Mein Salman Hun(Episode 6)

(HuKhan, Karachi)

Bed Par Lait Tay Hee Uss Ko Saray Jahaan Ka Araam Aur Sakoon Saa Mehsoos Hua Chath Ka Pankha (Ceiling Fan) Kachway Ki Raftaar Say Reingh Raha Tha Ya Yun Keh Lay Humray Mulk Ki Taraqee Ki Raftaar Aur Fan Speed Mein Zayda Farq Na Tha Bas Itna Saa Farq Tha Hakoomat Ubh Tak Machurun(Mosquetos)Ko Khatam Nahi Kar Paiee Hay Iss Fan Ka Jis Ka Serf Ek Hee Maqsad Tha Yeni Garmee Bhughana Nahi Balkay Iss Cold Weather Mein Saray Machurun Ko 1,2,,,,,,,,3 Karna Tha Jabh Kay Humaray Yahan Hakoomatein Awaam Ka Khoon Choos Kay 1,2,,,,,,,3 Hu Jaty Thein Machar Juun Kay Tuun Mojhudh Thay Bed Zayda Araam De Nahi Tha Magar Pher Bee Bed Hee Tha,,,Bed Kam Say Kam ,Usay Sab Say Kuch Deir Kay Liye Hee Sahi Ye Room Aur Bed Panah De Deta Tha Wo Sochnay Laga Kay Kash Kam Say Kam Uss Nay Rent Time Par De Diya Huta Tu Usay Subah Uss Aurat Ki Bambaaree Ka Koi Khatra Nahi Huta Ju Usay Dekhtay Hee Kici Puranay Radio Kii Tra Bajhnana Shuro Hu Jaty Thee Jis Kay Off Hunay Wala Switch Hee Naa Hu Bas Yaa Tu Cell Khatm Hu Jaein Ya Light Chali Jaye Tu Uss Ka Wavella Kam Huta Hay Uss Ki Nigah Fan Kay Blades Par Jumee Hui Thee Salman Nay Bahut Hee Ehtiiat Say Kamray Ka Lock Khula Tha Pher Light On Kiye Begher Hee Kapray Tabdeel Kiye Bas Ajh Wo Pass Hu Gia Tha Kici Zee Roh Ko Pata Nahi Chala Kay Salman Ek Aur Din Ki Nakaami Samait Kay Wapis Aa Gia Tha Wo Asa Siphasalaar Tha Jis Ki Foujh Saree Janghein Haar Gai Thee Magar Zayda Jani Nuqsaan Nahi Hua Tha Bas Isi Baat Par Sipahsalaar Ko Bahut Etminaan Tha Kay Wo Bachi Khuchi Foujh Kay Sath Pher Kabi Badla Lay Ga Werna Kici Konay Mein Chupah Kay Zamnay Ko Dekhta Rahay Ga Magar Zamana Usay Naa Hee Dekh Paye Ga,,,,Ubh Tu Saye Say Bee Dar Jata Hun,,,,,Insaan Hu Kay Ubh Insaanu Say Hee Dar Jata Hun.Subah Uss Kay Sath Kia Hu Ga Wo Apnay Aap Ko Tasalee De Raha Tha Wo Hi Hu Ga Ju Huta Raha Hay Ek Tu Iss Muhalay Mein Sab Kay Sab Faarigh Thay Jasay Hee Koi Zara See Awaaz Paida Hu Reckshaw Aye Sabzi Wala Aye Logh Asay Konu Khudrun Say Nikal Atay Thay Jasay Barish Mein Parwanay Aa Jatay Hein,,,Har Zulm Sehta Hun,,,,Uff Tak Nahi Kehta Hun,,,Ye Mera Naseeb Hay...Roz Khud Se Yehee Kehta Hun,,,,Salman Ki Ankhein Band Hu Gein Raat Ko Bee Sakoon Hu Gia Us Nay Ek Aur Insaan Ko Aarzi Araam De Diya Tha,,,Raat Ki Aghoosh Bahut Naram Thee Salman Ka Jisam Aur Rooh Dono Namukamal Thay Iss Kay Naseeb Mein In Ki Takmeel Thee Ya Nahi Thee Iss Waqt Arzi Mout Nay Usay Waqty Tour Par Mukamal Kar Diya Tha(Jaree Hay)

HuKhan
About the Author: HuKhan Read More Articles by HuKhan: 1124 Articles with 1196009 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.