Eid Ul Azha Ki Agar Baat Ki
Jaye Tu Yeh Eid Ek Triangal Ki Trah Hay Jis Kaa Markazi Mahwar Shohar Or Baqra
Hutay Hein Wesay Tuu Baqray Or Shohar Mein Kuch Asa Zayda Farq Nahi Hay Dono Ko
Churry Talay Ana Huta Hay Baqray Ko Qasaiee Ki Churry Talay Ana Hutay Hay Jabh
Kay Har Saal Qubaan Hunay Walay Shohar Ko Mehanghai Ki Churry Talat Ana Huta
Hay.Yeh Eid Bhut See Muskilaat Bee Sath Laaty Hein Duu Masoom Jaandaar Apni Jaan
Say Jatay Hein Baqra Tu Ek Baar Qurbaan Hu Kar Alam E Bala Pohanch Jata Hay Jabh
Kay Shohar Naam Ki Azeem Makhlooq Pher Sey Qurbaan Hunay Ko Tayaari Shuro Kar
Dety Hay.Subah Huty Hay Allah Kay Darbaar Mein Hazree Denay Kay Baad Shohar
Qasaiee Ki Talash Mein Nikal Jata Hay Eid Say Pehlay Wo Bivi Ki Bhut See
Jehrkiaan Sun Kay Baqra Mundi Jaa Kar Baqra Lata Hay Uss Ki Munh Dekhaiee Kay
Time Bivi Saas Or Muhalay Daarun Say Bahut See Laan Taan Sunta Hay.Pher Qasaiee
Kay Asay Nakhray Uthata Hay Jasay Modhi Kay Lahore Mein Sharif Saabh Nay Uthaye
Thay Magar Shohar Bee Bechara Mazbooza Kashmir Kay Basion Ki Tra Bahrtee Fojion
Ki Golion Jasay Tanay Sunta Hay Bas Farq Ye Hay Unkay Jisam Zakhmi Hutay Hein
Jabh Kay Masoom Say Shohar Ki Rooh Zakhmi Hu Jaty Hay.Magar Shoharon Par Zulm O
Sitam Ki Tareekh Shaied Hay Kay Bivion Ko Ajh Tak Naa Tu Shoharon Ko Laya Hua
Baqra Pasand Aya Hay Naa Hi Uss Kay Laye Huay Qasaiee Ki Banaiee Hui Botiaan
Pasand Ayein Hein Agar Shohar Ghalty Baqray Mein Sey Daryaaft Koi Acha Saa Gosht
Apnay Behan Bahi Mein Sey Kici Ko De Dey Tuu Samjhaiye Shohar Apni Boty Dey Kar
Hee Jaan Churaah Sakta Hay Werna Uss Ki Bivi Usay Asay Asay Tanay Dety Rahay Gee
Kay Aap Ajh Kal Ki Oposition Kay Tanuu Or Naron Ko Bhool Jaien Gay...Mein Har
Eid Par Sara Din Muskarata Hun Kaan Mein Roii Daal Kay Hee Ghar Jata Hun,,,,,Ye
Mera Sheir Nahi Hay Aap Ko Mashwara Hay Manu Naa Manu Ap Ki Marzii