Paskistan Asian Tiger Ban Jaye
Ga,Bijli 2018 Mein Kabi Naa Janay Kay Liye Wapis Aa Jaye Gee,Mehanghaie Ko Logh
Taras Jaein Gay,Education Free Hu Jaye Gee Ek Bee Bacha Taleem Say Mehroom Nahi
Reh Paye Gaa,Sehat Tu Asee Hu Jaye Gee Har Pakistani Ki Kay Har Koi Pehalwaan
Lagay Ga ,Train ,Plane Or Road Kaa Safar Asa Hu Jaye Ga Kay Logh Duniya Mein
Europ Kay Bajaye Pakistan Ki Misaal De De Kar Thak Jaien Gay Nokeriaan Itni Hun
Gee Kay Wo Pakistanio Ko Dhundhty Pherein Gee ,Pakistan Ki Abadee Par Control Hu
Jaye Ga Roty Kapra Or Makaan Kaa Naraa Dumm Tor Jaye Ga.Ye Sab Wo Batein Hein Ju
Hum Har Hukmaraan Say Suntay Hein Or Baar Baar Hazaar Baar Suntay Chalay Aein
Hein Naaumeedi Kufar Hay Magar Asee Umeed Sheikh Chili Kay Khabh Jesi Hay .Jis
Tra Palnay Mein Poot Kay Paon Bata Detay Hein Kay Wo Anay Walay Kal Mein Iss
Paon Say Kis Kis Ko Kick Maray Ga Issi Tra Hakoomat Ki Policies Bata Dety Hein
Kay Uss Saay Awaam Kitni Umeed Rakhay Or 2 Saloun Mein Hee Hakoomat Kaa Kacha
Chataah Khul Kay Samnay Aa Jata Hay Taleem ,Sehat Or Awaami Bunyaadi Souhalatun
Ko Jis Tra Say Pas E Pusht Daal Kay Humaray Hukmaraan Apnay Aamraana Faislon Ko
Jamhoriat Kay Kafan Mein Lapait Kay Awaam Par Musalat Kartay Hein In Say Pata
Chalta Hay Kay Inn Loghun Ko Kitna Awaami Masaiel Kaa Adraakh Hay Kitna Dard Hay
Awaam Ka Kis Qadar Inn Mein Salaaheiten Hein Inn Masaaiel Say Nipat Laini Ki
Shaied Wo Ghareebun Ko Asay Hee Dekhtay Hein Jasay Koi Sad Story Movie Hu Jis Ka
Haqiqat Say Zayda Wasta Naa Hu Inn Kay Masaiel Jasay Film Kay Sath Hee Khatam Hu
Gaye Hun...Har Shakh Pr Ulo Baitha Hay Mjy Shakh Ki Nahi Ulo Ki Fiqar Khaty
Hay,,,Janay Qun Hakoomat Hamesha Ghareeb Kay Sabar Ko Hi Azmaaty Hay.Mera
Khiyaal Hay Jabh Tak Pm House Kici Jhunpri Mein Shift Nahi Kia Jata Ya Pher Kici
Jhunpri Walay Ko As Pm Pm House Mein Shift Nahi Kia Jata Ye Ghareebun Kay
Problems Khatam Hunay Walay Nahi Mujhay Yaqeen Hay Paper Mein Likhi English
Jhunpri Wala Bee Par Or Likh Lay Ga Meray Piaray Parnay Walo Umeed Par Duniya
Qaiem Hay,,,,We Dont Have Another Choice So,,,,Stuck On Hopes