Ajh Kal Insaan Hi Fi Ban Janay
Kay Liye Wi Fi Kaa Mohtaajh Hu Kar Reh Gia Hay Ubh Ye Status Symbol Bhee Ban Gia
Pehlay Kehtay Thay Jis Nay Lahore Nahi Dekha Uss Nay Kuch Nahi Dekha Hum Bhee Ek
Dafa Jabh Hum Naye Naye Naye Baaligh Hunay Walay Thay Shumaal Kay Saffar Ko
Niklay Tu Socha Lahore Bhee Dekhtay Chalein Hum Nay Lahore Ko Dekha Tu Barjasta
Munh Say Nikla Uff Ye Kia Dekh Lia,,,,Kher Ubh Tu Lahore ,,,,Lahore Hay,,,Zahir
Hay Wo Newyork Tu Hu Nahi Sakta So Iss Liye Ye Baat Confirm Hay Kay Lahore
,Lahore Hay .Ubh Tu Kahaawatein Dialogue Sabh Badaltay Jaa Rahay Hein Pehlay
Hero Kehta Tha Teray Pas Garee Hay Banghla Hay Tuu Kia Hua Meray Pass Maa Hay
Ubh Ye Dialogue Kuch Yun Hu Gia Hay ,,Teray Pass Maa Hay Meray Pass Wi Fi Hay
Jis Ghar Mein Wi Fi Nahi Uss Ghar Mein Kuch Nahi ,,,Zamanay Kay Badaltay Rehtein
Hein Andaaz ,,,Tu Fiqar Naa Kar Bas Jeeta Reh Bin Daas.Iss Mein Koi Shaq Nahi Ye
Fee Zamana Har Kici Ki Zarorat Hay Ubh Hum Iss Kay Bina Bahut See Dushwarion Ka
Samna Kar Saktay Hein Ghantu Ka Kaam Minton Mein Kar Kay Apna Qimty Waqt Bacha
Saktay Hein Ilm Adab Science Mazhabh Or Social Life Mein Internet Insaani Hath
Paon Ki Tra Kaam Kar Raha Hay.Faaslay,Technology,Research Sab Kuch Har Insaan Ki
Dastras Mein Anay Laga Hay Bahut See Research Ju Teesri Duniya Kay Malkon Mein
Barson Baad Pohancha Karty Thee Ubh Lamhun Mein Sabh Uss Say Mustafeez Hu Saktay
Hein .Aap Lamhun Mein Baree Baree See Shakhsiat Ko Tangh Kar Saktein Hein
Heroine Ko Ankh Maar Saktay Hein Boxer Ko Challenge Dey Saktay Hein Or Kici Ko
Bee Dekh Kay Dour Laga Saktay Hein Ghar Baithay Duniya Bhar Ki Dishes Paka
Saktay Hein Net Kay Zariye Husband Ko On The Spot Daant Saktay Hein Koi Farmaish
Kar Saktay Hein.Ajh Kaa Insaan Agar Hi Fi Huna Chahta Hay Tu Uss Ko Wi Fi Huna
Paray Ga Jis Tra Life Kay Liye Sab Kehtay Hein Jin Mein Hum Shaamil Nahi Kay
Wife Zarori Hay Issi Tra Life Kay Liye Ubh Wi Fi Bhee Zarori Hay.Aap Iss Kay
Zariye Kaam,,Shopping,,,Inteqaam Sab Kuch Lay Dey Saktay Hein Bas Ap Ko Wi Fi
Huna Paray Ga.