Sonaa Zarori Hay

(hukhan, karachi)

Ye WO SONA Nahi Ju Mard Hazraat Kay Liye Mamnouh Hay Insani Sehat Kay Liye Neend Bahut Zarori Hay Wesay Tu Kaha Jata Hay Neend Soli Par Bee Aa Jaty Hay Magar Har Insaan Shadi Shuda Nahi Huta Iss Liye Sooli Ya Kaanton Wala Formula Ya Kahaawat Sab Par Fit Nahi Hutay Jadeed Tehqeeq Kay Mutabiq Achi Neend Achi Sehat Ki Zamanat Hay Bachun Ko 10 Ghantay Or Baron Ko 8 Ghantay Sona Chaiye Duniya Mein Sab Sey Behtar Neend Karnay Walon Mein Netherland Sab Say Agay Hay Iss Kay Baad Newzealand Finland Or England Kaa Number Ata Hay Sab Land Zada Logh Achi Neend Kartay Hein Pakistan Jasay Tesree Duniya Kay Logh 6 Ghantay Hee So Patay Hein Naiee Tehqeeq Mein Ye Baat Bee Samnay Ayee Hay Kay Insaan 2 Breaks Mein Neend Karnay Say Zayda Chaak O Chubandh Rehta Hay Yeni Kay Wo 4 Bjay Subah Uthay Jaye Pher Saray Kaam Niptaa Kar 2 Ghantay Kay Liye Pher Se So Jaye Tu Uss Ki Zehni Jismaani Sehat Par Achay Asraat Muratabh Hutay Hein Magar Pakistani Tu Bijli Naa Hunay Ki Waja Say Wesay Hee Raat Kay Kici Be Pehar Uth Khuray Hutay Hein Or Pher Hakoomat Ko Koi 12 Ya 20 Kilo Wazni Gaaliaan Dey Kar Sonay Ki Koshish Kartay Hein Hakoomat Kahty Hay Kay Ye Logh Humein Gaaliaan Nahi Detay Balkay Koi Bv Se Koi Perosee Koi Boss Se Koi Bachun Ka Ghusaa Hakoomat Par Utara Jata Hay Iss Zahni Assodhghi Kaa Naa Tu Hakoomat Koi Charge Karty Hay Naa Hi Tax Laty Hay Balkay Ye Awaami Free Sahulat Hay Ye Bee Iss Jamhoori Hakoomat Kaa Hi Karnama Hay Ju Kay Dictator Ki Hakomat Mein Nahi Diaa Jata Kher Baat Asal Mein Ye Hay Kay Humein Laazman Pori Neend Laini Chaiye Duniya Ki Muhazibh Qomon Ki Tra Werna Asa Naa Hu Kay Hum Education Sports Communication Health Ki Tarh Neend Mein Bee Mazeed Pechay Hu Jaein Har Pakistani Ko Iss Tra Ghoray Khotay Baqriaan Bech Kay Sona Chaiye Kay Sab Hum Par Ash Ash Karein Ye Zyda Mushkil Kaam Bee Nahi Iss Kaam Kay Liye Sarkaree Machinery Use Ki Jaa Sakty Hay Ohu Bahi Machinery Sey Muraad Sarkaari Mulaazim ,,,Kabi Jaiye Dekhiye Kasay Wo Daftar Mein Sotay Hein,,,Mein Tu Kehta Hun,,,,,,,,,,,,,Meray Pakistanio Seekhu Inn Sey Seekhu,,,,,,Kahein Pher Naa Deir Hu Jaye,,

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1254802 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.