Aap Samajh Rahay Hun Gay Hum
Koi Cardio Kaa Case Hein Janabh ALHAMDULLILAH Asee Koi Baat Nahi Bas Ye Jumla
Yun Yaad Aa Gia Kay Kici Zamany Mein Ye Bhut Famous Tha Or Aqsar Oqaat Waqt Bay
Waqt Ye Dhuraya Jata Thaa Jabh Bee Koi Haseena Aas Paas Hua Karty Thee Jabh Bee
Koi Dil Ko Achla Laghta Tha Ye Jumlaa Maehanghie Ki Tra Khudbakhud Demagh Ki
Market Mein Warid Hu Jata Tha. Hakeem Jaleebi Khan Ju Kay Bachon Or Mehanghaie
Say Bhut Tangh Raha Kartay Hein Wo Jabh Ajh Kay Hair Dresser Mazi Kay Naiee Kay
Pass Bachay Ko Lay Gaye Orr Ehtajhajee Lehjay Mein Kaha Bahi Iss Kay Baal Zara
Sahi Say Chutay Karna Kambakht Mehanghaiee Ki Raftaar Say Bartay Rehtay Hein
.Baat Hu Rahee Thee Dil Ki Science Khty Hay Dil Ek Blood Pumping Organ Hay Hum
Nay Bee 16 Saal Biology Mein Ye Hee Para Magar Jabh Urdu Ki Kitabh Khuli Uss
Mein Dil Say Mutaliq Poetry Parhee Tu Humein Science Par Bhut Sara Shaq Saa Hua
Hum Abhee Iss Mamlay Mein Yaqeen Ki Kafiyat Say Bhut Dour Hee Thay Kay Fer Iss
Jumlay Say Aashnaiee Hui Kay Dil Ka Bee Koi Chein Huta Hay Cycle Ki Chain Ki Tra
Magar Jun Jun Hum Bee Mehanghaiee Kay Sath Sath Bartay Chalay Gaye Tu Pata Chala
Kay Dil Kay Chein Ka Taluq Serf Haseena Say Jurna Bhut Bari Hamaqat Hay Ubh
Bijli Aa Jaye Tu Chein,,Bill Kam Aa Jaye Tu Chein,Karachi Mein Banda Ghar
Khariat Say Pohanch Jaye Tu Chein,,Bacha Pass Hu Jaye Tu Chein,,School Walay
Fees Na Barahein Tu Chein,,,Janay Kaha Gaye Wo Din Jabh Haseena Bee Mojabhe
Chein Huaa Karty Thee.Shadishuda Loghun Kaa Ye Haal Hay Kay Hakeem Sahib Bolay
Jis Din Aap Ki Hakeemi Bahbhee Humein Bayizat Naa Karay Hum Samajh Jatay Hein
Kay Zror Daal Mein Kuch Kala Hay Hum Foran Un Kay Dil Ka Chaein Matlab Heartbeat
Check Kartein Hein Kay Shaied Koi Khushkhabree Hu Or Hum Randway Hunay Walay Hun
Magar Bas Baat Khansi Nazla Bukhaar Say Kabi Agay Bar Kay Hee Nahi Dety Hum Nay
Pocha Asa Qun Hay Wo Bolay Naikbakht Bhut Hushiyaar Hay Us Ki Maa Nay Shadi Say
Salon Pehlay Hee Patty Paraa De Thee Kay Baita Marty Mar Jana Jaleeebi Say
Elaajh Naa Karwana,, Ye Sab Kahtay Huay Jaleebi Khan Ki Ankhon Mein Ansoo Aa
Gaye Kher Ye In Kaa Zaaty Maslaa Tha Hum Tu Serf Dua Hee Karsaktay Hein Kay
ALLAH Hakeem Sahib Ko Apni Bv Bardasht Karnay Ki Toufeeq Atta Farmaye.