Husna (epi 15)

(Zeena, Lahore)

"Assalam O Alaikum",,,,Husna Ne Harbara Ker Salam Kia ...."Waaa,,,Alaikum Assalam",,,Salman Ne Waa Per Zor Dety Howe Jawab Dia Or Sawalia Nazroun Se Uski Taraf Dekha,,,,,"Mujhe Miss Naila Se Milna Hai " Usne Nazroun Ka Mafhoom Samjhte Howe Jalde Se Pocha,,,,"Mama Se Milna Hai?,, Ajaye Mama Ander He Hai",,,Wo Gate Se Thora Peche Hoker Khara Hogea Ta Ke Wo Ander Ja Sake,,"Nan,,,,Nahi Ap Unhain,,,, Yahi Bula Dain"Wo Aik Hath Se Dosre Hath Ki Ungloun Ko Marorate Howe Ruk Ruk Kar Boli...Wo Ander Es Tarha Jana Nahi Chati Thi Kiu Ke Usne Bohat Se Esy Waqiat Sun Rakhy They Jaha Larke Esi Tarha Larkio Ko Bahane Se Ander Bula Ker Unki Abroo Ko Roundh Dalte They,,Per Wo Esa Koi Bhi Risk Lena Nahi Chati Thi...."Koi Masla Nahi Main Unhain Yaha Bula Leta Hn",,, Salman Kandhain Uchkata Gate Se Gaiyab Hogea....Kuch Dair Bad Gate Ne Harkat Ki,,,"Husna Beta",,Naila Ne Aghy Barh Kar Muskurate Howe Us Se Mushafa Kia Or Hath Paker Kar Usey Ander Lay Ai,,,,Gate Se Ander Atey He Sab Se Pehly Wasee Loan Per Parti Hai Jese Khubsurat Phooloun Ke Sath Sajaiya Gea Tha Jis Se Ye Sabit Ho Raha Tha Ke Es Ghar Ke Makeeno Ko Phoolo Main Dilchaspi Hai Wo Aik Robot Ke Tarha Naila Ke Pechy Chali Ja Rahi Thi,,, Loan Se Guzrne Ke Bad Wo Zeeny Se Hoti Hoi Ander Agai Ander Aty Hi Usy Samne Serhian Nazar Ai Jo Khubsurti Se Bal Khati Uper Ko Ja Rahi Thi Sarhion Ke Samne Tv Lounge Nazar Aya Jesy Behad Khubsurti Se Sajaya Gea Tha,,,, Uske Samne Drawing Room Tha Jaha Naila Ne Usy Betha Dia Tha ,,Or Khud Najane Kaha Gayab Ho Gai Thi,,,Or Jo Kuch Dair Pehly Usy Gate Par Nazar Aya Tha Uska Nam O Nishan Bhi Nazar Nahi A Raha Tha,,,,,Usy Ye Ghar Or Yaha Ke Makeen Kafi Pursaraar Lagy,,,,"Husna Beta",,,Wo Apni He Sochoun Main Ghum Thi Jab Naila Ne Usy Pukara Wo Tea Tray Hatho Main Liye Usy Pukar Rahi Thi.....Jis Main Chaye Or Sath Kuch Lawazmaat Thy ,,,,Wo Ye Sab Table Par Rakh Ker Ab Uske Samne Bethi Thi ,,,,"En Sab Takalufaat Ki Kia Zarorat Thi Aunty "Husna Ne Na Jane Kiu Sharminda Hote Howe Kaha,,,"Esey Nahi Kehte Beta! Khane Wali Chezoun Ko Takalufaat Nahi Kehty Beta,,,,,Allah Ka Shuker Ada Karty Howe Uski Namatain Khaty Hai,,,,Chalo Tum Bhi Khao Phir Hum Tumhare Interview Ke Liye Nikalty Hai",,,,Wo Bare Pyar Or Narmi Se Usy Samjhate Howe Tea Serve Kar Rahi Thi,,Husna Ne Bhi Jalde Se Tea Or Lowazmaat Se Insaf Karna Shuru Kar Dia Tha.... (Jaree Hai )

Zeena
About the Author: Zeena Read More Articles by Zeena: 92 Articles with 212677 views I Am ZeeNa
https://zeenastories456.blogspot.com
.. View More