Pata Nahi Qalandar Ka Mast Huna
Qun Zarori Hay Magar Qalandar Ki Masty Nay Asee Dhaak Bethaiee Hay Kay Ubh Ye
Cell Phone , Lap Top,Tablets Ki Tra Ki Bilkul Naie Advance Dhamkee Hay Hakoomat
Naraaz Hu Tu Khty Hay Kay Ubh Dam Mast Qalandar Hu Ga ,Oposition Hakoomat Say
Koi Badla Chuckana Hu Ya Kici Bee Intezaami Machinery Say Naraaz Hu Tu Kehty Ubh
Sarkon Par Dam Mast Qalandar Hu Ga,Bv Naaraaz Hu Shohar Say Tu Kehty Hay Kay
Ghar Mein Asa Dam Mast Qalandar Karon Gee Kay Aap Kay Saray Dhumaal Dharay Kay
Dharay Reh Jaien Gay,Sarkaree Mulaazmon Ki Tankhaown Mein Namak Jitna Bee Izafa
Naa Kiya Jaye Tu Wo Hakoomat Ko Dam Mast Qalandar Challenge Dey Detay Hein Koi
Qalandar Say Bee Pochay Kay Bahi Qalandar Aap Nay Kis Kis Ko Rights Dey Rakhay
Hein Jis Ko Dekhu Aap Ki Ejaadh Ko Bila Rok Tok Use Kar Raha Hay Hum Nay Ye Baat
Hakeem Jaleebi Khan Sabh Say Pochee Jabh Kay Ye Un Kaa Shubah Nahi Magar Chawal
Marna Un Ka Pora Haq Hay Hum Apnay Dost Ko Is Kay Chawal Haqooq Say Mehroom Nahi
Kar Saktay Ye Humaree Tarbiat Ka Khas Hisa Hay Baharhaal Hakeem Jaleebi Khan
Saabh Bolay Bahi Humaray Mulk Mein Copy Rights Ka Qanoon Bhut Kamzor Hay Agar
Humaray Maajoon Iss Ko Khila Diye Jaien Tu Copy Rights Ka Qanoon Taqat Pakar
Sakta Hay Kher Ye Tu Unhun Nay Fazool See Chawal Maari Ju Kay Apnay Buisness Ko
Beech Mein Lay Aye.Qalandron Ki Ye Khidmat Naqabil E Faraamosh Hay Ju Unhon Nay
Ek Bhut Eham Dhamkee Numa Chese Market Ki Jis Ko Har Koi Istemaal Kar Sakta Hay
Ye Humaree Khushnaseebi Hay Kay Yhan Par Asay Qabil Malangh Paye Jatay Hein Ju
Saree Duniya Kay Liye Ek Misaal Hein ,,,Jabh Tak Sarkon Par Dam Mast Qalandar
Huta Rahay Ga Uss Waqt Tak Aye Qalandar Tera Naam Goonjhtaa Rahay Ga.Pehlay
Zamany Kay Qalandar Phonk Say Hee Kaam Chala Laitay Thay Ubh Tu Ye Bee Dhamkee
Kay Bagher Nahi Reh Saktay.Bahi Ju Bee Hu Jasa Bee Hu Bas Aam Awaam Ko Iss Dam
Mast Say Entertainment Milay Tu Sahi Hay Free Mein Gar Uss Kaa Bhula Hu Tu Kia
Kehnay Jee Magar Agar Iss Dam Mast Say Agar Mulk Awaam Ko Koi Faida Nahi Tu Iss
Ko Postpond Kar Dena Chaiye.