Umar Bhar Ki Kamai
(RIFFAT maalik, Islamabad)
Aaj Mahenay Ki Pehli Thareekh
Hai ,Aik Aik Din Gin Gin Kar Pihli Tharekh Aa He Gai,Is Din Kay Liyai Mai Nai
Kithna Inthezar Kiya ,Jameel Ye Soch Kar Bohoth Kush Ho Raha Tha Kai Aaj Os Ko
Thankhwa Milnay Wale Hai Aur Is Ko Apnay Maalik Kai Paas Rakhnay Kay Bajai Apnay
Liyai In Sai Ghar Banaye Ga.
Jameel Aik Inthehai Gareeb Khandan Sai Thaloq Raktha Tha .Os Kai Baap Kai Gozar
Jaanai Kai Baad Wo Apne Maa Ka Sahara Bana Raha .Ik Company Mai Os Ko Saath Hazr
Ropai Mahana Pai Nokre Mil Gaye.
Jub Os Nai Pihli Thankhwa Le Tho Pore Apne Maa Ko Daina Chahi Magar Os Nai Kaha
Keh ‘Beta Mai Is Ka Kiya Karonge Tho Subh Sawere Jatha Hai Pora Din Sakht Garme
Mai Thojai Kaam Karthai Daikthe Hoo Tho Kaleja Mo Ko Aatha Hai ,Abhi Teri Shadi
Karne Hai ,Ghar Banana Hai. Wo Tho Allah Bhala Karai Tharai Maalik Ka Jis Nai Ye
Do Kamrai Hamai Rehnai Kai Liyai Diyai ,Tho Aisa Kar Ke Is Thankhwa Ko Apnai
Maalik Kai Paas Rakdai Aur Kehna Keh Mere Thankhwa Thre Paas Jama Hothe Rahai
Ge.Beta Hum Jaisai Thaisay Gozara Kar Lain Gai. In Paiso Sai There Sahaadi
Kareiengai Or Ghar Banayengai ;
Jameel Bi Khosh Howa Aur Hisaab Laganai Kai Baad Os Nai Kaha Ke Aat Saal Baad
Yeh Ropai Wapas Lai Kar Apnai Liyai Ghar Bana Wonga. In Aat Saalo Kai Doran
Jamil Ke Thankhwa Achha Kaam Karnai Ke Waja Sai Thore Thore Barthe Rahi. Os Nai
Part Tmie Nokre Bi Shoro Ki Jis Sai Wo Apnai Gar Ka Kharch Chalatha Tha.
Jameel Ke Mai Nai Os Kai Liyai Larke Bhi Pasand Karle The Aur Yeh Thai Paya Tha
Keh Ghar Bananai Keh Baad Rokhsathe Karangai. Jameel Kai Liyai Ye Aat Saaal Aat
Sadyo Kay Barabar Thai.Aik Aik Din Os Nai Jis Tharha Gozara Tha Ye Sirf Wo Hi
Jantha Tha.Magar Aaj Bil Aakhir Wo Din Aahi Gaya Tha Jub Wo Apnai Arman Porai
Karsaktha Tha.
Jameel Apnai Maalik Kai Paas Gaya .Os Say Apne Jama Ponje Lai Kar Wo Poolai Nahi
Sama Raha Tha.Apni Shaadi Or Ghar Kai Thasawor Sai Wo Jaisay Hawa Mai Or Raha
Tha Ke Achanak Aik Motor Cyckle Per Do Aadmi Theeze Sai Aai Or Jameel Kai Haath
Say Purse Cheen Kar Lai Gayai . Jameel On Kai Peechai Baag Raha Tha Or Chilla
Rahatha Ke Pakro , Khoda Kai Liyai Koi In Ko Pakro Maire Umar Bhar Ki Kamai Hai
,Koi Tho Inko Pakro , Koi Tho Mere Madad Karo Or Shidath-E-Gham Sai Zameen Phar
Gir Para.