Naqal key liay bhee aqal ki zaroorat hoti hey
(Iftikhar ahmed, Karachi)
Hum Bachpan Sey Hi English Subject Main Kamzor They Aur 8
Class Tuk English Main Ratta Laga Laga Ker Pass Hothey Rahey. Matric Main
Pohanchney Key Bad Bhee Humain English Samjh Na Ati Thee Aur Hum Private Tuition
Classes Attend Kerney Key Bawajood Is Main Maharat Hasil Na Ker Sakay Thay.
Khair Qissa Mukhtasir Humarey Matric Key Salana Imtihan Ser Per A Gaye Aur Hum
English Ka Paper Deney Key Liay Examination Hall Pohunch Gaye. Jaisey Hi English
Ka Percha Humarey Pas Aya To Usey Delhi Ker Humarey Hatoon Key Totey Ur Gaye
Kuyonkey Sarey Sawal Humari Samajh Sey Bahar They Aur Aik Bhee Humain Naheen Ata
Tha Yani Poora Paper Humarey Ser Sey Guzar Gaya. Hum Barey Pareshan Huay Aur
Sochney Lagay Ke Ab Khair Naheen Ab Humain Fail Honey Se Koi Nahi Bacha Sakta
Aur Fail Honey Ki Surat Main Humarey Walid Saheb Humari Khoob Khabar Langey.
Achanak Humarey Zarkhaiz Zehen Main Aik Tarkeeb A Hi Gai Aur Humney Us Per Amal
Kerna Shuroo Ker Dia. Hua Youn Key Humari English Ki Handwriting Kafi Kharab
Thee Aur Kuyonkey Hum Doctor Ban Na Chahtey They Aur Jis Tarah Unkey Likhay Huay
Nuskhey Sirf Medical Store Waley Hee Parh Saktey Hain Isee Tarah Humari
Handwriting Bhee Sirf Hum Hi Parh Saktey Hain. Hum Ney Isee Baat Ko Madde Nazar
Rakhtey Huay Poora English Ka Paper Apani Ghaseet Handwriting Main Likhna Shuroo
Ker Dia Aur Jab Poora Paper Likh Lia Aur Is Key Bad Bhee Imtehani Copy Key Kuch
Pages Baqi Buch Gaye To Dobarah Sey Shuroo Ker Dia. Paper Ka Waqat Khatan Huwa
To Humari Imtehani Copy Poori Bhur Chuki Thee Aur Humain Yaqeen Tha Key Humari
Handwriting Parhna Mushkil Hey Is Liay Jab Humari Copy Check Ho Gee To Hum Pass
Ho Saktey Hain Kuyonkey Mumtehan Saheb Ko Bhee Kuch Samajh Na Aye GA Key Kia
Likha Hey. Is Key Bad Hum Ghar Wapis A Gaye Aur Ghar Walon Key Poochney Per
Bataya Key Paper Acha Hua Hey Aur Hum Poori Imtihan Copy Bhur Ke Aye Hain. Kuch
Maheenon Key Bad Jab Result Aya To Humari Herat Ki Inteha Na Rahi Hum Matric
Pass Ker Chukey They Aur English Main Bhee Pass Ho Gai They. Us Din Humari
Samajh Main Yeh Bat A Hee Gai Key Naqal Key Liay Bhee Aqal Ki Zaroorat Hoti Hey.
Yeh Waqia To Humarey Sath Guzra Hey Magar Parh Ney Waley Talibe Ilamon Sey
Guzarish Hey Key Wo Is Funny Formulay Per Hergiz Amal Kerney Ki Kabhi Bhee
Koshish Na Karain Aur Apani Parhai Per Khoob Tawajja Dain Aur Her Mazmoon Main
Maharat Hasil Karain Takey Unhain Humari Tarah Is Tarah Ki Ulti Seedhi
Tarkeebain Na Kerna Parain Aur Wo Amli Zindagi Main Aik Haqeeqi Taleem Yafta
Fard Ki Tarah Sey Apani Role Ada Karain Jo Key Mashery Key Liay Mufeed Sabit Ho.
Yeh Baat Bilkul Sach Hey Key Allah Tala Kisi Ki Mehmat Ko Zaya Naheen Farmatey
Aur Jo Shaks Bheejab Mehmat Kerta Hai Usey Uska Phil Zaroor Mila Hey.A