PAKISTAN Kay Taleemi Nizaam Kay
Baray Mein Report Publish Hui Hay Kay Pakistan Apnay Taleemi Mayaar Kay Etebaar
Say Duniya Say 60 Saal Pechay Hay Meray Jasay Khudsakhta Danishwarun Ka Kehna
Hay Kay Agar Hum Parents Kay Efforts Ko Iss System Say Minus Kar Dein Or Private
Sector Ki Khidmaat Bhalay Intehaiee Mehnghee Hi Sahi Taleemi Maidan Say Nikaal
Baher Karein Or Sarkaar Kay Reham O Karam Par Pora Nizam Chore Dein Tu Hum 160
Saal Iss Maidaan Mein Duniya Say Pechay Reh Jaein Gay Karachi Kay Secondary Or
Intermediate Board Kaa Ehwaal Tu Bacha Bacha Jantay Hein Kay Wahan Ubh Fia Cia
Nab Or Anti Corruption Kay Dairay Hein In Dono Kay Baad Dekhtay Hein Sind Ki
Jaamiaat Ka Number Kab Ata Hay ,,,,Manta Hun Sharam Ka Muqaam Hay,,,Har Taleemi
Edaraa Bas Ek Dukaan Hay,,,,,,Har Ustaad Dukaandaar.Jasay Doctor Mareez Ko
Customer Uss Kay Marz Ko Apni Duaon Ka Asar Samajhta Hay.Taaleemi Nizam Mein 2
Character Bhut Eham Hein Ek Ustaad Dosra Shagird Sara System In Kay Gerd Ghoomta
Hay.Pashay E Peghambhri Kay Baray Mein Ubh Yahan Ye Mashhoor Hay Kay,,Ju Kici
Kam Da Ni Ustaad Bana Du.Kici Mehakmay Mein Agar Kici Sifaarshi Ki Jagah Nahi Tu
Uss Ko Education Mein Khapa Dia Jata Hay Pher Wo Humaree Naslon Ko Wo Beraa
Gharq Karta Hay ,,,Naa Manzil Milty Hay Naa Hee Nishan E Manzil.Hakoomat Blocks
Lohay Lakree Say Emaarat Bana Kay Befiqar Hu Jaty Hay Bacha Hay Nahi Hay Ustaad
Hay Nahi Hay Bijli Pani Kitabh Basta Qalam Dawaat Say Sarkaar Ko Kia
Sarokaar.Hakomaty Ulaadhein Baray Baray Private Taleemi Edaarun Ko Ronaq
Bakahtay Hein Pher Yahan Say Abroad Jaa Kay Degree Hasil Kar Laitein Hein Or
Pher Wo Sarkaar Ban Jatay Hein.Ajh Wo Hi Qom Taraqi Kar Rahee Hay Ju Bila
Imtiaaz Ameer Ghareeb Mard O Zann Taleem Yafta Hu Rahee Hay Ajh Wo Chaand Taron
Par Kamandh Daal Rahay Hein Kainaat Ki Haqiqtoun Ko Jaan Rahay Hein Mosamon Par
Qabu Paa Rahay Hein Hawaon Mein Moualiq Pull Bana Rahay Hein Or Hum Kaha Hein
Kis Taraf Jaa Rahay Hein ,,,,,,,,,,,,Mein Janta Hun La Ilm Hu Ilm Say,,,Khud Say
Kainaat Say Apnay RABH Say