Eid After Shocks

(Hukhan, karachi)

Jis Tra Har Chese Kay Effects ,Side Effects ,Shocks Aur After Shocks Hutay Hein Isi Tra Eid Aa Kar Guzar Jatee Hay Magar Uss Kay After Shocks Atay Rehtay Hein Jab Tak Kay Dosree Eid Na Aa Jaye,,,,Ye Shocks Aur After Shocks Har Ek Par Alagh Alagh Hutay Hein Barish Ki Tra Nahi Hutay Kay Har Ekpar Ek Hee Tra Barsna Shuro Hu Jaein,,,,,,Eid Kay Baad Insaan Tu Kia Bank Bee Asay Khali Hutay Hein Kay Jasay Har Ek Par Fbr Nay Daka Maar Diya Hu ,,,,,Shops Khali Hu Jatee Hein Har Kisam Ka Kachra Kha Wo Kaproun Jewllery Ya Jutun Ki Shakal Mein Hu Bik Jata Hay,,,,Pher Bee Pakistan Ka Tajir Rota Hua Hee Nazar Ata Hay,,,,,,,Insaan Safar Tak Nahi Kar Sakta Bus Train Jhaaz Yhan Tak Kay Khota Garee Bee Safar Kay Liye Dastyab Nahi Hutee,,,,,Logh Galay Milnay Kay Bahanay Ap Ko Is Tra Say Zadukobh Kartay Hein Kay Bnda Malishiya Dhundhta Hay Bnday Ki Qamar Asay Baith Jatee Hay Jasay Pakistani Economy Kab Se Baithee Huee Hay Har Hakomat Pehlay Khazana Khali Hay Ka Alaap Gatee Hay Har Mulk Say Kashkol Lay Kar Apna Khazana Bhartee Hay Puranay Jaree Shuda Mansoobhun Ko Jin Par Zahir Hay Un Ki Oposition Kay Name Plate Lagee Hutee Hay,,,,,,,Un Projects Ko Sard Khanay Mein Daal Detee Hay Jin Say Wo Mansoobay Kambal Na Hunay Ki Waja Say Sardee Ki Shidat Se Nemonia Ka Shikaar Hu Kar Halaak Hu Jatay Hein ,,,Pher Wo Asay Project Shuro Kartay Hein Jin Say Commission Ki Bharmaar Hu,,,,,,,,,,Janay Eid Kaha Reh Gai Hum Eid Par Wapis Atay Hein,,,,,Abhee Sabzi Daal Rotee Aur Safar Kay Zaraye Ki Nayaabi Tak Ki Baat Huee Thee,,,,,Eid Kay Bad Office Jao Agar Wo Sarkaar Ka Hu Ga Tu Us Mein Insaan Nazar Nahi Aye Ga Qun Kay Uss Ki Eid Lamehdoodh Hutee Hay,,,,,Hospital Mein Doctor Nazar Nahi Aye Ga,,,,,Isi Liye Sarkaar Kay Hospitals Mein Medicine Pray Paray Borhee Hu Jatee Hay Pher Ye Expire Medicine Kici Ghareeb Ki Jaan Lay Latee Hay Asa Hee Ek Hadisa Oposition Leader Khursheed Shah Sahib Kay City Sukur Mein Pesh Aya,,,,Karachi Mein Tu Daku Bee Eid Se Pehlay Dakay Maar Maar Kay Thak Jatay Hein,,,Eid Par Wo Bee Kici Purfaza Maqaam Par Dosroun Kay Pasun Par Gul Charay Uaraatay Hein,,,,,Wesay Pakistan Mein Sab Se Zyda Mazay Un Kay Hein Ju Jitna Bara Chore Hay Us Ko Yhan Har Tra Ki Sahulat Hasil Hay Janay Pher Eid Kaha Reh Gaee.

Hukhan
About the Author: Hukhan Read More Articles by Hukhan: 1124 Articles with 1195289 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.