Mein Salman Hun(Episode 30)

(HuKhan, Karachi)

Zendeghi May Bahut Say Rangh ,Roop Aur Chahray Hutay Hein ,,,,,Magar Jabh Ye Bahut Tezee Say Badaltay Hein ,,,,Tu Insaam Haanp Jata Hay,,,,,Thak Jata Hay,,,,Kabi Jabh Zendeghi Ankhein Dekhatee Hay Tu,,,,Insan Seham Jata Hay,,,,,Insaan Abee Zendeghi Kay Ek Roop Ki Tayaree Kar Raha Huta Hay ,,,,Aur Wo Dosra Roop Daahrr Laitee Hay,,,,,,Kitna Sametoun Khud Ko,,,,Kitna Lapaitoun Khud Ko,,,,,Zendeghi Pher Bee Aan Dabochtee Hay.,,,,,,,,,,,Salman Bahut Sakoon Say Kursee Par Baitha Hua Tha Jasay Wo Bee Koi Eham Fard Ya Mehmaan Hu Iss Ghar Ka Samnay Asmaani Rangh Kay Kaprun Mein Ek Nazuk See Guriya Thee Jis Ki Soch Mein Insaan Thay Insaaniyat Thee,,,,,Wo Itnee Nazuk See Thee Jasay Koi Glass Say Bani Huee Baarbi Doll Hu ,,,,Baar Baar Jabh Bee Usay Kuch Bolna Hu Sochna Hu Wo Apni Sunehri Frame Ki Ainak Ko Apni Naak Par Asay Theek Kartee Thee Jasay Kahien Zor Say Kiya Tu Usay Dard Naa Hu,,,,,Kia Soch Rahay Hu Meray Baray Mein,,,,,,Rozi Nay Salman Par Asa Attack Kiya Kay Wo Chaaru Shanay Chit Saa Hu Gia,,,,,,,Magar Rozi Kay Confidence Mein Zaraa Bee Farq Naa Aya Uss Ki Sawaliya Nazrein,,,,,,Salman Ka Touwaaf Kar Rahee Thein,,,,Mein Ye Soch Raha Tha ,,,,,Salman Nay Bahut Hee Soch Samajh Kay Apnay Alfaazun Ko Tarteeb Detay Huay Kahaa,,,,Aap Ka Ye Ghar Bahut Qimtee Hay ,,,,,Iss Ka Architect ,Color,Setting,Paintings Aur Furniture Bahut Hee Lajawaabh Aur Expensive Hay,,,,,Doulat Aap Ko Sab Kuch De Saktee Hay ,,,,,,,,,,,,,,,,Magar Zindeghi Guzarnay Ka Dhangh Saliqa Nahi De Saktee,,,,,,,Magar Pher Bee Mera Kuch Ghantu Ka Experience Hay,,,Magar,,,Pher Bee ,,,,, Mein Poray Wasooq Say Keh Sakta Hun,,,,,,,,,,,,,,Iss Ghhar Ki Sab Se Qimtee Chese Aap Hein,,,,,,,,,,,Rozi Kay Hountoun Par Pehli Baar Muskaan Nay Dairay Jamaye,,,,,,Salman Ko Etmeenan Sa Hua ,,,,,,,,,,,,,Shukar Hay Uss Ki Baat Ka Koi Ghalt Matlab Nahi Liya Uss Nay,,,,,,Rozi Nay Bhut Hee Pursakoon Andaaz Mein Madham See Awaaz Mein Bas,,,,,,,,Shukeria,,,,Kah Kar Salman Ko Kici Naye Emtehaan Say Bacha Liya,,,,,Jabh Wo Muskaree Tuu Uss Kay Gaalun Mein Du Bahut Khubsorat Say Garhay Par Gaye,,,,Salman Kay Munh Say Ek Dam,,,,,,,,,Perfect,,,,,,Nikal Giya,,,,,,,Rozi Nay Hairaan Hu Kar Salman Ki Taraf Dekha,,,,,(Jaree Hay)

HuKhan
About the Author: HuKhan Read More Articles by HuKhan: 1124 Articles with 1194934 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.