Iss Mein Koi Shaq Nahi Kay Eid
Humray Liye Inaam Hay Aur Agar Ap Bachay Hun Tu Samjhiye Kay Sab Unghliaan Ghee
Mein Aur Sar Karhaiee Mein Hay,,,,,Eid Kay Tahwaar Ko Hum Zara Halkay Phulkay
Andaaz Mein Latay Hein Humein Apna Bachpan Zyda Yaad Nahi Kabi Kabi Tu Asa
Laghta Hay Hum Itnay Hee Baray Paida Huay Hein,,,,,Ya,,Pher Paida Huay Hee Nahi
,Balkay,,,,,Kici Scientific Experiment Ka Result Hein Jia Ka Ct Yeni Confirming
Test Bee Nahi Kia Gia Hu,,,,,,,Kher,Agar Hum Ejaadh Bee Hein Tu Fazool Hee Hein
Ye Hum Nahi Sab Kehtay Hein,,,,,,,,,Ek Du Nay Tu Yaha Tak Keh Diya
,,,,,,,,,,Jabh Hum Jasay Chawal Insaan Duniya Mein Pehlay Se Mojhdh Thay Tu Ap
Ki Kujha Zarorat Na Thee,,,,,,,,Kher,,,,Hum Nay Hamesha Un Ko Ek Hee Jawabh Diya
Yeni,,,,,,,,,,Jlnay Walay Ka Munh Kalaa,,,,Kher Miti Daliye ,,,Baat Hu Rahee
Thee Eid Ki,,,,,,,,,Eid Kay Asraat Har Ek Par Different Hutay Hein,,,,,,Har Ek
Ka Reaction Bee Alagh Alagh Huta Hay,,,,,,,,,Agar Aap Ek Shadi Shuda Mard Hein
Aur 3 Bachay Bee Hein Tu ,,,,Eid Say Pehlay Saray Din Raat Aap Ko Drownay Khabh
Nazar Atay Hein,,,,,,Baar Baar Ap Ko Laghta Hay Kay Ap Kay Ghar Daka Par Chuka
Hay,,,Ya,,,Pher Aap Loghun Say City Chok Mein Bheek Mangh Rahay Hein,,,,,,,Khabh
Mein Jutay Kapray Janay Kia Kia Nazar Ata Hay,,,,Bv Ki Ghuraiee Huee Awaz Bachun
Ki Awaz Kam Demand List Zyda Nazar Atee Hay Jasay Budget Kay Dino Mein Sarkaree
Mulazim Tankhaown Mein Izafay Kay Liye Qalam Palangh Kaam Chor Hartaal Par Hutay
Hein,,,,,,,Agar Ap Buzargh Hein Tu Eid Ka Din Ap Ko Asa Lghta Hay Jasay Shadi
Kay Baad Aap Pehlay Maqrooz Aur Baad Mein Roz Beizat Hutay Hein,,,,,Naee Naveli
Dulhan Pehlay Kitchen Mein Khana Pakatee Hay Uss Kay Chand Din Baad Ap Ko Jee
Bhar Kay Pakatee Hay,,,,Buzargh Eid Kay Itnay Adee Hutay Hein,,,,,Kay Pata Nahi
Chlta Kay Eid Kay Din Khush Hein Ya Bilkul Khushk Yeni Dry Ya Senseless Hein
,,,,,,Un Kay Puranay Dard Rogh Sab Taza Hu Jatay Hein,,,,,Sab Say Zyda Faida Eid
Ka Bacha Hunay Mein Hay,,,,,,,,Mein Tu Kehta Hun Baray Hunay Ki Kia Zarorat
Hay,,,,,,Kam Se Kam Eid Kay Liye Hee Sahi Bnda Bacha Bana Rahay Eid Ek Ashiq Kay
Liye Kara Emtehaan Hutee Hay Agr Badqismatee Say Ap Multinational Lover Hein
Yeni Ek Say Zaied Hein Jin Say Ap Pabandee Say Eshq Farmatay Hein Tu Yun Samjh
Lijiye Ap Anay Aur Janay Wali Train Mein Bayakwaqt Sawaar Hein,,,,Zara Sa Slip
Huay Nahi Train Kay Nichay Aye Nahi,,,,,,ALLAH Har Ashiq Ko Eid Kay Din Apni
Amaan Mein Rakhay,,,,,,,,Hum Tu Kahein Gay Apna Kia Khud Bhughtu .