Uss Ki Soch Kabi Jutay Or Kabi
Miti Ki Janib Aa Ja Rahee Thee Wo Us Position Mein Aa Gia Tha Jabh Inssaan Ko
Roshani Bee Andhray Kaa Hee Dosraa Roop Nazar Aty Hay Uss Ki Soch Ubh Khud Ki
Baqaa Par Aa Kar Atack Gai Thee Wo Iss Baat Say Bahut Dour Hu Chukaa Thaaa Kay
Future Kia Hay Bright Future Kia Huta Hay Uss Kay Dost Uss Kay Hamnawa Kaha Tak
Pohanch Gaye Ubh Tu Wo Faqt Dhoop Ko Hee Saya Samajhnay Laga Tha Wo Ubh Kankar
Paon Mein Chubhna Shuro Hu Gaye Thay Juta Talway Say Or Pait Gandum Say Yaqsar
Khali Hu Chukay Thay Blood Pressure Low Hu Raha Tha Thandh Mein Bee Paseenay Uss
Kay Wajodh Ko Bheughu Rahay Thay Chand Kahein Say Niakal Ata Tha Or Pher Say
Ghaieb Hu Jata Tha Bastee Mein Dakhil Hutay Hee Gharun Say Khanay Ki Khushbouein
Anay Lagein ,,,,,,,,,,,,,Salman Khana Garam Kar Dun,,,,,,,,,,,,,Uss Ki Maa Ki
Awazz Uss Kay Kanu Say Takraiee Dhukh Bharee Muskarahat Uss Kay Labhun Ko Chuuu
Kay Guzar Gai ,,,,,,,Muskarhat Maa Kay Ehsaas Nay Paida Ki Or Dukh Ki Chadar Nay
Uss Ko Yaad Delaya Ubh Maa Nahi Rahee Salman Nay Asmaan Ki Taraf Dekha Shaied
Kahein Maa Nazar Aa Jaye Magar Chand Bee Kici Badal Ki Panaah Lay Chuckaa
Tha,,,,,,,Mera Bacha Thandaa Khana Khanay Ki Adat Daal Lay,,,,Roty Kachi Paki
Jeci Hu Khaa Laina Bahbhiaan Maa Nahi Hutein,,,,,,,,,,,,Ek Kamzoor Sa Wajhudh Ju
Bemaari Mein Maayuus Hu Jata Tha Mailee See Chadar Par Laitay Huay Baitay Ko
Jaldee Jaldee Nasihat Kartta Tha Kay Kahein Uss Ki Saans Band Hu Gai Tu Ye
Zarorri Baat Samjhnay Say Reh Na Jaye,,,,Uss Kay Wajood Nay Ek Lambhi See
Jhurjhuree Lee Or Wo Wapis Apnay Jisam Mein Aa Gia Ju Kay Kaiee Galiaan
(Streets)Mournay Kay Baad Mazil Say Qareeb Hu Raha Tha Kuch Rupay Apni Paidal
Yaatra Ki Waja Say Uss Nay Bacha Liye Thay ,,Pasun Kay Beghaer Insaan Kitna
Unsecure Feel Karta Hay,,,Agar Train Mein Condactor Guard Ko Uss Ki Ankhun Mein
Sachaiee Dekhaiee Naa Dety Tuu Wo Abhi Railway Ki Jail Mein Bina Ticket Kay
Safar Kay Ilzaam Mein Saza Kaat Raha Huta Ajh Ye Kuch Pasaun Kay Bach Janay Mein
Uss Guard Kaa Bee Share Thaa Salman Ko Samnay Baithy Hui Wo Family Yaad Aa Gai
Jis Nay Ye Sara Tamasha Dekha Tha Unn Ko Iss Ka Baar Baar Yahan Say Wahan Ana
Jana Samajh Mein Aa Gia Tha Ubh Un Ki Nazrun Mein Iss Kay Liye Tanz Tha Jasay Ye
Ticket Ki Raqam Shaied Kici Juway (Gamble)Mein Haar Chuckaa Hu(Jaree Hay)