Mushkil Rastay episode 3

(farah ejaz, dearborn,mi USA)

 Piyari Beti Ayesha May Jaanti Hun Jub Tum Yai Dairy Parh Rahi Hogi Us Waqth May Is Duniya Say Nata Tore Chuki Hungi ..Wajahath Sahab Ko Bhi Yai Hidayath Kerni Hay Kay Iss Dairy Ko Sirf Tum Tuk Pohnchana Hay....Yai Sirf Tumhari Amanath Hay...Saniya Ko Is Say Lailm Rakha Jai...Tum Sonch Rahi Hogi Kay Saniya Ko Kiyun Nahin Batana Hay...To Meri Jaan Is Dairy Or Is May Likha Har Lafz Sirf Tum Say Taluq Rakhta Hay Or Yai May Qatayee Nahinn Chati Hun Kay Saniya Ko Is Kay Baray May Kuch Bhi Pata Chalay........................ Beti Yai Un Ino Ki Baath Hay Jub Meri Shadi Ko Sirf Chay Mahinay Hi Guzray Thay Jub Mujhay Pata Chala Kay May Pregnant Hun...Daniyal Bohoth Khush Thay....Khoobsoorath Bachon Ki Portraits Say Poora Ghar Suja Diya Tha Unho Nay.....Meri Saas Nay Mujhay Kissi Bhi Kaam Ko Haath Laganay Say Mana Ker Diya Tha.........Bilkul Meri Amma Ki Terha Qayal Rakh Rahin Thin...Thin Bhi To Wo Meri Sagi Khala Hi Na.....Khair Poora Gharana Hi Khush Tha.....Din Mahino May Badaltay Ja Rahay Thay Phir Nawa Mahina Shuroo Hogaya Tha Lakin 9 Months Kay Shuroo Dino May Hi May Achanak Bathroom May Phisal Ker Gir Gayee Thi....Jis Per Emergency May Mujhay Meray Susar Sayed Ifteqar Ali Or Daniyal Hospital Lay Gay..... Meri OB Doctor Nuzhath Nay Jub Meri Critical Condition Kay Baray May Daniyal Ko Bataya To Wo Bohoth Pareshan Ho Gai....Daniyal Sahab Bachay Or Maa May Say Hum Kissi Aik Ko Bacha Saktay Hain.....Kiya Dono Ko Nahin Bachaya Ja Sakta Dr...Wo Kapti Awaz May Poochnay Lagay To Wo Nafi May Sir Hilatay Huay Bolin.......Nahin 35 Percent Chances Hain Dono Kay Survive Kernay Kay Or Hum Ab Kissi Qissam Ka Koyee Risk Nahin Lay Saktay.....Theek Hay Dr Aaa ..Aaaap Zakira Ko Bacha Li Jiyai Allah Nay Chaha To Aulad Phir Ho Jaigi...Is Terha Daniyal Nay Meray Bachay Ki Moth Kay Perwanay Per Apnay Dastaqath Sabth Ker Diyai...Mujhay Operation Theater May Lay Jaya Gaya.....Dr Nuzhath Kay Liyai Yai Aik Mushkil Opperation Tha....Tuqreeban Dhai Ghuntay Baad Jub Dr Nuzhath Nay Aker Meri Zindagi Ki Khush Qabri Di To Daniyal Sijday May Gir Gai.....I M Realy Sorry Daniyal Sahib Zakira Ab Kabhi Ma Nahin Bun Saktin....Or Daniyal Unhay Daikhtay Reh Gai...Mujhay Tuqreeban Adhay Ghuntay Baad Jub Hosh Aya To Us Waqthtuk Meri God Ujar Chuki Thi.....Daniyal Mum Me Me Mera Bacha.....Wo Khamooshi Say Meri Taraf Daikh Nay Lagay.....Phir Rundhi Huiyee Awaaz May Sirf Itna Bolay...Hosla Rakho Zakira Allah Ko Yahi Manzoor Tha....Or May Tarap Tarap Ker Ronay Lagi....Allah Subhan Na Wa Tallah Nay Mujhay Itni Bari Naymath Day Ker Wapis Lay Li Thi.....To Phir Mujhay Qarar Kaisay Ata ....Khala Amma (Meri Saas) Bhi Rotay Huay Mujhay Sunmbhal Nay Ki Koshish Ker Rahi Thin..Magar May Sunmbhal Nahin Pa Rahi Thi Us Samay....Meri Halath Daikh Ker Meray Suser Or Daniyal Bhi Ronay Lagay Thay.....

Kiya May Andar Asakti Hun....Aik Khoobsoorath Zanana Awaaz Per Daniyal Paltay To Aik Intehayee Haseen-O-Jameel Aurath Ko Kharay Paya...Wo Derwazay Per Khari Andar Anay Ki Ijazath Maang Rahi Thi....Ji Aye ..Yai......Daniyal Sirf Itna Hi Keh Sakay.....Wo Itni Haseen Thikay Lehza Bhar Ko Sub Hi Apna Dukh Bhool Ker Us Hoor Nama Aurath Ko Daikhnay Lagay....Wo Shahana Andaaz Say Chalti Huyee Kamray Kay Wasth May Aker Khari Hogayee....Us Ki Chal May Aik Shahana Tumkanath Si Thi...Lamba Khud Or Sufaid Maxi Type Kapray Zaib Tun Kiyai Huay Thi...Sir Kay Baalon Ko Sufaid Chadar May Chupai Wo Sirf Mujhay Daikh Rahi Thi.....Assalam O Alaikum Zakira .......Walaiku Kummm Aaaaasalm...May Huklatay Huay Ussay Salam Ka Jawaab Diya...Wo Itni Khoobsoorath Thi Kay Thoray Samay Kay Liyai May Apna Ghum Bhool Gayee Thi....Wo Muskuratay Huay Meray Nazdeek Agayee Or Meray Pehloo May Kuch Rakhtay Huay Boli...Is Ko Tum Apni Aulad Ki Terha Paalna....May Apni Amanath Tumharay Paas Chore Ker Ja Rahi Hun.....Or May Aik Tik Ussay Daikhay Gayee Us Nay Meray Pehloo May Kissay Litaya Tha Us Taraf To Nazar Hi Na Gayee..Wo Muskurati Nigahon Say Mujhay Daikhti Huyee Palat Gayee...Us Kay Kamray Say Nikaltay Hi Kissi Nannay Wajood Ki Kilkariyon Ki Awaaz Nay Mujh Samaith Sub Ka Dhayan Apni Taraf Khainch Liya.....Sufaid Chadar May Lipta Aik Chota Sa Sunehra Wajood Kil Kariyan Marta Hua Apnay Nanay Munay Hathon Ko Meri Taraf Barhay Meri God May Anay Ko Jaisay Baitaab Tha....May Nay Tarap Ker Ussay Utha Liya...Array Yai Kiya ....Khala Amma Nay Hairath Say Us Nannay Wajood Ko Daikh Ker Kaha Tha...Daniyal Or Khaloo Bhi Meray Bed Kay Qareeb Akar Kharay Ho Gai...Daniyal Daikho To Kit Ni Haseen Bachi Hay Yai....Khala Amma Bolin ......Haan Waqayee Kitni Haseen Hay Yai Bachi Lakin Wo Aurath Issay Kiyun Yahan Chore Ker Chalay Gayee Meri To Yai Samujh May Nahin Araha Hay....Khaloo Jaan Bolay...Daniyal Kuch Nahin Bolay Bus Meray Nazdeek Kharay Kabhi Mujhay Or Kabhi Us Bachi Ko Daikh Tay Rahay Mehwiyath Say .....Baba May Nay Aik Faisla Ker Liya Hay .......Kaisa Faisla Daniyal ......Khaloo Sawaliya Andaaz May Poochnay Lagay Unsay....Yahi Kay May Is Bachi Ko Apna Naam Doonga.....Tumhara Dimaagh To Nahin Chal Gaya Hum Is Kay Baray May Kuch Nahin Jaantay ...Kaun Hay Yai Is Ki Maa Yahan Kiyun Chore Gayee Issay Or Kiya Pata Kis Ki Aulaad Hay....Kuch Bhi Jannay Ki Mujhay Hajath Nahin Hay Baba Yai Aaj Say Meri Or Zakira Ki Beti Hay..Or Aap Kay Liyai Itna Hi Kaafi Hay Kay Yai Aap Ki Poti Hay Aaj Say Or Bus.....Aap To Jantay Hain Zakira Baba Zakira Ab Maa Nahin Bun Sakti...Or Aaj Nahin To Kal Mujhay Koyee Bacha Adopt Kerna Hi Parta Phir Kiyun Na Is Bachi Ko Apna Loon.....Lakin Khandaan May Kiya Kaho Gay ........Khala Amma Daniyal Say Sawal Kiya.....Is Waqth Kissi Ko Pata Nahin Hay Ammy Kay Zakira Nay Aik Murda Bachay Ko Janam Diya Hay...Aap Samujh Rahi Hain Na May Kiya Kehna Chata Hun...Khala Amma Nay Poocha To Wo Maa Kay Nazdeek Akar Unkay Shano Per Haath Rakhtay Huay Bolay.......Is Ka To Dimagh Kharab Hogaya Hay Or Tum Shazia Begum Tum To Hosh Say Kaam Lo Hum Kissi Or Kay Bachay Ko Apna Naam Kaisay Day Saktay Hain......Or Sharayee Lehaaz Say Bhi Yai Ghalath Hoga....Aap Kiyun Nahin Samujh Rahay Hain Ifteqar Zakira Ab Maa Nahin Bun Sakti Or Na Daniyal Doosri Shadi Kernay Per Razi Hoga Or Na May Or Aap Aisa Chahingay Phir Aaj Nahin To Kal Koyee Bacha Hi God Laina Paraiga ...Wo Aurath Khud Is Bachi Ko Zakira Ki God Maay Daal Ker Gayee Hay..Ab Jahan Tuk Is Kay Maa Baap Kaun Thay To Is Baath Ko Renay Dijiyai Aaj Say Daniyal Or Zakira Hi Is Kay Maa Baap Hain...Or Abhi Kissi Ko Pata Bhi Nahin Hay Kay Zakira Nay Aik Murda Bachay Ko Janum Diya Hay Koyee Sawal Nahin Uthay Ga .........Or Jahan Tuk Sharayee Maslay Ka Taluq Hay Gode Lainay Ka To Zakira Ko Nawa Mahina Lug Chuka Tha Mashallah Say ......Wo Us Ki Razayee Maa Bun Jai Gi.......Aap Samujh Daar Hain Ifteqaar Aap Jantay Hain May Kiya Kehna Chati Hun.....Yai Rishta Or Bhi Piyara Or Pakeeza Rishta Bunjaiga.......Wo Khaloo Ko Sukjha Rahi Thin....Or Khaloo Khamoosh Kharay Khala Amma Ko Daikhrahay Thay...Phir Meray Bed Ki Taraf Chaltay Huay Agai.....May Bachi Ko Seenay Say Lagai Chup Chap Unkay Faislay Ko Sunnay Ki Muntazir Thi....Unko Apnay Khareeb Ata Daikh Ker May Ronay Lagi...Nahin Khaloo Jaan May Bachi Nahin Doongi...Mujh Per Raham Keryai .....Yai Yai Meri Beti Hay Please Khaloo.....Beti Kiya Tum Apnay Khaloo Ko Itna Zalim Samujhti Ho...Or Waisay Bhi Yai Meri Poti Hay May Issay Kissi Or Kay Hawalay Kasaay Karoonga Bhi...Wo Muskuratay Huay Meray Sir Per Haath Phairnay Lagay.....Or Bechi Ko Meri God Say Laiker Us Ki Peshani Per Piyar Kernay Lagay......Aaj Say Is Ka Nam Ayesah Daniyal Ali Hay...Bol Day Ta Hun Daniyal Kay Poora Naam Birth Certificate Per Likhna Is Ka....Werna Tumhari Shamath Hay Burqurdaar.....Or May Dil Hi Dil May Allah Ka Shukar Ada Kernay Lagi...Baqi Kay Tamam Marahil Khush Asloobi Say Tay Hogaior Dr Nuzhath Ki Madad Say Birth Certificate Bhi Bun Gaya Or May Us Bachi Yani Tumhay Liyai Ghar Bhi Agayee...Jo Bhi Tumhay Daikhta Daikh Ta Hi Reh Jata ...Itni Haseen Bachi Kissi Ki Bhi Nahin Thi Pooray Khandaan May....Daniyal Kay Aik Chacha Thay...Wo Bhi Bay Aulad Thay...Khandaan To Mera Bara Tha.....Lakin Meray Khandaan May Bhi Larkiyan Kum Thi Chund Ginni Chunni Haan Albatta Larkay Bharay Paray Thay.....Is Lehaaz Say Tum Sub Ki Aankh Ka Tara Bun Gayeen.....Piyaar Say May Tumhay Choti Si Apsara Kehnay Lagi...Daniyal Tumharay Baghair Aik Minute Bhi Nahin Rehtay Thay.....Or Dada Dadi Ka Bhi Wo Hi Haal Tha........Daniyal Ka Chota Sa Karobaartumharay Anay Kay Baad Taizi Say Phailnay Laga.....Khala Amma Roz Tumhara Sudqa Daitin Thin ....Do Saal Yun Hi Beeth Gai...Tum Chalnay Lagin Thin Kay Aik Din Meri Tabiyath Qaraab Hogayee ...Dr Kay Paas Janay Kay Baad Pata Chala Kay May Phir Say Maa Bun Nay Wali Hun...Dr Nuzhath Hairan Thin....Hum Sub Bhi Hairan Or Khush Thay ...Shaid Allah Nay Mojiza Dikha Diya Tha....Mai Phir Aik Beti Ki Maa Bun Gayee...Lakin Tum Say Mohobath May Kami Na Ayee Bulkay Kuch Or Barh Gayee........Sania Ko Hum Chatay Thay Magar Tum Say Hummain Ishq Tha Beti...Humari  Duniya Mukamil Hogayee Thi....May Jitna Allah Ka Shukar Ada Kerti Kum Tha....Daniyal Kaha Kertay Thay Allah Nay Agar Beta Nahin Diya To Kiya Hua.....Meri Betiyan Allah Nay Beton Say Berh Ker Di Hain.....Tum Ko Daikh Ker Unki Subha Hoti Thi...Cha Hay Kitnay Hi Thakay Kaam Say Lot Tay Thay Lakin Tumhari Aik Muskaan Unhain Taza Dum Kerdaiti...Betiyon Say Itni Mohobath Bhi Theek Nahin Yai To Paraya Dhun Hotin Hain Daniyal....May Aksar Unhain Sumjhati To Wo Huns Daitay ....Array Betiyan To Allah Ki Rehmath Hotin Hain Or May Allah Ka Shukar Guzaar Bunda Hun Zakira......Is Baath Per Unki May Bhi Huns Daiti....Theek Hi To Kehrahay Thay....Zindagi Ki Gari Yun Hi Chal Rahi Thi....Aik Saal Or Beeth Gaya Or Phir Kuch Ajeeb-O-Ghareeb Waiqiyath Honay Lagay...Tum Char Saal Ki Or Saniya Aik Saal Ki Ho Chuki Thin ....Khaloo Jan Or Khala Amma Islamabaad Gai Huay Thay Or Daniyal Business Trrip Per Singapoor Gai Huay Thay....May Ghar May Akaili Tum Dono Kay Saath Thi.......Us Din Bhi May Tum Donon Ko Sula Ker Isha Ki Namaz Say Faraghath Kay Baad Library May Baithi Tafseer-Ul-Quran Parhnay May Mahaw Thi Kay Achanak Mujhay Kuch Ajeeb Sa Mehsoos Honay Laga...Jaisay May Akaili Nahin Koyee Or Bhi Kamray May Meray Illawa Mojood Hay ......Nmay Nay Parhtay Parhtay Apnay Charon Or Nazar Dorayee To Wahan Koyee Bhi Nahin Tha.....May Issay Apna Waham Samajh Ker Phir Tafseer-Ul Quran Parhnay Lagi Kay Achanak Shelf Say Kitabain Khud Bakhud Girnay Lagin.....May Ghubra Ker Uth Khari Huyee....Aisa Lug Raha Tha Kay Koyee Nadeeda Wajood Kitabon Ko Shelf Say Bahir Phaink Raha Hay ...Siwai Deeni Kitabon Kay Or Quran Kay Baqi Nadir Kutub Ka Aik Chota Sa Dhair Fursh Per Bikhra Para Tha...May Khof Say Apni Jaga Jum Si Gayee Thi...Aisa Lug Raha Tha Kay Kissi Nay Nay Meray Qadmon Ko Jakar Rakha Hay May Apni Marzi Say Hil Bhi Nahin Sakti Thi......Kay Achanak Khamooshi Cha Gayee.....Or Phir Achanak Ronay Or Kissi Kay Maafi Mangnay Ki Awazain Anay Lagin.......Jaisay Koyee Bohoth Takleef May Ho Or Koyee Ussay Peet Raha Ho........Ab Aisa Mehsoos Horaha Tha Kay Koyee Or Nadeeda Wajood Bhi Library May Mojood Ho.....Or Phir Awazain Madoom Hotin Gaeen Or Phir Aik Dum Sanata Cha Gaya.....May Chund Lamhay Phutti Phutti Ankhon Say Ird Gird Ka Jaiza Lainay Ki Koshish Kerti Rahi....Behar Haal May Ab Khud Ko Hila Jula Sakti Thi...Ufff Meray Khuda Yai Sub Kiya Tha...May Kursi Per Baith Kar Apnay Hawaas Bahal Ker Nay Lagi.......Jo Kuch Abhi Is Kamray May Hua Tha Wo Mujhay Mahaz Apna Waham Laga Tha...Lakin Jub Library Ki Abtar Halath Per Nazar Parh Ti To Yaqeen Sa Honay Lugta Tha...May Juldi Juldi Aitilkursi Ka Wird Kernay Lagi.....Library Ki Safayee Kerkay Or Kitabon Ko Dobara Shelf May Rakh Ker May Apnay Kamray May Akar Lait Gayee ...Phir Aksar Kuch Ajeeb Waqiyaath Honay Lagay...May Subah Tum Logon Ko Uthanay Ati To Tum Dono Kay Sirhanay Mujhay Chandi Kay Warq May Lapti Chocolates Miltin...To Kabhi Khilonay.....Daniyal Kay Anay Kay Baad May Nay Us Raath Ka Waqiya Unhay Sunaya Tha...Pehlay To Wo Yqeen Hi Nahin Ker Rahay Thay ...Lakin Jub Chocolates Or Khilonay Tum Logon Kay Sirhay Say Milnay Lagay To Wo Bhi Thoray Fikarmund Hogai...Lakin Hum Nay Yai Baath Khala Amma Or Khaloo Jaan Say Chupayee Rakhi Takay Wo Paraishan Na Ho Jain...Aik Subha Hum Dono Fajr Ki Namaz Parh Ker Abhi Farigh Hi Huya Thay Kay Door Bell Bujnay Lagi...Itni Subha Kaun Asakta Hay.......Daniyal Yai Kehtay Huay Bahir Janay Lagay To May Bhi Unkay Peechay Bahir Chali Ayee...Kaun Hay ...Wo Gate Kay Paas Pohonch Ker Poochnay Lagay Abhi To Ujala Bhi Nahin Poora Hua Tha.....Lakin Unki Baath Ka Kissi Nay Jawaab Nahin Diya ...To Wo Gate Kholnay Lagay.....Aap Aa Yai...Wo Yai Kehtay Huay Kissi Ko Andar Anay Ka Rasta Daitay Huay Khud Aik Taraf Hogai....Unki Is Baath Per May Chonki Or Anay Wali Shuqsiyath Ko Daikhnay Lagi......Saroqad Sarapay Wali Aik Aurath Ko Andar Ata Daikh Ker May Wahin Khari Rehgayee.....Wo Wohi Thi Jo Hospital May Tumhay Meray Hawalay Ker Gayee Thi.........................May Dhuk Say Rehgayee.....................................

farah ejaz
About the Author: farah ejaz Read More Articles by farah ejaz: 146 Articles with 230386 views My name is Farah Ejaz. I love to read and write novels and articles. Basically, I am from Karachi, but I live in the United States. .. View More