Pehli Muhabbat

(Nadeem Raja, Kambaralikhan)

Ham Dono Ek Hi Class Me Parhte The, School Ek Sath Ate Jate The, Apas Me Comptitions, Sawal Jawab, Etc. Ye Un Dino Ki Bat He Jab Ham Matric Parhte The, Ghoomna Phirna Khana Khilana Ek Sath. Me Buhat Khush Tha, Jab Chhuti Ke Din Hote To School Khulne Ka Intizar Aur Har Waqt Din Rat Khel Me Khate Waqt Sote Waqt Jagte Waqt Usi Ke Bare Me Sochta, Mujhe Mehsus Hua Ke I M In Love To Har Pal Khushi Ka Mahol Sa Chha Gaya, Sb Kuchh Har Cheez Achi Lag Rahi Thi, Ghar Me, School Me, Khel Pe, Asman, Darakht, Khet, Sb Kuch Buhat Achha Lag Raha Tha, Us Ke Sath Mera Ek Ek Pal Ase Guzarta Jase Me Jannat Me Hu, Taqreeban Kuchh Arse Tak Ham Ek Dusre Ke Best Friend The Ye Tab Tak Tha Jab Tak Mene Apne Pyar Ka Izhar Nai Kiya Tha "Allah Kare Ek Tarfa Muhabat Kisi Dushman Ko Bhi Na Ho".

Mene Use Pyar Ka Izhar Karne Ka Pakka Irada Kiya Aur Use Ek Rose Wale Phool Ke Sath Love Letter Likh Diya, Us Ne Koi Jawab Na Diya, Use Mujh Se Itni Nafrat Ho Gai Ke Mera Face Bhi Use Pasand Na Tha, Us Ke Bad Sab Kuch Oposite Lagne Laga, Jo Acha Lagta Tha Wo Sab Bhool Gaya Hansna, Khelna, Sab Khatam, Gham, Tanhai, Ansoo, Us Ke Deedar Ko Tarasta Har Pal Uska Intizar Akhirkar Uska Rishta Kahin Aur Tae Ho Gaya Aur Me Tanha Ka Tanha Hi Reh Gaya.

Aj Bhi Sochta Hu Ke Kash Use Meri Muhabat Ka Ahsas Ho Jae Aur Mujhe Gale Laga Ke Kahe Ke Mujhe Bhool Jao To Me Sari Zindagi Uska Ahsanmand Rahoo.
 

Nadeem Raja
About the Author: Nadeem Raja Read More Articles by Nadeem Raja: 5 Articles with 12274 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.