Mushkil Rastay episode 12
(farah ejaz, dearborn, mi USA)
Jub Wo Karachi Ai Thay To Jaib
May Sirf Dus Roopay Parhay Thay ...................Ghar Bhar Kay Ladlay Thay..............Karachi
Akar Pehli Baar Bhookay Pait Foot Path Per Sona Parha To Ma Baap Ki Qadar Huyee....Bari
Bahan Ki Mohobath Or Unkay Naaz Uthana Yaad Aya......Lakin Wo To Saari Kishtiyan
Jala Ker Ai Thay ...Apni Mung Ko Thukra Kar ....Apnay Baap Ko Naraz Ker Kar....Choda(14)
Jamaath Pass Thay...Shaid Isi Ka Ghuroor Tha Unhay.... Apni Mangaitar Jahil
Lugnay Lugi Thi...Jub Shadi Ki Batain Honay Lagin Ghar May To Saaf Keh Diya.......May
Nahin Karoonga Us Jahil Say Shadi......
Yai Baath Sun Ker Abba Nay Joota Utha Liya Betay Per ..................Bus Phir
Kiya Tha Chore Ai Sub Kuch .....Na Ma Ki Ahain Un Kay Qadmon May Zanjeerain Daal
Sakin Na Behan Ki Iltijain Unhay Roke Payeen ....Josheelay To Thay Hi Ahad Ker
Liya Ab Nahin Jaoounga Jub Tuk Gul Lala Ki Shadi Khana Abadi Kisi Or Kay Saath
Na Ho Jai..........Lakin Ab Unhay Apna Yai Faisla Bhari Parh Raha Tha......Do
Mahinay Hogai Thay.......Naukri Dhoondtay Huay...Lakin Shaid Qismath Unsay
Roothi Huyee Thi....Jo Walaidain Na Sikha Sakay Wo Do Mahino May Seekh Gai.......Lakin
Phir Bhi Wapis Janay Ko Taiyaar Nahin Thay......Gul Lala Aik Aankh Nahin Bhati
Thi ...Ore Bachpan Say Suqth Na Pasand Thi...Is Liyai Bhookay Rehna Manzoor Tha
Lakin Us Say Shadi Kisi Tore Manzoor Na Thi..............Lakin Phir Qismath Nay
Yawari Ki Or Teesray Mahinay Jub Wo Kulli Tore Per Mayoos Ho Chukay Thay Kay
Apnay Aik Puranay Yaar Suleman Shah Say Mulaqath Hogayee....Jis Ki Lalookhaith
May Kabariyai Ki Chotti Si Dukan Thi....Usnay Jo Unhain Buray Haal May Daikha To
Apnay Saath Hi Lay Aya.......Phir Apnay Us Chotay Say Karobar May Shareek Ker
Liya....Kuch Arsa Jamal Apnay Dosth Kay Saath Karobar Kertay Rahay....Phir
Suleman Ko Dubai May Kissi Construction Company May Naukri Mil Gayee To Wo Dosth
Ko Apna Karobar Sonp Ker Dubai Chala Gaya...Or Kuch Hi Arsay Baad Apnay Biwi
Bachon Ko Bhi Wahin Bula Liya....Or Dukan Unkay Naam Kerdi.......Wo Baishak Un
Ka Sacha Ore Muqlis Dosth Tha...Jamal Mehanti Or Karobari Ramooz Say Bhi Wakhif
Thay ...Ore Zaheen Bhi Thay To Us Mamooli Karobaar May Bhi Kafi Taraqi Kerli.....Saath
May Mardana Kapron Ki Dukan Bhi Lay Li....Ab Hun Charon Taraf Say Baras Nay Laga....Jis
Cheez May Bhi Haath Daltay Wo Sona Bunjati Unkay Liyai.....Saath Hi Agay Parh
Nay Ka Jub Shoq Phir Say Jaga To Paisa Jama Kerkay London Chalay Gai....Us
Zamanay May London Ya Europe Jana Koyee Mushkil Kaam Nahin Tha........Odd Jobs
Kertay Huay Apni Parhayee Ko Jari Rakha....Ore Phir Wahin Aik Choti Si Coffee
Shop Khol Li..........Ore Phir Teen Char Saal Baad Hi Aik 5 Star Hotel Kay Malik
Bun Baithay.........Itnay Kum Arsay May Itni Turaqi Logon Kay Saath Unhay Bhi
Hairan Ker Daiti Thi..........Shah Ji Say Bhi Wahin Mulaqaath Huyee Thi.........Bachpan
Say Sanjhi Yar Thay Dono.... Daikhtay Hi Aik Doosray Say Laput Gai......................
Oaiy Jamal Tu Idhar Kiya Kar Raha Hay.... Yaar Kuch Apnay Maa Baap Ki Fikr Kar.......Tu
Kiyun Unhay Chore Aya Bhai...........................................
Wo Dosth Ko Lupta Kar Bolay To Jamal Shah Thori Dair Khamooshi Say Dosth Ko
Daikhay Gai.............
May Kiya Kerta Shah Abba Meri Shadi Zaberdasti Gul Lala Say Kernay Per Bazid
Thay.... Or Tujhay To Pata Hay Yaar Wo Shuroo Say Mujhay Na Pasand Thi...May Nay
Mana Kiya To Mujhay Ghar Say Nikal Janay Ko Kaha Bus Isterha May Idhar Agya.......
Jamal Tunay Bara Zulm Kiya Hay ...Yara Gul Lala Ki Shadi To Teray Cousin Say
Hogayee ....Ore Wo Bhi Teray Janay Kay Chay Mahinay Baad....Kitna Dhoonda
Chachay Nay Phir Tujhay.........Ab Bhi Dono Teri Rah Tuk Rahay Hain....Ore Haan
Teri Bahan Ki Bhi Shadi Hogayee Thi.... Lakin Aulad Na Honay Ki Wajha Say Shohar
Nay Ghar Say Nikal Diya Tha................................
Shah Ji Ki Baath Sun Ker Wo Dil Masoos Ker Rehgai...Ab Kiya Ker Saktay Thay...Per
Kitna Armaan Tha Unhay Apni Behan Ki Shadi Ka.....Lakin Abba Ki Hut Dharmi Or
Unkay Jawani Kay Josh May Uthay Huay Qadam Nay Un Say Unki Zindagi Kay Yai
Bara(10) Saal Apno Say Door Bilkul Akailay Guzar Nay Per Majboor Ker Diya Tha......Agar
Wo Hotay To Shaid Aisa Na Hota...Or Zakiya Ka Shohar Un Ki Behan Kay Saath Aisa
Sulook Ker Nay Say Pehlay So(100) Dafa Sochta Zaroor................................
Abhi Bhi Kuch Nahin Bigra Jamal....Wapis Jao Or Chachay Or Chachi Say Apni
Ghultiyon Ki Maafi Maang Lo....Ab To Teray Janay Ki Rah May Para Wo Kanta Bhi
Hut Gaya Hay....................................
Unki Baath Sun Ker Wo Muskura Diyai....Phir Teen Mahinay Baad Hi Apnay Watan
Shah Ji Kay Saath Hi Lot Aiy....Walaidain Kay Galay Lug Ker Khoob Roaiy....Abba
Bhi Kafi Badal Gai Thay...Kafi Naheef Or Laghar Dikhnay Lagay Thay.. Or Maa Ji
To Hudiyon Ka Panjr Lagtin Thin.....Chamakti Ankhain Andar Dhuns Gayeen
Thin...Jin Ki Binayee Na Honay Kay Barabar Reh Gayee Thi........Sari Zameen Or
Khaiton Per Mamoo Zaath Bhaiyon Nay Qabza Jamaliya Tha.....Juld Hi Gaooun May
Reh Kar Unhay Yai Ahsaas Hogaya Tha Kay Zameen Ki Lalach May Unkay Mamoo Zaath
Bhai Kissi Bhi Hud Tuk Jasaktay Hain....Abba Ko Bhi Is Baath Ka Andaza Tha Is
Liyai Jub Jamal Shah Nay Abba Ko Saath Chalnay Ko Kaha To Unho Nay Foran Haan
Kerdi.....Juld Hi Wo Un Sub Ko Lay Ker London Lot Ai...Or Yahan Atay Hi Zakiya
Ki Shadi Apnay Aik Egyptian Dosth Munaf Bin Hayan Say Ker Di ... Saal Bhar Baath
Hi Zakiya Ko Allah Nay Aulad Say Nawaaz Diya...Or Wo Apnay Shohar Kay Saath
Misar(Egypt) Chalay Gayeen....Do Saal Kay Andar Hi Pehlay Abba Dammay Kay
Shadeed Humlay Ki Nazar Hogai....Phir Amma Bhi Unkay Chay Mahinay Baad
Dagh-E-Mufarqath Day Gayeeen....Walaidain Ki Wafaath Kay Baad Unka Dil Phir
London May Nahin Laga Or Wo Pakistan Wapis Lot Ai.........Or Karachi May Aik
Luxurious Flat Qareed Liya...Jo Ain Sahil-E-Samandar Kay Bilkul Samnay Tha....Abhi
Yai Flats Bilkul Nai Banay Thay Is Liyai Aika Duka Hi Flats Abad Huay Thay....Or
Us Zamanay May Abadi Bhi Bohoth Kum Thi Clifton Per......Aik Din Sham Ko Wo Apni
Balcony May Kharay Samandar Ki Purshor Lehron Ko Tuk Rahay Thay Kay Unhay Hulkay
Baby Pink Shalwar Qameez May Wo Nazar Agayee.....Jis Ki Shakal To Door Say Daikh
Na Sakay...Lakin Us Ki Lambi Zulfain Door Say Bhi Nazar Arahin Thin.....Wo Kuch
Dair Tuk To Us Mehjaben Ko Daikh Tay Rahay Phir Andar Agai...........Ab Jub Bhi
Wo Balcony May Kharay Hotay Wo Unhay Muqtalif Rung Kay Kapron May Nazar Ati.....Her
Dafa Uski Lambi Zulfain Hi Dikhtin Shakal Door Say Saaf Dikhayee Na Daiti..................
Ab Un Ka Roze Ka Mamool Bun Gaya Tha Theek Sham Sarhay Paanch Bajay Agar Office
Say Juldi Ajatay Tub Aik Cup Coffee Ka Liyai Apni Balcony May Kharay Hojatay Or
Us Mehjabeen Ko Agar Nazar Agyee To Door Say Sirf Daikhay Jatay............Us
Dinb Bhi Dhulti Dopahar Ghar Janay Apnay Hotel Jis Per Abhi Bhi Construction Ka
Kam Chal Raha Tha Say Apni Gray Fiat May Niklay To Us Larki Ka Qayal Agaya.......Kuch
Baichain Say Hokar Gari Ka Ruq Flats Ki Taraf Mornay Ki Bajai Us Kay Samnay
Samandar Kay Qareeb Rok Di....Or Bahir Nikal Ai...Kuch Dair To Gari Kay Paas
Kharay Samandar Ki Lehron Ko Ghaib Dimaghi Say Daikhtay Rahay ....Phir Apnay
Qadam Samandar Ki Taraf Barha Diyai......Kaafi Dair Akailay Taheltay Rahay...Pur
Shore Lehrain Un Kay Qadmon Say Takra Kar Wapis Gum Ho Jatin...Tenhayee Ka
Ahsaas Aaj Kuch Ziyada Hi Barh Gaya Tha......Aisia Or Europe May Un Ka Business
Bohoth Taizi Say Phail Raha Tha...Kayee Multinational Companies May Un Kay
Shares Thay...Kayee Baray 5star Or 7star Hotels Kay Malik Thay Wo.........Lakin
Itni Dolath Shorath Kay Bawajood Wo Tenha Thay.....33 Saal Kay Hochukay Thay
Lakin Abhi Tuk Shadi Nahin Ki Thi....Bohoth Say Logon Ki Un Per Nazrain Gari Hui
Thin......Business Parties May Kayee Ultra Modern Larkiyan Un Ki Qurbath Or Aik
Nazar Kay Liyai Tarapti Thin....Lakin Dosti To Bohoth Door Ki Baath Thi...Wo
Ankh Utha Ker Bhi Kissi Ki Taraf Nahin Daikh Tay Thay...Aisi Parties Sharab Or
Shabab Say Khali Nahin Hoteen....Or Jamal Shah Ko Nahi Yai Bay Baak Andaaz Or
Hosh Raba Adaon Say Mazeen Bigri Huyee Ameer Zadiyan Pasand Thin....Or Na Hi
Sharab Ko Kabhi Haath Lagaya Tha....England May Rehtay Huay Bhi Jub Daman Per
Koyee Daagh Nahin Laga Tha To Ab Kiya Khak Bigar Tay......Magar Us Larki Nay Jub
Say Door Say Apni Jhaluk Dikhlayee Thi Tub Say Hi Kuch Ajeeb Ahsasaath Dil May
Jagay Thay......Us Waqth Bhi Samandar Kay Kinaray Tehaltay Huay Wo Ussi Ajnabi
Larki Kay Baray May Onchay Jarahay Thay........Sooraj Ki Taiz Shuaoon May Aik
Nirmahat Si Ati Ja Rahi Thi....Din Ki Rohni Raathmay Mudghum Honay Lagi Thi....Sooraj
Ahista Ahista Samandar May Uterta Hua Mehsoos Ho Raha Tha...Lakin Us Haseen
Nazaray Ki Taraf Daikhnay Ki Bajai Wo Apni Sonchon May Khoay Huay Thay.....Wo
Ajnabi Larki Unkay Dil-O-Dimagh Per Cha Gayee Thi.............Or Wo Khud Ko Is
Mamlay May Bay Bus Mehoos Ker Rahay Thay.........................
Mujhay To Yai Bhi Nahin Pata Tum Kaun Ho....Kahin Tum Kisi Kay Saath Engage To
Nahin..................
Wo Dil May Us Say Muqatib Thay Or Is Qayal Kay Atay Hi Muztarib Bhi Ho Gai.....Thakan
Ka Ahsaas Jub Barh Nay Laga To Samandar May Ghurq Hotay Sooraj Per Uchat Ti
Nigah Daltay Huay Pultay To Zara Faslay Per Kharay Wajood Per Nazar Parhee....Or
Qadam Wahin Jum Gai..........