(Talha Wajid, Lahore)
Hum Ma Sab Sy Bari Khami Ye Ha K Humary Nisab Ma Humary Mulk K Lehaz Sy Aur Dini Lehaz Ya Ek Musalman K Lehaz Sy Humari Jo Azeem Shaksiyat Hain Un Ka Mutaliq Kuch B Na Hony K Barabar Hi Hota Ha.Misal K Tor Par Fikr-E-Iqbal Mry Lehaz Aj K Dor Ma Nojawan K Jitny Masail Hain Wo B Fikr E Iqbal K Zariye Hal Ho Skty Hain Aur Is Tarahn Bohat Sy Aisi Misalein Hain Azeem Log Hain Jin K Mutaliq Parhny Sy Hi Ya Ap Ka Ek Behtar Qirdar Ka Dhancha Bnanay Lagta Ha.Kitni Ajeeb Baat Ha Bachpan Sy ABC Sy Ly Kr Mr.Chips K Novel K Baad B University Level Tak Hum English Parhty Hain Aur Humein Phir B Nai Ati Kyun K Humein Wo Smjhany Ki Bajay Har Tareeky Sy Parhai Jati Ha Zyada Tar.Jab Career Ki Bari Ati Hum Aisy Mashwary Krty Jaisy Foreign Policy Ho Mazy Ki Baat Ye Student K Ilawa Har Kisi Sy Poocha Jata Ap Batein Kya Kry Bacha?Itna Zyada Apna Ikhtiyar Rkha Jata Student Py K Zyada Tar To Bichary Kuch Nai Kr Paty Aur Kuch Cheezoon Ko Memorized Kr K Kam Chala Lety Hain.Yahaan Is Ki Bari Wajah Ek Achy Ustad Ki Kami B Ha.Zyada Tar Dekha Jata Ha K Ustad Sy Koi Extra Cheez Pooch Li Jay To Wo Bolty:"YE Bohat Extreme Level Ye Ap Ki Smajh Sy Hi Bahir Ha Ap Ko Nai Ana Ye".Matlab K Humein Nai Ata To Hum Students Hain Phir Ap Teacher Kyun Hain?.Shaid Is Liye Knowledge Delivere Krny Sy Log Ghabraty Hain K Dosra Koi Un K Muqabil Na A Jay Agar Aisa Ha To Humein Ye Smjhna Chaye K Ilm Agy Phelany Sy Mazeed Zyada Hota Ha.Ilm Ki Ehmiyat Par Mazmoom To Bohat Likhy Hain Hum Ny Bachpan Sy Waqt Ha Smjh B Lein Ab.Ye Tamam Masail Student K Sath Sath Passion Ko B Tabah Kr Dety Hain.Koi Shak Nai Pakistan Ma Arfa Jaisy Bohat Zaheen Bachy Hain Lekin Hum Is Sy B Behtar Tadad Ma Aisy Talent Ko Agy La Skty Hain Aur Mra Yaqeen Ha K Hum Ye Deserve B Krty Hain Lekin Is K Liye Humein In Sab Khamiyoon Par Tezi Sy Kaboo Pana Ho Ga.