James Bond Retunrs

(hukhan, karachi)

Jasoosi Duniya Or Jasoosun Say Muhabat Karnay Walay James Bond Kay Lazawaal Character Say Khubh Waaqif Hein Infact Iss Kaa Taluuq British Spy Agency Mi 6 Say Hay Iss Kay Paas Bahut Say Ekhtiaraat Hein Yaa Yun Keh Lein Kay Iss Kay Paas Bahut Say License Hein Ye Bahut Say Qatal Kar Sakta Hay Jahaz Garee Tank Gunz Rocket Toph Boat Gun Boat Ship Gadah Gaaree Ghoraa Garee Har Chese Chala Or Uraa Sakta Hay Jis Ghar Daftar Embassy Mein Bilaa Ijazat Aa Jaa Sakta Hay Kici Ko Bee Pakar Kay Peet Sakta Hay Hataa Kay Jauwaa Bee Khel Sakta Hay Humein Iss Mein Say Kici Ek Par Bee Objection Nahi Humein Ju Asal Takleef Hay Wo Ye Hay Kay Ye Ek Time Mein 3 Ya 4 Kbi 5 Ya 6 Khubsorat Tareen Larkion Say Ishq Farmatay Hein Or Asa Farmatay Hein Kay Koi Bee Unhein Juty Utaar Kay Ya Apnay Bahi Ko Bulaa Kay Pitwaaty Nahi Hay Balkay Bakhushi James Kay Sath Marnay Ko Bee Tayaar Hu Jaty Hein Roz Naye Say Naya Laibaas Zaib E Tan Kartein Hein Apnay Kharchay Par Perfume Khareedty Hein Plane Se Jump Laga Dety Hein Uss Kay Liye Apni Jaan Ki Bee Parwaa Nahi Karty Bas Ye Ek Asa Element Hay Jis Ki Waja Say Humein Bond Ek Ankh Nahi Bahataa Oper Say Bond Ko Kali Gori Larki Yaa Yun Keh Lein Kay Mehbooba Ki Koi Parwa Nahi Hay Jis Tra Humaray Han Market Mein 100 Rupee Shop Huty Hay Yeni Har Item Rs 100 Isi Tra Bond Kay Haan Ju Bee Larki Aye Anay Du Wala Formulla Hay Jis Say Usss Ki Insaan Dosty Kaa Bee Pata Chalta Hay Kici Kaa Dil Torna Uss Kay Nazdeek Gunah Hay Wesay Tu Bond Buraay Insaanu Ki Khul Kay Jee Bhar Kay Pitaaiee Karta Hay Magar Agar Larki Villain Hu Tu Uss Kaa Hath Uss Par Nahi Uth Pata Jis Se Pata Chalta Hay Wo Ladies Kaa Kis Qadar Ehtaraam Karta Hay Humaray Yahan Tu Police Agar Kici Jaloos Ya Muzahiray Ko Rok Rahee Hu Tu Mard O Khawateen Ko Ek Hee Danday Say Nawaazty Hay Ek Hee Tear Gas Say Behosh Karty Hay Balon Say Pakar Kay Asay Ghassety Hay Jasay Iss Mein Say Oil Nikaal Rahee Hu Ek Dafa Kay Hum Eye Witness Hein Kay Ek Lady Police Nay Ek Lady Ko Balon Say Pakar Kay Police Mobile Mein Daalna Chahaa Magar Wo Lady Bahut Hee Well Experince Thee Uss Ki Naqli Balon Ki Wigh Police Wali Kay Hath Mein Reh Gai Or Wo Lady Wahan Say Rafu Chakar Hu Gein Asay Moqay Par Police Or Muzaahreen Saas Bahu Ya Nanndh Bahbhi Zayda Nazar Aa Rahay Hutay Hein Kher Ye Humara Mashriqi Mahool Hay Iss Ki Apni Ek Badsoorty Hay Barhaal James Bond Bahi Say Ye Humble Request Hay Har Larki Par Nazar Achi Baat Nahi Kuch Hum Ghareebun Kay Liye Bee Chor Dena Chaiyea

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1255105 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.