laitay Hai Aur Us Ko Sonay Nahi Daitay.Kamiyaab Insaan Khwab Sou Ker Nahi
Balkay Jaag Ker Daikhta Hai.Aur Darhaqiqat Wohi Insaan Is Dunya Mai Kamiyaab Hai.
Hum Khawboun Mai Rahtay Hai Jabhi Hum Azaaboun Mai Rahtay Hai
Yeh Aman O Aatashi Falah O Riyasat Yeh Sub Nisaaboun Mai Rahtay Hai
Humaray Humkunraan Jaag Kar Sirf Yehi Koshish Kertay Hai Kai Awaan Kai Khawaboun
Mai Behtari Kaisay Laie Jae.Takkay Hum Loug Kamiyaab Ho Aur Isi Tarha Hukumat
Ker Kar Awaan Ko Khwaboun Ki Dunya Mai Bhaij Ker Khud Aik Mukamal Neend Soya
Kertay Hai.
Aakhir Mai Sirf Yeh Kahna Chahti Hou Kai Kuch Loug Pouri Raat Aur Din Khwaaboun
Ki Dunya Mai Rah Kar Guzaar Daitay Hai Halakay Khwaboun Ki Haqiaqt Palak
Japaknay Sai Toot Jati Hai .Itni Kamzour Cheez Humay Manzil Tak Bhala Kaisay
Pouhcha Sakti Mairay Humwatnoun Khwab Jaagtay Hue Daikho.Mukammal Hosh O Hawaas
Mai Daikho Aur Jaagtay Hi Hue In Ki Tabeer Ko Tallash Kero Yaqeen Jano Tabeer
Tmharay Ghar Kai Darwazi Per Khud Dastak Dai Rahi Hogae.
Azaaboun Mai Is Liae Hai Kai Khwabon Mai Hai Hum
Khawaboun Ko Dost Haqiqat Bhi Samjtay Hai Hum
Kai Toot Jatay Hai Zara Sai Shour Sai Khawaab Iqra
Aisi Kamzour Cheez Ka Sahara Nahi Laitay Hai Hum