Husna (epi 8)

(Zeena, Lahore)

Aaj Subha Bhi Kafi Nikhari Nikhari Thi, Garmi Ka Zoor Kam Hogea Tha. Asmaan Paer Per Kahi Kahi Halkey Halkey Badil Chaye Howe Thay.Wo Sohail Ko School Bhejne Key Bad Musam Ka Jaiza Ley Rahi Thi ,Kiu Ke Aaj Usey Apni Mama Ki De Hoi Paheeli Ko Hal Karna Tha, Aj Pehli Bar Wo Ghar Se School College Ke Ilawa Kahi Or Akeli Jane Se Ghabra Rahi Thi.Tasweer Purse Main Rakh Ker Bari Se Chader Main Khud Ko Chupa Ker,Wo Khud Ko Yakeen Delati Nikal Parri.Bahir Ka Darwaza Kholtey He Uski Nazer 3 Larkoun Per Parti Hai,Wo Unhaey Nazer Andaz Karte Howe Darwaze Ko Lock Lagane Lagti"Arey Madem Kahan Chali Subha Se Deedar Ke Liye Kharey Hai"Aik Larka Dosre Ko Ankh Martey Howe Btmezi Se Kehta Hai,Wo Enhey Nazer Andaz Karti Tezi Se Kareebi Bus Stop Ke Janib Kadam Barha Deti Hai."Arey Arey Baat Tou Sunti Jao Kahan Chali"Apne Pechey Usy Zor Dar Kehkoun Ke Awaz Sunai Deti Hai.Husna Bus Stop Per Pohanch Ker Bench Per Beth Ker Bageer Awaz Ke Rone Lagti Hai,Wo Janti Hai Akeli Larki Dunia Main Tub Tak Izzat Se Nahi Reh Sakti Jub Tak Uske Sath Koi Mazboot Sahara Na Ho.Wo Apne Kandhey Par Hath Ka Lames Mahsoos Ker Ke Aik Jhatke Se Sir Uper Uthati Hai,"Kia Howa Beta Yaha Beth Ker Ro Kiu Rahi Ho"Samne Aik Mehrban Cherey Wali Udhair Umer Ki Ke Khatoon Cherey Per Muskrahet Liye Husna Se Pocha,Usne Ansoo Saaf Ker Ke Us Aurat Ko Goor Se Dekha,Cherey Ke Gird Askarf Lapetye Or Long Shirt Ke Sath Khoola Trouser Pehne Saleekey Se Dubata Apne Gird Lapetey Usy Wo Aurat Pehle Nazer Main Hi Achi Lagi,"Kia Howa Beta Yaha Es Tarha Public Place Per Bethi Kiu Ro Rahi Ho,Sub Log Apki Taref Mutawjah Ho Rahe Hai"Boaht Narem Lehje Main Kaha Wo Hounkoun Ke Tarha Us Aurat Ko Dekh Rahi Thi.(Jaree Hai)

Zeena
About the Author: Zeena Read More Articles by Zeena: 92 Articles with 200977 views I Am ZeeNa
https://zeenastories456.blogspot.com
.. View More