Binte Hawa

(Hania, lahire)

Yaar Kahan Hai Wo Aii Nai Abi Taak Raza Ne Time Dekhty Howe Umer Se Kaha Dono Kafi Dair Se Nida Ka Wait Ker Rahey Thay Umer Ne Abi Kuch Kehne Key Liye Mu Khola Hi Tha Ke Samne Se Nida Ati Dekhaye Di Or Umer Ke Alfaz Mu Main Hi Reh Gaye Assalam O Alaikum Nida Ne Pass Aty Hi Salam Kia Wa Alaikum Salaam Umer Raza Ne Ak Sath Jawab Dia Tight Burkha Jo Pure Wajood Ko Numaya Ker Raha Tha Chery Per Nakab Bhi Naam Ka Jo Bamushkal Naak Ki Nook Or Hunt Chupa Raha Ho Or Ankhy Kajal Or Liner Se Esy Sajai Hoi Ke Dekhne Waly Ko Kherha Ker Dain Raza Ne Ser Se Pao Tak Nida Ko Dekha Ye Kon Hai Nida Ne Umer Se Pocha Ye Mera Dost Hai Raza Ahmed Or Raza Es Se Milo Ye Hai Nida Mere Dost Yar Main Chalta Hn Raza Ne Ser Ki Kanpatio Ko Maseltey Howe Kaha Ary Itne Jaldi Umer Ne Abi Bas Itna Hi Kaha Tha Raza Lamby Lamby Dag Bhrta Wahan Se Chala Gea Dono Usy Jata Howa Heran Nazro Se Dekhty Rahy.

Raza Ko Samajh Nai A Raha Tha Usey Howa Kia Wo Kiu Waha Se Chala Aya Wo Bas Bina Kesi Maqsad Ke Sarko Per Mater Gasht Ker Raha Tha Akhir Kiu Akhir Kiu Ay Binte Hawa Kia Ho Gea Hai Tujhe Tu Kiu Khud Ko Berbad Kerne Pe Tuli Hoi Hai Raza Ko Lag Raha Tha Uska Ser Phat Jaye Ga Kia Ye Hai Wo Parda Jis Ka ALLAH Ne Binte Hawa Ko Hukam Dia Hai (Ay Nabi Apni Bewio Or Betiou Or Momin Aurto Ko Keh Dain Ke Apne Ser Se Pao Tak Chader Dal Lia Karain Ta Ke Wo Pehchan Li Jaye Or Tang Na Ke Jaye Or ALLAH Maaf Karne Wala Or Reham Kerne Wala Hai) Kia Nida Ne Esa Parda Kia Tha Kia Umer Nida Ke Liye Gair Mard Nahi Tha Jise Wo Ghar Walo Se Jhot Bol Ke Milne Ai Raza Khud Se Sawal Krta Whi Footpath Per Beth Gea Or Dono Hatho Se Ser Ko Tham Lia Main Be Tou Umer Jesa Hi Tha Main Be Tou Lrkio Ke Sath Date Per Jata Tha Phir Aaj Mujhe Kia Hogea Hai Aaj Ager Main Subha Rikshaw Ke Pechy Ye Surah Al Hazab Ki Ayat Na Parta Tou Main Be Esa Tha Per Ab Nahi Ay Allah Tou Mujhe Maaf Kerdy Aaj Ke Bad Main Binte Hawa Ki Izzat Klaro Ga Or Burai Se Bachu Ga Ankho Se Ansu Saf Krty Howe Wo Uth Khra Howa Wo Janta Tha Ab Usy Kia Krna Hai...
 

Hania
About the Author: Hania Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.