Dandaa Baazi

(hukhan, karachi)

Hum Nay Bahut Kuch Sun Rakha Hay Patang Baazi,,Kabootar Baazi,,,Magar Dandaa Baazi Suna Zara Kam Kam Hay Dekha Bahut Hay . Kal Islamabad Mein Dandaa Baazi Aam Hay Ubh Dekhna Ye Hay Kay Ye Islamabad Say Nikal Kar Kaha Kaha Maqbool Huta Hay Qun Kay Ye Viral Infection Jasa Huta Hay. Cricket Ki Tra Iss Ki Bee Live Tv Coverage Ki Jaty Hay Bas Ye Samajh Nahi Ata Kay Sponsor Kon Hay Wesay Tuu Iss Ki Main Sponsor Hakoomat Or Oposition Jamaatein Hee Huty Hein Baqi Kapray Jutay Cold Drink Washing Powder Shaving Cream Walon Ko Iss Kay Sponsor Ki Ijazat Nahi Hay Werna Humein Yaqeen Hay Sab Say Zayda Dandaa Baazi Ko Commercial Milnay Thay Police Iss Kaam Mein Bahut Mahir Hay Kici Sarkaari Primary School Master Yaa Kici Madarsay Kay Moulvi Ki Tra Police Behtreen Danday Baazi Mein Apni Misaal Aap Hay Ye Khel Bahut Hee Haqeeqat Pasandana Huta Hay Iss Mein Media Walay Bee Shoq Say Jee Bhar Kay Danday Khatay Hein Pher Un Kay Channel Baar Baar 1 Danday Ko 100 Bana Kay Dekhatay Hein,,,,Danday Danday Par Likha Hay Khanay Walay Kaa Naaam,,,,Dandaa Fry Hu Yaa Boil Khanay Walay Ko Iss Se Kia Kaam.Ajh Kal Har Taraf Dandun Ka Bol Balaa Hay Kuch Leader Bee Apni Qamar Awaam Ki Tra Danday Kay Samnay Pesh Kar Detay Hein Or Awaam Ki Ankh Ka Tara Or Hakoomat Ki Ankh Kaa Baal Yaa Motia Ban Jatay Hein Inn Mein Zayda Tar Leader Wo Hutay Hein Ju Kici Sarkaari School Say Paray Huay Hutay Hein Un Kay Liye Danday Kahana Koi Nai Baat Nahi Huty,,,Ubh Tu Itna Adee Hu Gia Hun,,,,Danday Bina Neend Hee Nahi Aaty.Wesay Tu Mosam Sard Hunay Kaa Tha Magar Sardee Se Pehlay Hee Dandun Ka Mosam Aa Gia Hay ,,Har Roz Barsaat Huty Hay,,,,Danday Khanay Ki Apni Hee Baat Huty Hay.Agar Kuch Batein Hakoomat Oposition Ki Maan Lay Or Kuch Oposition Bee Zameeni Haqaaieq Or Pakistan Ki Position Ko Zehan Mein Rakh Kay Sochay Tu Ye Dandun Kaa Mosam Kabi Naa Aye Or Humara Ye Badsorat Chahra Duniya Naa Hee Dekh Paye Magar Jahan Baat Cheet Khatam Hu Jaye Husla Na Hunay Kay Baraabar Hu Qanoon Ameer Ghareeb Taqatwar Kamzoor Kay Liye Alagh Alagh Hun Wahan Har Mosam Dandun Kaa Hee Rehta Hay,,,,Ubh Be Soch Lo Nadaano Qom Ki Nabz Ko Pehchanu,,,,Werna Tum Jaanu Danda Jaanay

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1255084 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.