Aalo Ki Siaasata

(hukhan, karachi)

Humaree Siaasat Mein Du Cheezein Bahut Ehmiat Ekhtiaar Kar Chukee Hein Ek Dharna Or Dosra Aalo Koi Bee Siaasi Takraa Dekh Lijiye Ajh Kal Wo Aloo Panama Or Dharnay Kay Ziqar Kay Bina Bilkul Adhuraa Hay Pm Sahibh Ju Kay Kai Dafa Aalo Ko Sharf E Zikriat Ata Kar Chukay Hein Pehlay Tu Hum Samjhay Shaied Pm Sahibh Kici Minister Ko Piaar Say Alloo Kehtay Hein Magar Humaree Danishwarana Tahqiqaat Say Pata Chala Kay Aaloo Ka Baar Baar Piar Say Ziqar Uss Kay Sastay Pan Ki Waja Say Hay Magar Jahan Tak Humara Hafzaa Ya Yun Keh Lein Shararty Zehan Kaam Karta Hay Iss Baar Wo Jabh Unhun Nay Fakhar Say Seena Thok Kay Apni Hakoomat Kay Qarnamay Ginwana Shuro Kar Diye Tu Kici Na Aqabatandesh Musheer Kay Bataye Huay Rate Par Emaan Latay Huay Keh Dia Kay Humaree Hakoomat Kay Shaandaar Kaarnamun Mein Say Ek Bara Qaarnama Atomic Blast Thay Or Dosra Aaloo Ki Qimat 80 Rupay Say 25 Rupay Tak Lay Ana Hay Jasay Aaloo Say Bijli Gas Petrol Paida Kiya Jata Hu Agar Meray Parnay Walon Ko Ya Yun Keh Lijiye Hamariweb Lovers Ko Yaad Hu Ga Jabh Pm Sahibh Nay Qom Kay Samnay Ye Azeem Khushkhabri Dee Thee Kay Aaloo 5 Rupay Kg Hu Gaye Hein Humaray Petrol Par 500 Lagh Gaye 3 Jutay Barbaad Hu Gaye Magar 5 Rupay Mein Kici Nay Humein Aalo Tu Kujhaa Uss Ki Tasveeer Bee Naa Dee Jis Pm Ko Ye Tak Na Pata Hu Kay Ubh Unhun Nay Apnayy Munh Say Khud Etraaf Kar Lia Kay Aalo 20 Rupay Mazeed Mehangha Hu Gia Hay Uss Ko Qom Ko Kitna Dard Hu Ga Iss Dard Mein Dard E Aaloo Bee Shaamil Hu Gia Hay,,Har Roz Ek Naya Sitam Kartay Hu,,,,,,,,,,,Zalimo Aalooana Siaasat Qun Kartay Hu.Humaree Apnay Masoom Say Pm Say Hath Jour Eltejha Hay Kay Wo Apnay Musheer Ko Foran Red Card Dekha Kar Pm House Badar Kar Dein Aaloo 5 Say 25 Hu Gaye Or Hakoomat Pm Kay Munh Say Isay Apna Karnama Gardaanty Rahee Ju Hakoomat Dharnay Ki Dhamki Sey Iss Qadar Bokhlaa Jaye Wo Kia Khaak Kici Natural Ya Unnatural Crisis Mein Qom Ki Numaeindeghi Karay Gee Pm Or Aap Ki Qabina Ki Azmat Ko Qom Ka Salaam ,,,Har Ministry Mein,,,,,Baitha Hay Anjaam E Qom Janay Kia Aaloo Saa Hee Tu Hu Ga.

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1255036 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.