AJH Kal Internet Nay Insaan Ko
Asay Jaal Mein Phansa Lia Hay Kay Oxygen Milay Na Milay Internet Milna Chaiye
Khud Ki Speed Bahlay Kachway Jeci Hu Net Ki Speed Jemican Bolt Jeci Hu.Ghar Mein
Pani Bijli Rashan Hu Na Hu Magar Kitchen Bhee Internet Say Malaamaal Huna
Chaiye.Ap Ko Juta Khana Hu Ya Laina Hu Internet Hazir Hay.Koi Mehngha Saa Aroosi
Laibaas Darkaar Hu Ya Mailee See Dhuty Chaiye On Line Shopping Kijiye Har Chese
Aap Kay Qadmon Mein Hazir Hay.Hazaaron Milon Kay Faslay Iss Tra Say Simat Gaye
Hein Kay Aap Apni Bv Say Hazaron Koos Dour Hu Kar Bhee Roz Subah Shaam Daant
Suntay Hein Saas Ap Ko Pakaaty Hay Saali Bhee Khuree Khuree Sunaty Hay.Bv Ka
Munh Wo Hi Puarana Wala Magar Skyp Par Daily Wo Naye Sey Naya Munh Bnaaty
Hay.Baat Asal Mein Ye Hay Kay Aap On Line Hu Kar Bhee Bahut Say Nosar Bazu Kay
Hath Char Jatay Hein Jutay Ki Jagah Chapal Numaa Juta Aa Jata Hay Patloon Ki
Jagah Dhuty Or Bv Ki Jagah Saas Aa Jaty Hay.Humaray Ek Dost Nay Ju Internet Ko
Science Ki Sabh Say Baree Ejaadh Samjhta Hay On Line Shopping Kartay Huay
Shalwaar Kamiz Ka Order Dia Jabh Taqreeb Say Pehlay Suit Ka Packet Khula Tu
Color Size Sab Theek Tha Bas Suit Zanaana Nikla Wo Uss Mein Bahbhi Bahbhi Sa
Lagh Raha Tha.Isi Tra Ek Bahut Hee Masroof Kisam Ki Khatoon Nay Makeup Kaa
Samaan Manghwa Lia Jis Kay Istemaal Kay Baad Wo Mazeed Drowni See Hu Gein
Khatoon Kay Bachayy Darr Kay Perose Mein Bahgh Gaye Baree Mushkil Say Unay
Yaqeen Delaya Kay Yah Churrail Hi Tumhari Ammi Hay Maaf Kijiye Gah Unhein Yaqeen
Delaya Gia Wo Churail Nahi Aap Ki Ammi Hay.Online Shoppinhg Ka Ek Faida Ye Bhee
Hay Kay Aap Bazaar Jaa Kay Beywaqoof Nai Bantay Balkay Ghar Baithay Hee Mamon
Ban Jatay Hein Jis Se Ap Ka Kafi Time Mazeed Barbaad Hunay Say Bach Jata
Hay.Internet Kay Orr Bhee Bahut Say Faiday Hein Jin Par Baad Mein Roshni Dalain
Gay Qun Kay Abhi Humaree Tarch Ki Battery Low Hu Rahi Hay Hum Mazeed Kuch Bhee
Roshan Nahi Kar Saktay.