Aatma

(Abdulaziz Syed Ali Shah , Makkah, Saudi Arab)

" Based On SUNNI Sunai REAL Khani "

Mera Admission University Mein Hogaya Tha.

Masters K Baqi Dosal Thay.

Hr Taraf Enjoyment Ka Mahoal Tha.

Unhe Dinoa Meri Mulaqat Maahi Say Hoi.

Hum Bhut Achay Dost Thay. Or Aaista Aaista Ye Dosti Relationship Mein Badal Gai.

Meinay Apna Rishta Apnay Parents K Hathoa Mahi K Ghr Bheja. Unhay Bhi Ye Rishta Qaboal Howa.

Nikah K Liye Molvi K Pass Gai.

Meri Zindagi Ki Barbadi Yahi Say Hoi.

Na Janay Us Molvi Nay Kya Kya Batay Meri Maa Ko Kahin.

Meri Maa Nay Is Rishtay Say Inkaar Krdia. Wajhay Pouchnay Pay  Meri Maa Nay Bataya K  Maahi K Sir Pay Jin(Ghost) Sawar Hai.

Agr Maahi Nay Kisi Say Bhi Shadi Ki To Kouch He Waqt Mein Us K Husband Ki Mout Hojai Gi.

Meinay Apni Maa Ko Bhut Smjhanay Ki Koshish Ki Laikin Wo Na Mani.

Beta : Ye Sab Backwas Hai Maa Aap Kis Doar Mein Rehti Hain.

Maa : Beta Haqiqat Say Mou Nhi Morra Ja Sakta Us K Sir Pay Jin Sawar Hai Agr Tujhay Kouch Hogaya To?

Beta : Maa Jin Kisi K Andr Nhi Ghussta Ye Sab Khania Hai Bus.

Maa : Tumharay Liye Khania Hai Ye Sab. Laikin Hum Bachpan Say Jinoa K Asraat Deakhtay Aai Hain

Maa: Hamari Ankho K Samnay Un Ka Jism Sookh Kr Akar Jata Hai Un K Azoo Phir Jatay Hain, Aawaz Badal Jati Hai.

Beta : Uff Ho Maa Science Nay Prove Krdia Hai K Ye Sab Signs Mirghi, Falij Or Dosri Qisam Ki Bemaria Hai,

Maa : Tumhari Shadi Us Say Nhi Hogi To Matlab Nhi Hogi.

Chand Din Baad Wo Larka Mahi Say Shadi Krlayta Hai Us Ki Maa Ko Bhut Gussa Or Dukh Hota Hai Wo Apni Bahu Ko Kharri Kharri Sunati Hai To Beta Apni Biwi K Sath Ghr Chorr Deyta Hai.

Taqreban Haftay Baad Us K Betay Ka Accident Hojata Hai.

Us K Parents Bhut Gumgeen Hojatay Hain Sab Say Ziada Us Ki Maa Ko Dukh Hota Hai Wo Apni Bahu Ko Ghr Lay Aati Hai Or Uspay Bhut Zulam Kr Ti Hai.

Molvi Kehta Hai K Us Larki K Sir Pay Ab Bhi JIN Sawar Hai Chand Din Mein Bhut Nuqsan Honay Wala Hai Sab Ko.

Wo Bhut Preshan Hojati Hai.

Essi Doran Us Larki Ka Sasur Kam Kaj Say 1haftay K Liye Out Of City Ja Raha Hota Hai.

Rastay Mein Uski Car Ek Truck Say Takra Jati Hai Or Uski Mout Hojati Hai.

Us Ki Biwi Ko Bhut Bara Sadma Phunchta Hai.

Abhi Betay Ka Dukh Dhala Nhi Tha To Us K Shoher Ki Mout Nay Us Ka Sukoon Chakra Choor Krdiye Hotay Hain.

Wo Gussay Mein Aa K Apna "Aapaa" Kho Deyti Hai Or Aapni Bahu Ka Hath Jala Dal Ti Hai.

Chand Din Baad Us Molvi Say Phir Is Ki Saas Mulaqat Krti Hai.

Wo Ussay Batata Hai K Zaror Koi Aaisi Cheez Tumharay Pass Ya Tumhari Bahu K Pass Mojoad Hai Jis Ka Talluq Tumharay Betay Say Hai. Ussay Khatam Kr K Dekho Shayed Jin Ka Saya Tal Jai.

Wo Puray Ghr Mein Pani Ka Chinkaar Krdeyta Hai.

Chand Din Baad Molvi Bhi Maarr Jata Hai.

Ek Din Us Larki Ko Khaab Aata Hai K Uski Saas Marnay Wali Hai.

Or Uski Saas Ko Khaab Aata Hai K Us Ki Bahu Marnay Wali Hai.

Bahu Bari Himmat Kr K Apni Saas Ko Uski Mout Ki Khabar Deyti Hai.

Raat Ka Waqt Hota Hai Achanak Ussi Waqt Taaiz Hawa Chalnay Lagti Hai.

Khirrkia (Windows) Hillnay Lagti Hain,

Lightay Khul Band Honay Lagtin Hain.

Achanak Ek Roshni Aati Hai Us Mein Say Ek Ajeeb Wa Gareeb Shakal Wa Surat Ka Shaqs Hath Mein Khulari(OX) Liye Aata Hai Jisnay Khoon Bharay Kapray Pehnay Hotay Hain.

Or Saas Pay Hamla Krnay Lagta Hai.

Saas Or Bahu Ek Kamray Mein Bhag Jatay Hain Or Darwaza Lock Krdeytay Hain.

Theek Ussi Waqt Ussay Yaad Aajata Hai K. Molvi Nay Ussay Kahatha K Koi Aaisi Cheez Zaror Tumharay Pass Ya Tumhari Bahu K Pass Mojoad Hai Jiss Ka Talluq Us K Betay Say Hai.Us Nishani Ko Meta Do Ye Jin Khud Khatam Hojaiga.

Ussay Yaad Aajata Hai K Us K Pass Wo Kapray Mojoad Hain Jin Pr Us K Huband Ka Khoon Laga Howa Hai.

Itnay Mein Darwaza Aadha Sa Toat Jata Hai Or JIN Saas Ko Baloa Say Pakr Kr Apni Taraf Ghaseet Raha Hota Hai To Wo Kehti Hai K Kaproa K Khoon Ko Dholo (Wash) Hosakta Hai Phir Meri Jaan Bach Jai.

Wo Kaprao Pay Pani Laga K Ragarr Rahi Hoti Hai Or Jin Ussay Ghaseet Raha Hota Hai.

Wo Ragarr Rahi Hoti Hai Jin Ussay Ghaseet Raha Hota Hai.

"Ghaseet Raha Hota Hai,

Ragarr Rahi Hoti Hai"

Itnay Mein Saas Ussay Kehti Hai

" Array Pagli TIDE Sabon Laga K Dho(Wash) Phir Khoon Jai Gaa Naaa.:P:P:P;):P:P;)

Or Director Kehta Hai "CUT"

MORAL:

" Kisi Bashar Pay Jin Sawar Nhi Hosakta.

Kyo K Allah Nay Hamay ASHRAF-AL-MAKHLOKAAT Banay Hai Or Hamari Sabqat Tamam Dunyawi Cheezoa Pr Hai.

Mein Ye Nhi Kehta K Jin Nhi.

Jin Bayshak Hain Laikin Wo Allah Ki Ebbadat Mein Masroaf Hai.

Allah Insan Say 70Mao Say Ziada Pyar Krta Hai To Phir Insan Kistrah Manhos Hosakta Hai."

Thanks For Reading

Abdulaziz Syed Ali Shah
About the Author: Abdulaziz Syed Ali Shah Read More Articles by Abdulaziz Syed Ali Shah: 14 Articles with 34872 views Writing stories and poetries its not only my hobby but its my profession.My aim is to join F.I.A.. View More