LOGH Zamanay Ki Chaal Kay Sath
Chaal Milanay Ko Zamana Shanasee Kaa Naam Detay Hein Or Asay Insaan Ko Mamiyabh
Insaan Qaraar Detay Hein.Asa Shakhs Ju Zamanay Ki Ounch Neech Ko Samjhay Ju Jaan
Lay Kay Kis Mosam Mein Kia Laibaas Zaib E Tan Kia Jaye Ju Ye Jaan Lay Kay Kisay
Han Karni Hay Hay Or Kisay Naa Karni Hay Ju Naap Tol Kay Bolay Ju Har Mosam Har
Rangh Mein Dhal Jaye Wo Tehra Ankh Kaan Wala Baqi Sab Andhay.,,Har Mosam Kaa
Ashnaa Hun Mein,,,Har Tara Ka Danaa Hun Mein,,Sab Kehtay Hein Balaa Kaa Siaana
Hun Mein.Iss Baat Mein Tu Barhaal Bahut Wazan Hay Kay Zamanay Ki Chaal Kay Sath
Chalna Chaiye Magar Manzil Achi Hu Or Dosron Ko Rondha Na Jaye Tu Humein Koi
Etraaz Nahi Isi Tar Har Mosam Mein Har Tra Kay Mahool Mein Khud Ko Dhaal Lainay
Mein Koi Muzaiqaa Nahi Magar Kici Ka Haq Na Mara Giaa Hu Degree Laina Apply
Karna Pher Uss Ki Tayaree Karna Sab Kaa Haq Hay Magar Pasay Or Sefaarish Kay Bal
Botay Par Kamiyaabi Hasil Kar Laina Kamaal Nahi Gunah Hay,,,Kici Zinda Ko Qun
Rondh Kay Agay Bartay Hu Kia Hua Ju Qazi A Shaer Khud Hi Zaalim Hay.Insaan Bahut
Besabra Hay Har Uss Cheese Kay Liye Machalta Hay Ju Uss Ko Waqty Faida Or Kam
Waqty Asoodhghi Pohanchaaty Hay Har Chamkanay Wali Cheese Jis Tra Sonaa Nahi
Huty Isi Tra Har Kamiybai Deirpaa Or Khushaali Ki Zamanat Nahi Huty ....Janay
Lambhay Safar Se Qun Ghabhraa Jatay Hein Logh,,,Manzil Mein Kis Qadar Haseen
Musaafer Miltay Hein.....Kici Ki Muskrahat Anmol See Huty Hay,,,Jis Se Dil Mein
Ek Gudhgudi See Huty Hay,,,Asee Muskrahat Paida Karnay Walay Kaa Ehsaan Huty
Hay. Agar Insaan Dil Jamee Se Huslay Say Sabit Qadmay Se Or Saaf Niyat Se Laeis
Hu Kar Apnay Aap Ki Taameer Karay Tu Har Shae Mein Uss Ko Asoodghi Kamiyabi Mil
Jaty Hay Uss Kay Saye Say Bee Logh Faiz Uthatay Hein.Agar Insaan Bana Hay Tu
Sakht Dopehar Mein Khuray Uss Darakht Sey Sabaq Lo Insaaniyat Kaa Ju Wo Har Ek
Ko Saya Dey Kar Apnay RABH Ka Ehsaan Utaarta Hay,