Adhuri Khwahishe Or Un Ki
Mukammal Haqiqat Is Mouzu Ka Intekhab Asal Mai Is K Piche Chupi Kahani Pr Mabni
Hai....Insan Hmesha Is Bat Ko Bhul Jata Hai K Us K Is Dunya Mai Aane Ka Maqsad
Kya Hai.Is Dunya Mai Ane K Bad Wo Is Dunya Or Us Ki Rangeen Or Dill Fareb Masail
Mai Ulajh Kar Rah Jata H.Ye Kahani Bhi Ek Aisi Ladki Ki Hai Jis Ne Is Zindagi Ki
Haqiqat Ko Samjhne Mai Bohot Waqt Laga Dia Bohot Thokare Khai Bohot Batein Suni
Logo Ki Or Bohot Si Dushwariyon Ka Samna Kia...Is Afsane Ki Aham Kirdar Jise Log
Sanam Ke Nam Se Jante The....Dunya Ke Baki Sabhi Logo Se Bohot Mukhtalif Tho Us
Ki Khwahishe Dunya Ki Badi Badi Chizo Ko Pa Lena Nhi Tha..Wo Har Choti Se Choti
Baton Mai Bhi Apni Khushi Dhund Leti...Bachpan Ma Bap Ki Sarparasti Mai Guzra Or
Phr Moujuda Halat Or Mahol Se Pareshan Use Padhai Ke Liye Hostel Bhej Dia..Umar
Ka Wo Pahlu Jab Ek Bacche Ko Achi Or Buri Bato Ki Samjh Us Ke Ma Bap Dete Hai Is
Bat Ko Smjhne K Liye Wo Umar Bhi Munasib Na Thi Jab Use Hostel Mai Moujud
Pareshaniya Satane Lagi.Apne Ma Bap Se Dur Rahna Us K Liye Asan Na Tha Par Is
Haqiqat Ko Kubool Krne Ke Siwa Koi Rasta Bhi Na Tha......To B Continue
InshaAllah