Husna-2

(Zeena, Lahore)

Jub Husna 8 Saal Ki Or Sohail 3 Saal Ka Tha En Ke Walid Ak Road Accident Main Mout Ki Aghoosh Main Chaly Gaye Maham Ne Tab Bari Mushkil Se Tanha Dono Bacho Ko Pala Zindgi Ke Her Mor Per Jaha Baap Ke Zarorat Thi Wahan Maa Baap Dono Ban Ker Bacho Ko Dhoop Chaon Se Mehfooz Rakha Maham Or Junaid Ke Ye 2 Bache Hi Enki Puri Dunia Thy Maham Ne Zindagi Ke Es Nazuk Moor Per Dosri Shadi Kerne Ke Bjaye Salai Kerhai Ker K Bacho Ko Palne Ka Fesla Kia Maham Ki Kurbania Rang Lai Aaj Husna B.A Final Year Or Suhail Metric Ke Students Thy Mama Mery Exams Main Bus Aik Month Reh Gea Hai Aaj College Se Be Chutian Ho Jani Hai Nashta Kerty Howe Husna Ne Maham Ko Bataya Theek Hai Chanda Aab Tum Dil Laga Ker Exams Ki Teari Kro Or Gher Ka Ab Koi Kam Nahi Kro Ge Maham Ne Pani Ka Glass Labo Se Lagaty Howe Kaha Husna Ne Abhi Kuch Kehne Ke Liye Mu Khola Hi Tha Ke Kanch Totne Ki Awaz Ai Dono Ne Dekha Sohail Nechy Kanch Uthane Ke Liye Jhuka Howa Tha Bus Or Koi Kaam Nahi Hai Tumhe Chezain Torne Ke Ilawa Kuch Sekho Husna Se Her Waqt Ki Shararty Kabhi Khana Bhi Sakoon Se Kha Lia Karo Kub Barey Hogy Tum Husna Jaldi Se Agy Barh Ker Kanch Uthany Lag Gai Bus Kary Mama Aik Galas Hi Tou Hai Sohail Ne Konsa Janbojh Ker Tora Hai Sorry Mama Sohail Ne Kesi Ko Bhi Dekhy Bger Apna School Bag Uthaya Or School Ke Liye Tezi Se Main Door Aboor Ker Gea Suhail Ke Jaty Hi Maham Ko Ehsas Howa Aik Galas Hi Tou Tha Bus Aik Galas Hi Tou Tota Tha Jis Ki Waja Se Mera Beta Bager Nashta Kiye Ghar Se Chala Gea Husna Maa Ko Gum Sum Betha Dekh Ker Maa Ke Dil Ka Haal Samejh Gai Or Agey Berh Ker Maham Ko Galy Se Laga Lia Maham Ke Ansoun Ke Moti Husna Ke Kandhey Main Jazeb Hone Lagy.. Aaj Musam Bara Khush Guwar Tha Her Taraf Badel Chaye Howe They Thandi Thandi Hawaye Chal Rahi Thi Thandi Hawaon Ki Waja Se Garmi Ka Zoor Bhi Toot Gea Tha Ser Sabz Darakht Hawaon Ke Sath Jhoom Rahy Thy Aaj College Se Ghar Aty Howe Hijab Ka Mood Bohat Acha Tha Aaj Wo Bohat Khush Thi Kiu Ke Aaj Akhari Paper Tha Or Exams Ki Fiker Khatan Ho Gai Thi Aab Wo Azaad Thi Bilkul En Hawao Ki Tarha Wo Apne Hi Sochon Main Chali Ja Rahi Thi Ke Ab En Chution Main Kia Kerna Hai Pata Hi Nahi Chala Ghar Kub Agea Ye Ghar Ke Agy Itna Hajoom Q Hai....

Zeena
About the Author: Zeena Read More Articles by Zeena: 92 Articles with 201660 views I Am ZeeNa
https://zeenastories456.blogspot.com
.. View More