3 October Non Violence Day

(hukhan, karachi)

U N O Nay 3 Oct Ko Tamaam Duniya Ko Adam Tashadud Kay Din Kay Tour Par Mnanay Ko Kaha Hay Iss Tra Say U N O Duniya Mein Tashadud Ki Husla Shikni Karna Chah Raha Hay.Iss Mein Koi Rati Bhar Bhee Shaq Nahi Kay Duniya Ki Taraqi Mein Sabh Say Baree Rukawat Wo Gher Insaafi Wo Adam Musawaat Hay Ju Insaan Mein Ghusa Nafrat Eshtiaal Or Baghawat Kay Jazbaat Paida Karta Hay Jis Say Bani Noh Insaan Jangh O Jadal Or Qataal Par Amada Huta Hay Kash U N O Iss Faislay Ko Nichli Satah Tak Mnanay Kaa Hukam Deta,,Jasay 3 Oct Ko Koi Saith Kici Mazdoor Par Zulm Nahi Karay Ga,,Koi Hakoomat Apnay Awaam Par Mehanghaiee Kaa Bomb Nahi Geraaye Gi,,,,Kici Ko Nokery Say Kam Se Kam 3 Oct Ko Nahi Nikala Jaye Ga,,Koi Bv Apnay Khawandh Par Sitam Nahi Dahye Ghee Koi Saas Bahu Par Uss Din Zulm Nahi Karay Ghee Shaitaan Uss Din Sick Leave Par Hu Ga Koi Poet Uss Din Ashiqana Poetry Nahi Karay Ga 3 Oct Ko Kici Ranjhay Ki Heer Farhad Kay Sath Nahi Bahghay Gee Agar U N O Ye Sabh Apnay Charter Mein Shaamil Kar Lay Tu Humein Yaqeen Hay Kam Say Kam Hum Tu 3 Oct Ko Eid Ki Tra Manayein Gay Magar Bechara U N O Ki Sunta Hee Kon Hay Werna Kashmir,Phalistine,Shaam,,Iraq,,Mein Asee Aagh Naa Laghi Huty.Wesay West Nay Ye Acha System Bna Rkha Hay Kay Har Din Mnanay Ko Rkh Dia Hay Momz Day Fathers Day Brothers Day Sisters Day Orange Day Mango Day Aman Day Jang Day Maar Kuttaaie Day Pora Saal Koi Na Koi Din Mnatay Rahu Jabh Din Mein Time Naa Milay Tu Shaam Mna Lo Werna Pori Raat Tu Apni Hay Hee,,,Jala Kay Mom Baty Sarak Par Para Rehta Hun Mein Ashiq E Nakaam Nahi Bijli Say Mehroom Hun.Bijli Pani Pasay Jutay Kapray Or Izat Na Huna Ye West Ka Problem Nahi Ye Hum Ghreebon Ka Masla Hay,,,Kia Kron Izat Jaty Hay Baar Baar Light Aty Hay Bas Ek Baar.Hakeem Sahibh Say Kaha Kuch Asa Kijiye Ya Phaaki Dijiye Kay Light Izat Rozy Umar Janay Ka Koi Gham Or Ehsaas Naa Rahay Hakeem Sahibh Nay Phaki De Dee Hum Nay Kha Bhee Li Subah Tak Koi Gham Pas Na Aya Hum Gatar Ki Naali Say Uthay Ghar Gaye Pata Chala Hakeem Nay Afheem De Di Thee.

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1195676 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.