Husna (epi 11)

(Zeena, Lahore)

Defence Lahore Ke Elakey Main Husna Ne Pehli Bar Qadam Rakha Tha.Yaha Sab Ghar He Aalishaan They,Kabhi Edhar Kabhi Udhar Wo Sar Ko Ghumaye Ghar Dekhty Howe Khud Bhi Ghoom Rahi Thi.Usey Ye Sab Dekhna Acha Lag Raha Tha Wo They Bhi Dekhne Ke Laiaq.Waha Se Guzarty Howe Aik Admi Ko Husna Ghar Ka Address Poch Kar Ab Ghar Ke Samne Khari Thi.Door Bell Baja Ker Apni Chader Darust Karne Lagi,"Kis Se Milna Hai Be Be Apko"Gatekeeper Ne Sakht Lehjey Main Pocha."Es Ghar Ki Malkin Se"Tarakh Se Jawab Aya,Husna Ko Be Be Kehne Par Gusa Aya Tha,Khud Bohat Jawan Hai Na Jo Mujhe Be Be Keh Raha Hai Hunhh,,,Husna Ne Dil Main Bol Ker Be Be Kahy Jane Ki Bharas Nikal Li Thi."Wo Abhi Ghar Nahi Hai,Ap Kal Subha 8 Baje Aker Un Se Mil Lena "Abhi Usne Kuch Kehne Ke Liye Lab Kholey Hi Thy Ke Peche Se Gari Ke Horn Ke Awaz Ai,Gatekeeper Jaldi Se Gate Khol Ker Adab Se Khara Ho Jata Hai.Black Parado Husna Ke Pass Aker Ruki "Tumhain Ketni Bar Kaha Hai Ke Har Kesi Ko Gate Ke Pass Khara Hone Na Dia Karo,Pata Nahi Kaha Kaha Se Log Ajate Hai,Or Tum Her Aik Ke Liye Gate Khol Dety Ho Chalo Farig Karo Esy,Mujhe Nafrat Hai Esi Larkio Se Jo Bari Se Chader Le Kar Sharafat Ka Labadha Urey Phirti Hai Huhhh."Wali Raza Ne Kaha Tou Gatekeeper Ko Tha Per Zehreeli Nazrain Husna Per Thi Jin Main Se Aag Ke Shouley Nikal Rahy Thy "Ji Sahab,Chalo Jao Tum Yaha Se Ab Dobara Yaha Mat Ana "Or Gate Uske Mu Per Band Hogea.Husna Heran Nazro Se Ye Sab Dekhti Rahi Usy Laga Jese Usey Kesi Ne Bharey Baza Main Bezat Kar Dia Ho,Itne Zillat Itne Beizati Esne Zindagi Bhar Mehsos Nahi Ke Thi Jitne Aj Wo Gari Main Betha Larka Kar Gea Tha Shakel Se Tou Mazhab Lag Raha Tha Lekan Zuban Se Angare Barsata Usey Wo Insan Dunia Ka Sab Se Badsurat Batmez Laga Usy Us Insan Se Behad Nafrat Mehsos Hoi Jo Bager Kesi Waja Ke Eski Zaat Ke Bakhiye Udheer Gea Ho.Usey Ye Soch Kar Bohat Rona Araha Tha Ke Kia Mere Zaat Itne Hakeer Hai,Ke Log Nafrat Karte Phire Es Tarha Beizzat Kar Dain Us Se Ab Waha Khara Howa Nahi Ja Raha Tha Wo Dewar Ka Sahara Le Kar Khud Ko Gerne Se Bachane Lagi Or Dono Hatho Se Gal Per Se Ansou Ragrti Hoi Wapis Jane Ke Liye Khari Hogai "Main Ab Yaha Kabhi Nahi Ao Ge"Usne Pakka Irada Kar Lia Es Izzat Afzaai Ke Baad.(Jaree Hai)

Zeena
About the Author: Zeena Read More Articles by Zeena: 92 Articles with 201483 views I Am ZeeNa
https://zeenastories456.blogspot.com
.. View More