Mein Salman Hun(Episode 28)

(HuKhan, Karachi)

Samnay Sanwalay Say Rangh Ka 12 Salaa Bacha Khura Hua Tha ,,,,Nida Nay Usay Hairat Say Dekha,,,,Bacha Nida Ki Nazroun Say Zara Gabhra Saa Gia ,,,,,Nida Ko Salman Kay Darwazay Par Na Hunay Say Maayusee See Huee,,,,Salman Bahi Hein Kia,,,,,,,,,,,Bachay Nay Himat Kar Kay Kahaa,,,,Nida Nay Jawab Nahi Diya,,,,Tum Kon Hu ,,,,Ji Mein Chotu Hun ,,Hotel Mein Kaam Karta Hun Uss Raat Salman Bahi Ki Tabiat Theek Nahi Thee,,,,,,Pher Wo Nazar Nahi Aye ,,,Mein Un Ka Dost Hun,,,,,,,,,,,Nida Nay Hairat Say Baalish Bhar Kay Larkay Ko Dekha,,,,,,,,,,,,Tum Salman Kay Dost Hu,,,,,,,Nida Kau Lahjhay Mein Hansi Bee Shaamil Hu Gai,,,,,,,,,Nida Samnay Say Hut Gai ,,,,,,,,,,,,,,Aao Andar Aao Salman Kay Dost,,,,,Bachay Nay Garbara Kay Kahaa ,,,,Ji Mein Un Ka Dost Bee Hun Aur Chota Bahi Bee Hun,,,,,,,,,,Mein Andar Nahi Aon Ga ,,,,Hotel Mein Kaam Hay Bahut,,,,,,,,,,,,Salman Bahi Ka Bata Dijiye,,,,,,,,,,,,,Aap Un Ki Achi Wali Maalkin Hay ,,,,,Ya Wo Wali,,,,Bachay Nay Sadghee Se Kahaa,,,Nida Nay Hairat Say Kahaa Wo Wali Konsee,,,,,,Bachay Nay Agay Pechay Nazrein Ghumaaein,,,,Salman Bahi Kehtay Hein Unn Ki 2 Malkin Hein Ek Unn Ka Samaan Utha Kay Baher Phanknay Ki Shoqen Hay Aur Dosree Saara Samaan Utha Kay Sambhaal Sambhaal Kay Rakhtee Hay,,,,,,,,,Acha Chotu Ye Bataow Tumhein Kia Laghta Hay Mein Konsee Wali Hun,,,,,Chotu,,Parishaan Saaa Hu Gia,,,Kia Bolay Pata Nahi Ye Konsee Wali Hu,,,,,Acha Salman Bahi Ayein Tu Un Se Kehna Chotu Aya Tha Pochnay,,,,,,,,Wo Akalay Nahi Hein,,Mujhay Unn Ki Fiqar Rehtee Hay,,,,,Kia Hua Un Ka Koi Baraa Nahi,,,Chota Tu Hay,,,,,Nida Hairat Say Usay Taknay Laghee,,,,,,,,,,,,,Salman Tumhein Acha Laghta Hay,,,Chotu Nay Asbaat Mein Sar Hilayaa,,,,,,,,,,Qun Laghta Hay,,,Chotu Par Dosra Sawaal Usay Sochnay Par Majhboor Kar Gia,,,Ek Dafa Salman Bahi Khanaa Kha Rahay Thay Mujh Say Salan Ki Plate Ger Gai Aur Salman Bahi Kay Jutay Khuraabh Bee Hu Gaye Plate Toot Bee Gaee,,,,,,Saith Nay Mujhay Gaalian Dein,,,,,,,Salman Bahi Meray Saith Say Lar Paray,,,,,Bacha Hay Piar Say Samjhnay Kay Bjaye Isay Gaalian De Rahay Hu,,,,,,,,,,,,Iss Ki Umar Tu Khud Apni Plate Sambhlany Ki Nahi ,,,,,,Ye Duniya Ki Platein Sambhaal Raha Hay,,,,Iss Ki Apni Umar Asee Hay Kay Koi Newalaa Bana Kay Iss Kay Munh Mein Dalay ,,,,,Ye Dosrun Kay Dosakh Ki Agh Bujhnay Mein Laga Hua Hay,,,,,,,,Aur Janay Kia Kia Kaha,,,,,,Ubh Yaad Nahi,,,,,,,,,Jabh Say Mein Salman Bahi Ka Dost Hun Aur Mera Saith Bee Ubh Salman Bahi Ka Dost Hay,,,Mera Salaam Zror Krhna Aap Ki Meharbani,,,,,,,,Aur Haan Aap Achi Wali Maalkin Hein,,Chotu Chala Gia,,,,,,,,,,Nida Soch Mein Par Gai,,,,,,,Jisay Kici Dosray Ko Gaali Parna Acha Nahi Laghta,,,,,,,,,Jabh Khud Ko Gaaliaan Parteee Hun Gee,,,,,,,,,,,,,,,,Uss Par Kia Guzartee Hu Gee,,,,,,,,,,,,,Kasay Sunta Hu Ga,,,,,,,,,,,,,Galiaan Bee Rooh Ko Zakhmi Kartee Hein,,,,Salman Say Sab Qun Piaar Kartay Hein,,,,,,,,,Shaied Meri Hamdardee Bee Kahein Piaar Tu Nahi,,,,,Kambakht Mujh Se Chotaa Qun Hay,,,,,,,,,,,,Ye Majhboor Logh Itnay Piaray Qun Hutay Hein,,,,Jin Say Bas Piaar Karnay Ko Dil Karta Hay(Jaree Hay)

HuKhan
About the Author: HuKhan Read More Articles by HuKhan: 1124 Articles with 1195061 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.