Mein Salman Hun(Episode 15)

(HuKhan, Karachi)

Ajh Jis Dourahay Par Mein Khara Hun Na Tu Meray Kandhay Iss Bojh Kay Sambhaal Paa Rahay Hein Naa Hee Meri Tanghein Inn Patherli Rastun Ki Adee Hain Meray Pas Bas Khuna Khuna Hee Hee ,,,,,Reh De Kay Serf Maa Baap Ki Doulat Reh Gai Hay,,,Family Ubh Pher Say Khandaan Nahi Ban Paye Ga ,,,,Bas Ubh Hum Un Mein Say Hein Ju Apni Tabaee Umar Poree Kartay Hein,,,,,Ju Khana Pora Karnay Kay Liye Sabzee Ya Gosht Kay Bajaye Pani Ka Istemaal Kartein,,,Ju Serf Sab Ek Sath Isi Liye Bilkul Ek Time Akhatay Hu Kay Khatay Hein Kay Kahein Khana Khatam Hu Gia Tu Wo Bhooka Reh Jaye Ga,,,,,Aap Loghun Ki Garee Bahut Agay Nikal Gai Hay,,,Aur Agar Hum Ek Hee Garee Kay Musafir Hein Tu Mein 3rd Class Ka Aur Ap Logh Buisness Class Kay Musafir Hein,,,,Jabh Mera Safar Khatam Hu Ga Mein Itna Gard Alooodh Hu Chucka Hun Ga Kay Koi Apna Bee Nahi Pehchaan Paye Ga Ap Logh Colony Say Society Mein Aa Gaye Hein Mein Iss Laibaas Aur Paidal Hu Janay Ki Waja Say Yahan Unfit Hun Yahan Tu Public Transport Bee Itni Dour Say Miltee Hay Kay Banda Bus Mein Lataknay Say Pehlay Hee Thak Jata Hay,,,,Jahan Tak Likhnay Ka Taluq Hay Mein Bhook Ki Waja Say Likhta Hun ,,,,Lafz Roty Ban Kay Mujhay Paltay Hein Han Ye Mera Career Nahi Hay Magar Jabh Tak Kashtee Nahi Mil Jatee Mujhay Iss Lakree Kay Tukray Ko Hee Apna Sahara Bana Kay Khud Ko Dobhnay Say Bachana Hay,,,,,Mujay Zindeghi Guzaarni Nahi Balkay Apni Zindeghi Bachaani Hay Hu Sata Hay Mera Kal Asa Hu Kay Mujhay Gol Matool Saa Chaand Bee Rotee Nazar Aye,,,,Mera Ghar Rotee Ki Waja Say Taqseem Hu Raha Hay,,,,Mein Janta Hun Piar Taqseem Karnay Kay Liye Nahi Huta Piar Ko Tu Zarab Diya Jata Hay,,,,,Aap Nay Apnay Eid Kay Time Mein Say Itna Bahut Saa Time Mujhay Diya Mein Iss Kay Liye Mashkoor Hun,,Ap Nay Apni Serf Zubaan Kay Liye Apnay Aap Ko Bojh Mein Dalay Rakha,,,,Mein Iss Qabil Bee Nahi Tha,,,,,Meree Taraf Say Aap Apnay Faislon Mein Azaad Hein Jis Tra Mein Kici Kee Marzee Ya Faislun Ka Ghulaam Nahi Isi Tra Aap Logh Tu Ubh Dosron Kay Faislay Bee Kar Saktay Hein Bhulla Ap Ko Apnay Faislun Kay Liye Koi Kasay Paband Kar Sakta Hay,,,,(Jaree Hay)A

HuKhan
About the Author: HuKhan Read More Articles by HuKhan: 1124 Articles with 1189963 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.