SOCHTA Hun Uss Ko Paa Kar Kia
Karna,,Jis Nay Ap Ki Qadar Nahi Karni,,,,Life Ko Paruu Tu Koi Sabaq Samajh Hi
Nahi Ata Jabh Samajh Mein Ata Hay Bhut Deir Hu Chuckee Huty Hay ,,Har Mor Par Ek
Naya More Sarak Kabi Seedhi Chal Kay Hee Nahi Dety Kabi Koi Eshara Sarak Kay
Kinaray Humein Samajh Nahi Ata Or Kabi Hum Uss Esharay Ko Samajh Nahi Atay
,,,Magar Naa Tu Safar Khatam Hu Kay Deta Hay Or Naa Hee Saans,,,,,Apnay Ass Paas
Nazar Douraiye Tu Asa Laghta Hay Jasay Hum Sab Say Peechay Reh Gaye Hein Or Sab
Kuch Agay Nikal Giya Hu,,Na RABH Mil Kay Diya Na Hi Hum Usay Samajh Paye Bas Dil
Ki Dharkan Agay Agay Or Hum Peechay Peechay Bas Ek Na Tamaam Safar Ek A Tamaam
Arzoo Or Humara Beymaani Saa Wajoodh ,,,,,Har Shaam Udaas Qun Hu Jata
Hun,,,Udaasi Bee Tu Ek Lazat Hay Ye Qun Bhool Jata Hun.Dil Bee Ghulaam Hay
Khahishon Ka Har Cheese Ju Uss Ki Nahi Bee Hu Uss Ko Bee Pana Chata Hay Or Paa
Lay Tuu Thak Jata Hay,,Kehta Hay Ubh Cheson Ko Bye Pass Kro,, Janay Saans Qun
Phool Jaty Hay,,,Janta Hun Abhee Safar Baqi Hay.Manzil Paa Laina Hee Kafi Nahi
Uss Par Khud Ko Qaim Rakh Laina Bee Ek Kamiyaabi Hay Magar Asa Safar Ju Dosron
Ko Phlangh Kar Dhukay Dey Kar Taye Kia Jaye Uss Mein Badnaseebi Or Buduaein
Shamil Hu Jatein Hein Ye Uss Andehri Manzil Ki Taraf Lay Jatee Hay Jis Mein Noor
Ki Koi Kiran Nahi Mil Paty.Hum Soch Kay Safar Ko Agar Naiki Achaiee Or Emaan Ki
Taza Hua Detay Rahein Ye Kamiyabii Or Kamraani Ki Taraf Lay Jatay Hein.Bas
Aghaaz Acha Hu Tu Anjaam Kabi Buraa Nahi Huta Apni Mehnat Mein RABH Ki Raza Ka
Tarka Laga Denay Se Na Serf Phal Mazeedar Hu Jata Hay Dil Ko Bee Bye Pass Ki
Zarorat Nahi Rehty.Agar Risk Lainay Mein Khatra Jaan O Maal Hu Tu Safar Hamesha
Ahista Or Poch Poch Kay Karnay Mein Nakaami Ka Khadsha Zero Hu Jata Hay.Manzil
Ko Paa Laina Hee Sab Kuch Nahi Magar Seedha Or Sacha Raasta Laina Or Uss Par
Chalna Hee Kamiyabi Sey Zayda Mohtram Or Bais E Shaadmani Hay.